الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المناقب
Kitab: Fazeelaton ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {يا أيها الناس إنا خلقناكم من ذكر وأنثى وجعلناكم شعوبا وقبائل لتعارفوا إن أكرمكم عند الله أتقاكم} :
Bab: Allah Taala ka (Surah Al-Hujurat mein) irshad“Ay logo! Hum ne tum sab ko ek hi mard Adam aur ek hi aurat Hawwa se paida kiya hai aur tum ko mukhtalif qaumein aur khandanan bana diya hai taake tum butaur rishta-dari ek doosre ko pehchaan sako, beshak tum sab mein se Allah ke nazdeek mu’azzaz-tar woh hai jo zyada parhezgaar ho”.
Hadith Number: 3491
حدثنا قيس بن حفص، حدثنا عبد الواحد، حدثنا كليب بن وائل، قال: حدثتني ربيبة النبي صلى الله عليه وسلم زينب ابنة ابي سلمة، قال: قلت لها:" ارايت النبي صلى الله عليه وسلم اكان من مضر؟، قالت: فممن كان إلا من مضر من بني النضر بن كنانة".
Hum se Qais Bin Hafs ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Wahid Bin Ziyad ne bayan kiya, un se Kulaib Bin Wail ne bayan kiya, kaha ke mujh se Zainab Bint-e-Abi Salamah (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya jo Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki zir-e-parwarish reh chuki thien, Kulaib ne bayan kiya ke humein ne Zainab se poocha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka talluq qabila Muzar se tha? Unhon ne kaha phir kis qabila se tha? Yaqeenan Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) qabila Muzar ki shakh Bani Nazr Bin Kinanah ki aulad mein se thay
.
.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| زينب بنت أم سلمة المخزومية | صحابية صغيرة | |
| كليب بن وائل التيمي | صدوق حسن الحديث | |
| عبد الواحد بن زياد العبدي، أبو بشر | ثقة | |
| قيس بن حفص التميمي، أبو محمد | ثقة له أفراد |
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
3491
| ممن كان إلا من مضر من بني النضر بن كنانة |