الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب ذكر الجن:
Bab: Jinno ka bayan.
Hadith Number: 3860
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عمرو بن يحيى بن سعيد، قال: اخبرني جدي، عن ابي هريرة رضي الله عنه:" انه كان يحمل مع النبي صلى الله عليه وسلم إداوة لوضوئه وحاجته , فبينما هو يتبعه بها، فقال: من هذا؟ فقال: انا ابو هريرة، فقال:" ابغني احجارا استنفض بها , ولا تاتني بعظم ولا بروثة" , فاتيته باحجار احملها في طرف ثوبي حتى وضعت إلى جنبه، ثم انصرفت حتى إذا فرغ مشيت، فقلت: ما بال العظم والروثة؟ قال:" هما من طعام الجن وإنه اتاني وفد جن نصيبين ونعم الجن , فسالوني الزاد , فدعوت الله لهم ان لا يمروا بعظم ولا بروثة إلا وجدوا عليها طعاما".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Amr Bin Yahya Bin Saeed ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujhe mere dada ne khabar di aur unhein Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke wo Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke wuzu aur qazaye hajat ke liye (pani ka) ek bartan liye hue Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke peeche peeche chal rahe thay ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye kaun sahib hain? Bataya ke mein Abu Hurairah hoon. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke istinjay ke liye chand patthar talash kar lao aur haan haddi aur leed na lana. To mein patthar le kar hazir hua. Mein unhein apne kapre mein rakkhe hue tha aur la kar mein ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke qareeb ise rakh diya aur wahan se wapas chala aaya. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam jab qazaye hajat se farigh ho gaye to mein phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hua aur mein ne arz kiya ke haddi aur gobar mein kya baat hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke is liye ke wo jinnon ki khorak hain. Mere paas Nusaibeen ke jinnon ka ek wafad aaya tha aur kya hi acche wo jinn thay. To unhon ne mujh se tosha manga mein ne un ke liye Allah se ye dua ki ke jab bhi haddi ya gobar par un ki nazar pare to un ke liye is cheez se khana mile
.
.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| أبو هريرة الدوسي | صحابي | |
| سعيد بن عمرو الأموي، أبو عثمان، أبو عنبسة | ثقة | |
| عمرو بن يحيى القرشي، أبو أمية | ثقة | |
| موسى بن إسماعيل التبوذكي، أبو سلمة | ثقة ثبت |
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
3860
| هما من طعام الجن أتاني وفد جن نصيبين ونعم الجن فسألوني الزاد فدعوت الله لهم أن لا يمروا بعظم ولا بروثة إلا وجدوا عليها طعاما |