الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاستقراض
Kitab: Qarz lene, ada karne, hajr aur muflisi manzoor karne ke bayan mein
باب أداء الديون:
Bab: Qarzon ka ada karna.
Hadith Number: Q2388
وقول الله تعالى: إن الله يامركم ان تؤدوا الامانات إلى اهلها وإذا حكمتم بين الناس ان تحكموا بالعدل إن الله نعما يعظكم به إن الله كان سميعا بصيرا سورة النساء آية 58.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah Nisa mein) farmaya ”Allah tumhe hukum deta hai ke amanatein un ke malikon ko ada karo. Aur jab logon ke darmiyan faisla karo to insaf ke sath karo. Allah tumhe acchi hi nasihat karta hai is mein kuch shak nahi ke Allah bahut sunne wala, bahut dekhne wala hai.“
.
.
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 2388
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا ابو شهاب، عن الاعمش، عن زيد بن وهب، عن ابي ذر رضي الله عنه، قال:" كنت مع النبي صلى الله عليه وسلم، فلما ابصر يعني احدا، قال: ما احب انه يحول لي ذهبا يمكث عندي منه دينار فوق ثلاث إلا دينارا ارصده لدين، ثم قال: إن الاكثرين هم الاقلون، إلا من قال بالمال هكذا وهكذا، واشار ابو شهاب بين يديه، وعن يمينه، وعن شماله، وقليل ما هم، وقال: مكانك، وتقدم غير بعيد فسمعت صوتا فاردت ان آتيه، ثم ذكرت قوله مكانك حتى آتيك، فلما جاء، قلت: يا رسول الله، الذي سمعت او قال الصوت الذي سمعت، قال: وهل سمعت؟ قلت: نعم، قال: اتاني جبريل عليه السلام، فقال: من مات من امتك لا يشرك بالله شيئا دخل الجنة، قلت: وإن فعل كذا وكذا، قال: نعم".
Hum se Ahmad Bin Yunus ne bayan kiya, kaha ke hum se Abu Shihab ne bayan kiya, un se Aamash ne, un se Zaid Bin Wahb ne aur un se Abu Zar (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath tha. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne jab dekha, Aap ki murad Uhud pahar (ko dekhne) se thi. To farmaya ke mein ye bhi pasand nahi karunga ke Uhud pahar sone ka ho jaye to is mein se mere paas ek dinar ke barabar bhi teen din se ziyada baqi rahe. Siwa is dinar ke jo mein kisi ka qarz ada karne ke liye rakh loon. Phir farmaya, (duniya mein) dekho jo ziyada (maal) wale hain wahi muhtaj hain. Siwa in ke jo apne maal-o-daulat ko yun aur yun kharch karein. Abu Shihab rawi ne apne samne aur dayin taraf aur bayin taraf isharah kiya, lekin aise logon ki tadaad kam hoti hai. Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya yahin thehre raho aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) thori door aage ki taraf barhe. Mein ne kuch aawaz suni (jaise Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) kisi se baatein kar rahe hon) mein ne chaha ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir ho jaon. Lekin Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka ye farman yaad aya ke ”yahin is waqt tak thehre rehna jab tak mein na aa jaon“ is ke baad jab Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) tashreef laye to mein ne poocha Ya Rasul Allah! abhi mein ne kuch suna tha. Ya (rawi ne ye kaha ke) mein ne koi aawaz suni thi. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, tum ne bhi suna! mein ne arz kiya ke han. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mere paas Jibrail (Alaihis Salam) aaye thay aur keh gaye hain ke tumhari ummat ka jo shakhs bhi is halat mein mare ke wo Allah ke sath kisi ko shareek na thehrata ho, to wo Jannat mein dakhil ho ga. Mein ne poocha ke agar chahay wo is tarah (ke gunah) karta raha ho. To Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne kaha ke han
.
.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| أبو ذر الغفاري، أبو ذر | صحابي | |
| زيد بن وهب الجهني، أبو سليمان | ثقة | |
| سليمان بن مهران الأعمش، أبو محمد | ثقة حافظ | |
| عبد ربه بن نافع الكناني، أبو شهاب | ثقة | |
| أحمد بن يونس التميمي، أبو عبد الله | ثقة حافظ |
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
6444
| ما يسرني أن عندي مثل أحد هذا ذهبا تمضي علي ثالثة وعندي منه دينار إلا شيئا أرصده لدين إلا أن أقول به في عباد الله هكذا وهكذا وهكذا عن يمينه وعن شماله ومن خلفه ثم مشى الأكثرين هم الأقلون يوم القيامة إلا من قال هكذا وهكذا وهكذا عن يمينه وعن شماله |
صحيح البخاري |
2388
| ما أحب أنه يحول لي ذهبا يمكث عندي منه دينار فوق ثلاث إلا دينارا أرصده لدين الأكثرين هم الأقلون إلا من قال بالمال هكذا وهكذا وقليل ما هم من مات من أمتك لا يشرك بالله شيئا دخل الجنة قلت وإن فعل كذا وكذا قال نعم |
صحيح مسلم | 2304 | ما أحب أن أحدا ذاك عندي ذهب أمسى ثالثة عندي منه دينار إلا دينارا أرصده لدين إلا أن أقول به في عباد الله هكذا حثا بين يديه وهكذا عن يمينه وهكذا عن شماله |
صحيح مسلم | 2306 | ما يسرني أن لي مثله ذهبا أنفقه كله إلا ثلاثة دنانير |