الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب القسامة فى الجاهلية:
Bab: Zamanah-e-Jahiliyyat ki qasamat ka bayan.
Hadith Number: 3842
حدثنا إسماعيل، حدثني اخي، عن سليمان بن بلال، عن يحيى بن سعيد، عن عبد الرحمن بن القاسم، عن القاسم بن محمد، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان لابي بكر غلام يخرج له الخراج وكان ابو بكر ياكل من خراجه , فجاء يوما بشيء فاكل منه ابو بكر، فقال: له الغلام اتدري ما هذا؟ فقال ابو بكر: وما هو؟ قال: كنت تكهنت لإنسان في الجاهلية وما احسن الكهانة إلا اني خدعته , فلقيني فاعطاني بذلك فهذا الذي اكلت منه , فادخل ابو بكر يده فقاء كل شيء في بطنه".
Hum se Ismail ne bayan kiya, kaha mujh se mere bhai ne bayan kiya, un se Sulaiman ne, un se Yahya Bin Saeed ne, un se Abdur Rahman Bin Qasim ne, un se Qasim Bin Muhammad ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Abu Bakr Radi Allahu Anhu ka ek ghulam tha jo rozana unhein kuch kamayi diya karta tha aur Abu Bakr Radi Allahu Anhu ise apni zaroorat mein istemal kiya karte thay. Ek din wo ghulam koi cheez laya aur Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne bhi is mein se kha liya. Phir ghulam ne kaha aap ko maloom hai? Ye kaisi kamayi se hai? Aap ne daryaft farmaya kaisi hai? Us ne kaha mein ne zamana-e-jahiliyat mein ek shakhs ke liye kahanat ki thi halankay mujhe kahanat nahi aati thi, mein ne ise sirf dhoka diya tha lekin ittifaq se wo mujhe mil gaya aur is ne is ki ujrat mein mujh ko ye cheez di thi, aap kha bhi chuke hain. Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne ye sunte hi apna hath munh mein dala aur pait ki tamam cheezein qay kar ke nikal dalein
.
.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عائشة بنت أبي بكر الصديق، أم عبد الله | صحابي | |
| القاسم بن محمد التيمي، أبو محمد، أبو عبد الرحمن | ثقة أفضل أهل زمانه | |
| عبد الرحمن بن القاسم التيمي، أبو محمد | ثقة ثقة | |
| يحيى بن سعيد الأنصاري، أبو سعيد | ثقة ثبت | |
| سليمان بن بلال القرشي، أبو محمد، أبو أيوب | ثقة | |
| عبد الحميد بن أبي أويس الأصبحي، أبو بكر | ثقة | |
| إسماعيل بن أبي أويس الأصبحي، أبو عبد الله | صدوق يخطئ |