الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب هل يستأسر الرجل ومن لم يستأسر، ومن ركع ركعتين عند القتل:
Bab: Apne taa'in qaid kara dena aur jo shakhs qaid na karaye us ka hukm aur qatl ke waqt do rak’at namaz parhna.
Show diacritics
Hadith Number: 3045
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عمرو بن ابي سفيان بن اسيد بن جارية الثقفي وهو حليف لبني زهرة وكان من اصحاب ابي هريرة، ان ابا هريرة رضي الله عنه، قال:" بعث رسول الله صلى الله عليه وسلم عشرة رهط سرية عينا، وامر عليهم عاصم بن ثابت الانصاري جد عاصم بن عمر بن الخطاب فانطلقوا حتى إذا كانوا بالهداة وهو بين عسفان ومكة ذكروا لحي من هذيل، يقال لهم: بنو لحيان فنفروا لهم قريبا من مائتي رجل كلهم رام فاقتصوا آثارهم حتى وجدوا ماكلهم تمرا تزودوه من المدينة، فقالوا: هذا تمر يثرب فاقتصوا آثارهم فلما رآهم عاصم واصحابه لجئوا إلى فدفد واحاط بهم القوم، فقالوا لهم: انزلوا واعطونا بايديكم ولكم العهد والميثاق ولا نقتل منكم احدا، قال عاصم بن ثابت امير السرية: اما انا فوالله لا انزل اليوم في ذمة كافر، اللهم اخبر عنا نبيك فرموهم بالنبل فقتلوا عاصما في سبعة فنزل إليهم ثلاثة رهط بالعهد والميثاق منهم خبيب الانصاري وابن دثنة ورجل آخر، فلما استمكنوا منهم اطلقوا اوتار قسيهم فاوثقوهم، فقال: الرجل الثالث هذا اول الغدر والله لا اصحبكم إن لي في هؤلاء لاسوة يريد القتلى فجرروه وعالجوه على ان يصحبهم فابى فقتلوه، فانطلقوا بخبيب وابن دثنة حتى باعوهما بمكة بعد وقعة بدر فابتاع خبيبا بنو الحارث بن عامر بن نوفل بن عبد مناف، وكان خبيب هو قتل الحارث بن عامر يوم بدر فلبث خبيب عندهم اسيرا. فاخبرني عبيد الله بن عياض ان بنت الحارث اخبرته انهم حين اجتمعوا استعار منها موسى يستحد بها فاعارته، فاخذ ابنا لي وانا غافلة حين اتاه، قالت: فوجدته مجلسه على فخذه والموسى بيده ففزعت فزعة عرفها خبيب في وجهي، فقال: تخشين ان اقتله ما كنت لافعل ذلك والله ما رايت اسيرا قط خيرا من خبيب والله لقد وجدته يوما ياكل من قطف عنب في يده، وإنه لموثق في الحديد وما بمكة من ثمر وكانت تقول: إنه لرزق من الله رزقه خبيبا فلما خرجوا من الحرم ليقتلوه في الحل، قال لهم: خبيب ذروني اركع ركعتين فتركوه فركع ركعتين، ثم قال: لولا ان تظنوا ان ما بي جزع لطولتها اللهم احصهم عددا ولست ابالي حين اقتل مسلما على اي شق كان لله مصرعي وذلك في ذات الإله وإن يشا يبارك على اوصال شلو ممزع فقتله ابن الحارث فكان خبيب هو سن الركعتين لكل امرئ مسلم قتل صبرا فاستجاب الله لعاصم بن ثابت يوم اصيب، فاخبر النبي صلى الله عليه وسلم اصحابه خبرهم وما اصيبوا وبعث ناس من كفار قريش إلى عاصم حين حدثوا انه قتل ليؤتوا بشيء منه يعرف، وكان قد قتل رجلا من عظمائهم يوم بدر فبعث على عاصم مثل الظلة من الدبر، فحمته من رسولهم فلم يقدروا على ان يقطع من لحمه شيئا".
