الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب ما ذكر عن بني إسرائيل:
Bab: Bani Isra’il ke waqiaat ka bayan.
Hadith Number: 3452
فقال: وسمعته، يقول: إن رجلا حضره الموت فلما يئس من الحياة اوصى اهله إذا انا مت فاجمعوا لي حطبا كثيرا واوقدوا فيه نارا حتى إذا اكلت لحمي وخلصت إلى عظمي فامتحشت فخذوها فاطحنوها ثم انظروا يوما راحا فاذروه في اليم ففعلوا فجمعه الله، فقال له: لم فعلت ذلك، قال: من خشيتك فغفر الله له، قال عقبة بن عمرو: وانا سمعته، يقول: ذاك وكان نباشا".
Aur Huzaifah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko ye farmate suna ke ek shakhs ki mout ka jab waqt aa gaya aur wo apni zindagi se bilkul mayoos ho gaya to is ne apne ghar walon ko wasiyat ki ke jab meri mout ho jaye to mere liye bahut sari lakriyan jama karna aur un mein aag laga dena. Jab aag mere gosht ko jala chuke aur aakhri haddi ko bhi jala de to in jali hui haddiyon ko pees dalna aur kisi tund hawa wale din ka intezar karna aur (aise kisi din) meri raakh ko darya mein baha dena. Is ke ghar walon ne aisa hi kiya. Lekin Allah Ta'ala ne is ki raakh ko jama kiya aur is se poocha aisa tu ne kyun karwaya tha? Is ne jawab diya ke tere hi khauf se ae Allah! Allah Ta'ala ne isi wajah se is ki maghfirat farma di. Uqbah Bin Amr (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke mein ne Aap ko ye farmate suna tha ke ye shakhs kafan chor tha
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة