الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب العتق
Kitab: Ghulamon ki azadi ke bayan mein
باب من ملك من العرب رقيقا فوهب وباع وجامع وفدى وسبى الذرية:
Bab: Agar Arabon par jihad ho aur koi un ko ghulam banaye phir hibah kare ya Arabi laundi se jima kare ya fidya le ye sab baatein durust hain ya bachon ko qaid kare.
Show diacritics
Hadith Number: 2540
حدثنا ابن ابي مريم، قال: اخبرنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، ذكر عروة، ان مروان، والمسور بن مخرمة اخبراه،" ان النبي صلى الله عليه وسلم قام حين جاءه وفد هوازن، فسالوه ان يرد إليهم اموالهم وسبيهم؟ فقال: إن معي من ترون، واحب الحديث إلي اصدقه، فاختاروا إحدى الطائفتين، إما المال، وإما السبي، وقد كنت استانيت بهم، وكان النبي صلى الله عليه وسلم انتظرهم بضع عشرة ليلة حين قفل من الطائف، فلما تبين لهم ان النبي صلى الله عليه وسلم غير راد إليهم إلا إحدى الطائفتين، قالوا: فإنا نختار سبينا، فقام النبي صلى الله عليه وسلم في الناس فاثنى على الله بما هو اهله، ثم قال: اما بعد،" فإن إخوانكم قد جاءونا تائبين، وإني رايت ان ارد إليهم سبيهم، فمن احب منكم ان يطيب ذلك فليفعل، ومن احب ان يكون على حظه حتى نعطيه إياه من اول ما يفيء الله علينا فليفعل، فقال الناس: طيبنا لك ذلك، قال: إنا لا ندري من اذن منكم ممن لم ياذن، فارجعوا حتى يرفع إلينا عرفاؤكم امركم، فرجع الناس فكلمهم عرفاؤهم، ثم رجعوا إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فاخبروه انهم طيبوا واذنوا، فهذا الذي بلغنا عن سبي هوازن". وقال انس: قال عباس للنبي صلى الله عليه وسلم: فاديت نفسي وفاديت عقيلا.
Hum se Ibn Abi Maryam ne bayan kiya, kaha ke mujhe Lais ne khabar di, unhein Aqeel ne, unhein Ibn Shihab ne ke Urwah ne zikar kiya ke Marwan aur Miswar Bin Makhrama ne unhein khabar di ke jab qabila Hawazin ki bheje hue log (Musalman ho kar) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke paas aaye. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne kharay ho kar un se mulaqat farmai, phir in logon ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke samne darkhwast ki ke un ke amwal aur qaidi wapas kar diye jayein. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) kharay hue (khutba sunaya) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Tum dekhte ho mere sath jo log hain (mein akela hota to tum ko wapas kar deta) aur baat wahi mujhe pasand hai jo sach ho. Is liye do cheezon mein se ek hi tumhein ikhtiyar karni ho gi, ya apna mal wapas le lo, ya apne qaidiyon ko chura lo, isi liye mein ne un ki taqseem mein bhi dair ki thi." Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Taif se laut-te hue (Ji'rana mein) Hawazin walon ka wahan par kai raaton tak intezar kiya tha. Jab un logon par ye baat poori tarah zahir ho gayi ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) do cheezon (mal aur qaidi) mein se sirf ek hi ko wapas farma sakte hain. To unhon ne kaha ke hamein hamare aadmi hi wapas kar dijiye jo Aap ki qaid mein hain. Is ke baad Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne logon se khitab farmaya, Allah ki tareef is ki shan ke mutabiq karne ke baad farmaya "Amma ba'du! ye tumhare bhai hamare paas nadim ho kar aaye hain aur mera bhi khayal ye hai ke un ke aadmi jo hamari qaid mein hain, unhein wapas kar diye jayein. Ab jo shaks apni khushi se un ke aadmiyon ko wapas kare wo aisa kar le aur jo shaks apne hisse ko chorna na chahe (aur is shart par apne qaidiyon ko azad karne ke liye tayyar ho ke in qaidiyon ke badle mein) hum ise is ke baad sab se pehli mal-e-ghanimat mein se jo Allah Ta'ala hamein de ga is ke (is) hisse ka badla is ke hawala kar dein ge to wo aisa kar le." Log is par bol pare ke hum apni khushi se qaidi ko wapas karne ke liye tayyar hain. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is par farmaya "Lekin hum par ye zahir na ho saka ke kis ne hamein ijazat di hai aur kis ne nahi di hai. Is liye sab log (apne khimon mein) wapas jayein aur sab ke zimmedar aa kar un ki rai se hamein aagah karein." Chunanchay sab log chale aaye aur un ke sardaron ne (un se guftagu ki) phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir ho kar Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko khabar di ke sab ne apni khushi se ijazat de di hai. Yahi wo khabar hai jo hamein Hawazin ke qaidiyon ke silsile mein maloom hui hai. (Zuhri ne kaha) aur Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Abbas (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se (jab Bahrain se mal aaya) kaha tha ke (Badr ke moqa par) mein ne apna bhi fidya diya tha aur Aqeel (Radi Allahu Anhu) ka bhi
.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
العباس بن عبد المطلب الهاشمي، أبو الفضلصحابي
أنس بن مالك الأنصاري، أبو حمزة، أبو النضرصحابي
المسور بن مخرمة القرشي، أبو عبد الرحمنصحابي
مروان بن الحكم القرشي، أبو الحكم، أبو عبد الملك، أبو القاسمصدوق حسن الحديث
عروة بن الزبير الأسدي، أبو عبد اللهثقة فقيه مشهور
محمد بن شهاب الزهري، أبو بكرالفقيه الحافظ متفق على جلالته وإتقانه
عقيل بن خالد الأيلي، أبو خالدثقة ثبت
الليث بن سعد الفهمي، أبو الحارثثقة ثبت فقيه إمام مشهور
سعيد بن أبي مريم الجمحي، أبو محمدثقة ثبت
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
2540
إخوانكم قد جاءونا تائبين وإني رأيت أن أرد إليهم سبيهم فمن أحب منكم أن يطيب ذلك فليفعل ومن أحب أن يكون على حظه حتى نعطيه إياه من أول ما يفيء الله علينا فليفعل