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya ‘ kaha ke hum ko Shuaib ne khabar di ‘ us se Zuhri ne bayan kiya ‘ unhein Amr Bin Sufyan Bin Asaid Bin Jariya Saqafi ne khabar di ‘ wo Bani Zuhra ke haleef thay aur Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ke dost ‘ unhon ne kaha ke Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne das sahaba ki ek jamaat kuffar ki jasoosi ke liye bheji ‘ is jamaat ka ameer Aasim Bin Umar Bin Khattab ke nana Aasim Bin Sabit Ansari (Radi Allahu Anhu) ko banaya aur jamaat rawana ho gayi. Jab ye log maqaam-e-Hada'h par pahunche jo Usfan aur Makkah ke darmiyan mein hai to qabila Huzail ki ek shakh Banu Lihyan ko kisi ne khabar de di aur is qabila ke do sau teer andazoon ki jamaat un ki talash mein nikli ‘ ye sab sahaba ke nishanaat-e-qadam se andaza lagate hue chalte chalte aakhir ek aaisi jagah par pahunch gaye jahan sahaba ne baith kar khajoorein khayi thiin ‘ jo wo Madinah Munawwarah se apne sath le kar chale thay. Peecha karne walon ne kaha ke ye (gutthliyan) to Yasrib (Madinah) ki (khajooron ki) hain aur phir qadam ke nishanon se andaza karte hue aage barhne lage. Aakhir Aasim (Radi Allahu Anhu) aur un ke sathiyon ne jab unhein dekha to un sab ne ek pahari ki chhoti par panah li ‘ mushrikeen ne un se kaha ke hathiyar daal kar neeche utar aao ‘ tum se hamara ahd o paiman hai. Hum kisi shakhs ko bhi qatl nahi karein ge. Aasim Bin Sabit (Radi Allahu Anhu) muhim ke ameer ne kaha ke mein to aaj kisi surat mein bhi ek kafir ki panah mein nahi utarunga. Ae Allah! Hamari halat se apne Nabi ko mutla kar de. Is par un kafiron ne teer barsane shuru kar diye aur Aasim (Radi Allahu Anhu) aur saat doosre sahaba ko shaheed kar dala baqi teen sahabi un ke ahd o paiman par utar aaye, ye Khubaib Ansari (Radi Allahu Anhu) Ibn Dasna (Radi Allahu Anhu) aur ek teesre sahabi (Abdullah Bin Tariq Balwi Radi Allahu Anhu) thay. Jab ye sahabi un ke qaboo mein aa gaye to unhon ne apni kamanon ke tant utaar kar un ko un se bandh liya ‘ Abdullah Bin Tariq (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke Allah ki qasam! Ye tumhari pehli ghaddari hai. Mein tumhare sath hargiz na jaun ga ‘ balke mein to unhein ka uswa ikhtiyar karun ga ‘ un ki murad shuhada se thi. Magar mushrikeen unhein kheenchne lage aur zabardasti apne sath le jana chaha jab wo kisi tarah na gaye to un ko bhi shaheed kar diya. Ab ye Khubaib aur Ibn Dasna (Radi Allahu Anhuma) ko sath le kar chale aur un ko Makkah mein le ja kar bech diya. Ye jung-e-Badr ke baad ka waqea hai. Khubaib (Radi Allahu Anhu) ko Haris Bin Aamir Bin Naufal Bin Abd Manaf ke larkon ne khareed liya, Khubaib (Radi Allahu Anhu) ne hi Badr ki larayi mein Haris Bin Aamir ko qatl kiya tha. Aap un ke yahan kuch dinon tak qaidi ban kar rahe, (Zuhri ne bayan kiya) ke mujhe Ubaidullah Bin Ayaz ne khabar di aur unhein Haris ki beti (Zainab Radi Allahu Anha) ne khabar di ke jab (un ko qatl karne ke liye) log aaye to Zainab se unhon ne mu-e-zer-e-naf moondne ke liye ustura manga. Unhon ne ustura de diya, (Zainab ne bayan kiya) phir unhon ne mere ek bacche ko apne paas bula liya ‘ jab wo un ke paas gaya to mein ghafil thi ‘ Zainab ne bayan kiya ke phir jab mein ne apne bacche ko un ki ran par baitha hua dekha aur ustura un ke hath mein tha ‘ to mein is buri tarah ghabra gayi ke Khubaib (Radi Allahu Anhu) bhi mere chehre se samajh gaye unhon ne kaha ‘ tumhein is ka khauf ho ga ke mein ise qatl kar dalunga ‘ yaqeen karo mein kabhi aisa nahi kar sakta. Allah ki qasam! Koi qaidi mein ne Khubaib se behtar kabhi nahi dekha. Allah ki qasam! Mein ne ek din dekha ke angoor ka khosha un ke hath mein hai aur wo is mein se kha rahe hain. Halanke wo lohe ki zanjeeron mein jakre hue thay aur Makkah mein phalon ka mausam bhi nahi tha. Kaha karti thiin ke wo to Allah Ta'ala ki rozi thi jo Allah ne Khubaib (Radi Allahu Anhu) ko bheji thi. Phir jab mushrikeen unhein haram se bahar laye ‘ taake haram ke hudood se nikal kar unhein shaheed kar dein to Khubaib (Radi Allahu Anhu) ne un se kaha ke mujhe sirf do rakat namaz parh lene do. Unhon ne un ko ijazat de di. Phir Khubaib (Radi Allahu Anhu) ne do rakat namaz parhi aur farmaya ‘ agar tum ye khayal na karne lagte ke mein (qatl se) ghabra raha hoon to mein in rakaton ko aur lamba karta. Ae Allah! In zalimon se ek ek ko khatam kar de, (phir ye ashaar parhe) ”jabke mein musalman hone ki halat mein qatl kiya ja raha hoon ‘ to mujhe kisi qism ki bhi parwah nahi hai. Khwah Allah ke raste mein mujhe kisi pehlu par bhi pachaara jaye, ye sirf Allah Ta'ala ki raza hasil karne ke liye hai aur agar wo chahe to is jism ke tukron mein bhi barkat de sakta hai jis ki booti booti kar di gayi ho. Aakhir Haris ke bete (Uqba) ne un ko shaheed kar diya. Khubaib (Radi Allahu Anhu) se hi har us musalman ke liye jise qaid kar ke qatl kiya jaye (qatl se pehle) do rakatein mashroo hui hain. Idhar hadsa ke shuru hi mein Aasim Bin Sabit (Radi Allahu Anhu) (muhim ke ameer) ki dua Allah Ta'ala ne qabool kar li thi ke ae Allah! Hamari halat ki khabar apne Nabi ko dede) aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apne sahaba ko wo sab halat bata diye thay jin se ye muhim do char hui thi. Kuffar-e-Quraish ke kuch logon ko jab maloom hua ke Aasim shaheed kar diye gaye to unhon ne in ki lash ke liye apne aadmi bheje taake in ki jism ka koi aisa hissa kaat layein jis se in ki shinakht ho sakti ho. Aasim (Radi Allahu Anhu) ne Badr ki jung mein kuffar-e-Quraish ke ek sardar (Uqba Bin Abi Muayt) ko qatl kiya tha. Lekin Allah Ta'ala ne bharron ka ek chatta Aasim ki naash par qaim kar diya unhon ne Quraish ke aadmiyon se Aasim ki lash ko bacha liya aur wo in ke badan ka koi tukra na kaat sake
.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
ابنة الحارث بن عامر النوفليصحابي
عبيد الله بن عياض الحجازيثقة
أبو هريرة الدوسيصحابي
عمرو بن أبي سفيان الثقفيثقة
محمد بن شهاب الزهري، أبو بكرالفقيه الحافظ متفق على جلالته وإتقانه
شعيب بن أبي حمزة الأموي، أبو بشرثقة حافظ متقن
الحكم بن نافع البهراني، أبو اليمانثقة ثبت
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
7402
بعث رسول الله عشرة منهم خبيب الأنصاري فأخبرني عبيد الله بن عياض أن ابنة الحارث أخبرته أنهم حين اجتمعوا استعار منها موسى يستحد بها فلما خرجوا من الحرم ليقتلوه قال خبيب الأنصاري ولست أبالي حين أقتل مسلما على أي شق كان لله مصرعي وذلك في ذات الإله وإن يشأ يبا
صحيح البخاري
3045
بعث رسول الله عشرة رهط سرية عينا وأمر عليهم عاصم بن ثابت الأنصاري جد عاصم بن عمر بن الخطاب فانطلقوا حتى إذا كانوا بالهدأة وهو بين عسفان و مكة ذكروا لحي من هذيل يقال لهم بنو لحيان فنفروا لهم قريبا من مائتي رجل كلهم رام فاقتصوا آثارهم حتى وجدوا مأكلهم تمرا