الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا يَجُوزُ مِنَ اللَّوْ:
Lafz "agar magar" ke istemaal ka joaz.
Show diacritics
Hadith Number: 7242
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، وقال الليث، حدثني عبد الرحمن بن خالد، عن ابن شهاب، ان سعيد بن المسيب اخبره، ان ابا هريرة، قال:" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الوصال، قالوا: فإنك تواصل، قال: ايكم مثلي؟، إني ابيت يطعمني ربي ويسقين، فلما ابوا ان ينتهوا، واصل بهم يوما، ثم يوما، ثم راوا الهلال، فقال: لو تاخر لزدتكم كالمنكل لهم".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, kaha hum ko Zuhri ne khabar di aur Laith ne kaha ke mujh se Abdur Rahman bin Khalid ne bayan kiya, un se Ibn Shihab (Zuhri) ne, unhein Said bin Musayyib ne khabar di aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne saum-e-wisal se mana kiya to sahabah ne arz ki ke Aap to wisal karte hain. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke tum mein kaun mujh jaisa hai, mein to is haal mein raat guzarta hoon ke mera Rabb mujhe khilata pilata hai lekin jab log na maane to Aap ne ek din ke saath doosra din mila kar (wisal ka) roza rakkha, phir logon ne (eid ka) chand dekha to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke agar chand na hota to mein aur wisal karta, goya Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne unhein tanbeeh karne ke liye aisa farmaya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7243
حدثنا مسدد، حدثنا ابو الاحوص، حدثنا اشعث، عن الاسود بن يزيد، عن عائشة، قالت:" سالت النبي صلى الله عليه وسلم" عن الجدر، امن البيت هو؟، قال: نعم، قلت: فما لهم لم يدخلوه في البيت؟، قال: إن قومك قصرت بهم النفقة، قلت: فما شان بابه مرتفعا؟، قال: فعل ذاك قومك ليدخلوا من شاءوا ويمنعوا من شاءوا، ولولا ان قومك حديث عهدهم بالجاهلية، فاخاف ان تنكر قلوبهم ان ادخل الجدر في البيت وان الصق بابه في الارض".
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, kaha hum se Abul Ahwas ne bayan kiya, kaha hum se Ash'as ne, un se Aswad bin Yazid ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se (Khana-e-Ka'ba ke) Hateem ke bare mein poocha ke kya yeh bhi Khana-e-Ka'ba ka hissa hai? Farmaya ke haan. Mein ne kaha: phir kyun in logon ne ise Baitullah mein dakhil nahi kiya? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke tumhari qaum ke paas kharch ki kami ho gayi thi, mein ne kaha ke yeh Khana-e-Ka'ba ka darwaza oonchayi par kyun hai? Farmaya ke yeh is liye unhon ne kiya hai taake jise chahein andar dakhil karein aur jise chahein rook dein. Agar tumhari qaum (Quraish) ka zamana-e-jahiliyat se qareeb na hota aur mujhe khauf na hota ke un ke dilon mein is se inkar paida ho ga to mein Hateem ko bhi Khana-e-Ka'ba mein shamil kar deta aur is ke darwaze ko zameen ke barabar kar deta.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7244
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لولا الهجرة لكنت امرا من الانصار، ولو سلك الناس واديا وسلكت الانصار واديا، او شعبا لسلكت وادي الانصار، او شعب الانصار".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhon ne kaha hum se Abuz Zinad ne bayan kiya, un se A'raj ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Agar hijrat (ki fazeelat) na hoti to mein Ansar ka ek fard banna (pasand karta) aur agar doosre log kisi wadi mein chalein aur Ansar ek wadi ya ghati mein chalein to mein Ansar ki wadi ya ghati mein chaloon ga.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7245
حدثنا موسى، حدثنا وهيب، عن عمرو بن يحيى، عن عباد بن تميم، عن عبد الله بن زيد، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"لولا الهجرة لكنت امرا من الانصار ولو سلك الناس واديا، او شعبا لسلكت وادي الانصار وشعبها"، تابعه ابو التياح، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم في الشعب.
`Hum se Musa ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, un se Amr bin Yahya ne, un se Abbad bin Tamim ne aur un se Abdullah bin Zaid Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke agar hijrat na hoti to mein Ansar ka ek fard hota aur agar log kisi wadi ya ghati mein chalein to mein Ansar ki wadi ya ghati mein chaloon ga. Is riwayat ki mutabi'at Abul Tayyah ne ki, un se Anas Radi Allahu Anhu ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se. Is mein bhi darre ka zikr hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة