الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا جَاءَ فِي التَّمَنِّي وَمَنْ تَمَنَّى الشَّهَادَةَ:
Aarzoo karne ke baare mein aur jis ne shahaadat ki aarzoo ki.
Show diacritics
Hadith Number: 7226
حدثنا سعيد بن عفير حدثني الليث حدثني عبد الرحمن بن خالد عن ابن شهاب عن ابي سلمة وسعيد بن المسيب ان ابا هريرة قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول: «والذي نفسي بيده لولا ان رجالا يكرهون ان يتخلفوا بعدي ولا اجد ما احملهم ما تخلفت، لوددت اني اقتل في سبيل الله، ثم احيا ثم اقتل، ثم احيا ثم اقتل، ثم احيا ثم اقتل» .
`Hum se Said bin Afir ne bayan kiya, kaha mujh se Laith bin Saad ne, kaha mujh se Abdur Rahman bin Khalid ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Abu Salama aur Said bin Musayyib ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne suna Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Is zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai. Agar in logon ka khayal na hota jo mere saath gazwa mein shareek na ho sakne ko bura jaante hain magar asbab ki kami ki wajah se wo shareek nahi ho sakte aur koi aisi cheez mere paas nahi hai jis par unhein sawar karoon to mein kabhi (gazawat mein shareek hone se) peeche na rehta. Meri khwahish hai ke Allah ke raste mein qatl kiya jaoon phir zinda kiya jaoon, phir qatl kiya jaoon, phir zinda kiya jaoon, phir qatl kiya jaoon, aur phir zinda kiya jaoon aur phir mara jaoon.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7227
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" والذي نفسي بيده وددت اني اقاتل في سبيل الله، فاقتل، ثم احيا، ثم اقتل، ثم احيا، ثم اقتل"، فكان ابو هريرة يقولهن ثلاثا اشهد بالله.
`Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Malik ne khabar di, unhein Abuz Zinad ne, unhein A'raj ne aur unhein Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Is zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai, meri aarzu hai ke mein Allah ke raste mein jang karoon aur qatl kiya jaoon phir zinda kiya jaoon, phir qatl kiya jaoon, phir zinda kiya jaoon, phir qatl kiya jaoon, Abu Hurairah Radi Allahu Anhu in alfaz ko teen martaba dohrate thay ke mein Allah ko gawah kar ke kehta hoon.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَمَنِّي الْخَيْرِ:
Neek kaam jaise khairaat ki aarzoo karna.
Show diacritics
Hadith Number: Q7228
وقول النبي صلى الله عليه وسلم: «لو كان لي احد ذهبا» .
Aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ka irshad ke agar mere paas Uhud pahad ke barabar sona hota to mein ise bhi khairat kar deta.


Show diacritics
Hadith Number: 7228
حدثنا إسحاق بن نصر، حدثنا عبد الرزاق، عن معمر، عن همام، سمع ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لو كان عندي احد ذهبا، لاحببت ان لا ياتي علي ثلاث وعندي منه دينار ليس شيء ارصده في دين علي اجد من يقبله".
`Hum se Ishaq bin Nasr ne bayan kiya, kaha hum se Abdur Razzaq ne bayan kiya, un se Ma'mar ne, un se Hammam bin Munabbih ne, unhon ne Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se suna ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Agar mere paas Uhud pahad ke barabar sona hota to mein pasand karta ke agar un ke lene wale mil jayein to teen din guzarne se pehle hi mere paas is mein se ek dinar bhi na bache, siwa is ke jise mein apne oopar qarz ki adaiygi ke liye rook loon.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لَوِ اسْتَقْبَلْتُ مِنْ أَمْرِي مَا اسْتَدْبَرْتُ» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka irshaad "agar mujhe pehle se woh maloom hota jo baad ko hua".
Show diacritics
Hadith Number: 7229
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، حدثني عروة، ان عائشة قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لو استقبلت من امري ما استدبرت ما سقت الهدي ولحللت مع الناس حين حلوا".
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, un se Urwa Radi Allahu Anhu ne ke Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne (Hujjat-ul-Wada ke mauqe par) farmaya ”Agar mujh ko apna haal pehle se maloom hota jo baad ko maloom hua to mein apne saath qurbani ka janwar na lata aur umrah kar ke doosre logon ki tarah bhi ihram khol dalta.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7230
حدثنا الحسن بن عمر، حدثنا يزيد، عن حبيب، عن عطاء، عن جابر بن عبد الله، قال:" كنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم، فلبينا بالحج وقدمنا مكة لاربع خلون من ذي الحجة، فامرنا النبي صلى الله عليه وسلم ان نطوف بالبيت وبالصفا والمروة وان نجعلها عمرة ونحل إلا من كان معه هدي، قال: ولم يكن مع احد منا هدي غير النبي صلى الله عليه وسلم، وطلحة، وجاء علي من اليمن معه الهدي، فقال: اهللت بما اهل به رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالوا: ننطلق إلى منى، وذكر احدنا يقطر، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إني لو استقبلت من امري ما استدبرت ما اهديت، ولولا ان معي الهدي لحللت، قال: ولقيه سراقة وهو يرمي جمرة العقبة، فقال: يا رسول الله، النا هذه خاصة، قال: لا، بل لابد، قال: وكانت عائشة قدمت معه مكة وهي حائض، فامرها النبي صلى الله عليه وسلم ان تنسك المناسك كلها غير انها لا تطوف ولا تصلي حتى تطهر، فلما نزلوا البطحاء، قالت عائشة: يا رسول الله: اتنطلقون بحجة وعمرة وانطلق بحجة، قال: ثم امر عبد الرحمن بن ابي بكر الصديق ان ينطلق معها إلى التنعيم، فاعتمرت عمرة في ذي الحجة بعد ايام الحج".
`Hum se Hasan bin Umar Jarmi ne bayan kiya, kaha hum se Yazid bin Zurai Basri ne, un se Habib bin Abi Quraiba ne, un se Ata bin Abi Rabah ne, un se Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke hum Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke (Hujjat-ul-Wada ke mauqe par) saath thay, phir hum ne hajj ke liye talbiya kaha aur 4 Zil-Hijjah ko Makkah pahunche, phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne humein Baitullah aur Safa aur Marwa ke tawaf ka hukm diya aur yeh ke hum ise umrah bana lein aur is ke baad halal ho jayein (siwa un ke jin ke saath qurbani ka janwar ho wo halal nahi ho sakte) bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم aur Talha Radi Allahu Anhu ke siwa hum mein se kisi ke paas qurbani ka janwar na tha aur Ali Radi Allahu Anhu Yaman se aaye thay aur un ke saath bhi hadya thi aur kaha ke mein bhi is ka ihram baandh kar aaya hoon jis ka Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne ihram baandha hai, phir doosre log kehne lage ke kya hum apni aurton ke saath suhbat karne ke baad Mina ja sakte hain? (is haal mein ke hamare zikr mani tapkate hon?) Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne is par farmaya ke jo baat mujhe baad mein maloom hui agar pehle hi maloom hoti to mein hadya saath na lata aur agar mere saath hadya na hoti to mein bhi halal ho jata. Bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se Suraqa bin Malik ne mulaqat ki. Is waqt Aap bade shaitan par rami kar rahe thay aur poocha ya Rasul Allah! (kya) yeh hamare liye khaas hai? Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke nahi balki hamesha ke liye hai. Bayan kiya ke Aisha Radi Allahu Anha bhi Makkah aayi theen lekin wo haiza theen to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne unhein tamam amaal-e-hajj ada karne ka hukm diya, sirf wo paak hone se pehle tawaf nahi kar sakti theen aur na namaz parh sakti theen. Jab sab log Batha mein utre to Aisha Radi Allahu Anha ne kaha: ya Rasul Allah! kya aap sab log umrah o hajj donon kar ke lautein ge aur mera sirf hajj ho ga? Bayan kiya ke phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Abdur Rahman bin Abi Bakr Siddiq Radi Allahu Anhu ko hukm diya ke Aisha ko saath le kar maqaam-e-Taneem jayein. Chunancha unhon ne bhi ayyam-e-hajj ke baad Zil-Hijjah mein umrah kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَيْتَ كَذَا وَكَذَا:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka yun farmana ke kaash aisa aur aisa hota.
Show diacritics
Hadith Number: 7231
حدثنا خالد بن مخلد، حدثنا سليمان بن بلال، حدثني يحيى بن سعيد، سمعت عبد الله بن عامر بن ربيعة، قال: قالت عائشة:" ارق النبي صلى الله عليه وسلم ذات ليلة، فقال: ليت رجلا صالحا من اصحابي يحرسني الليلة، إذ سمعنا صوت السلاح، قال: من هذا؟، قال سعد: يا رسول الله، جئت احرسك، فنام النبي صلى الله عليه وسلم حتى سمعنا غطيطه، قال ابو عبد الله، وقالت عائشة، قال بلال: الا ليت شعري هل ابيتن ليلة بواد وحولي إذخر وجليل، فاخبرت النبي صلى الله عليه وسلم".
`Hum se Khalid bin Makhlad ne bayan kiya, kaha hum se Sulaiman bin Bilal ne bayan kiya, kaha mujh se Yahya bin Said ne bayan kiya, unhon ne Abdullah bin Aamir bin Rabi'a se suna ke Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke ek raat Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko neend na aayi, phir Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Kash mere sahabah mein se koi naik mard mere liye aaj raat pehra deta.“ Itne mein hum ne hathiyaron ki aawaz suni. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne poocha kaun sahab hain? Bataya gaya ke Saad bin Abi Waqas Radi Allahu Anhu hain ya Rasul Allah! (unhon ne kaha) mein Aap ke liye pehra dene aaya hoon, phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم soye yahan tak ke hum ne Aap ke kharrate ki aawaz sune. Abu Abdullah Imam Bukhari Rahimahullah ne bayan kiya ke Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Bilal Radi Allahu Anhu jab naye naye Madinah aaye to ba-halat-e-bukhar hairani mein yeh sher parhte thay. ”Kash mein jaanta ke mein ek raat is wadi mein guzar sakoon ga... (wadi mein) aur mere chaaron taraf izkhir aur jaleel ghaas ho gi.“ Phir mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se is ki khabar ki.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَمَنِّي الْقُرْآنِ وَالْعِلْمِ:
Quran Majeed aur ilm ki aarzoo karna.
Show diacritics
Hadith Number: 7232
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تحاسد إلا في اثنتين: رجل آتاه الله القرآن فهو يتلوه آناء الليل والنهار، يقول: لو اوتيت مثل ما اوتي هذا لفعلت كما يفعل، ورجل آتاه الله مالا ينفقه في حقه، فيقول: لو اوتيت مثل ما اوتي لفعلت كما يفعل"، حدثنا قتيبة، حدثنا جرير بهذا.
`Hum se Umar bin Abi Shaiba ne bayan kiya, kaha hum se Jareer bin Abdul Hameed ne bayan kiya, un se Abu Salih ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Rashk sirf do shakhson par ho sakta hai ek wo jise Allah ne Quran diya hai aur wo ise din raat parhta rehta hai aur is par (sunne wala) kahe ke agar mujhe bhi is ka aisa hi ilm hota jaisa ke is shakhs ko diya gaya hai to mein bhi isi tarah karta jaisa ke yeh karta hai aur doosra wo shakhs jise Allah ne maal diya aur wo ise Allah ke raste mein kharch karta hai to (dekhne wala) kahe ke agar mujhe bhi itna diya jata jaisa ise diya gaya hai to mein bhi isi tarah karta jaisa ke yeh kar raha hai.“ Hum se Qutaiba bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Jareer ne phir yahi hadees bayan kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنَ التَّمَنِّي:
Jis ki tamanna karna mana hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q7233
ولا تتمنوا ما فضل الله به بعضكم على بعض للرجال نصيب مما اكتسبوا وللنساء نصيب مما اكتسبن واسالوا الله من فضله إن الله كان بكل شيء عليما سورة النساء آية 32
Aur Allah Ta'ala ne (Surah an-Nisa mein) farmaya ”Aur na tamanna karo is cheez ki jis ke zariya Allah Ta'ala ne tum mein se baaz ko baaz par (maal mein) fazeelat di hai. Mard apni kamayi ka sawab payein ge aur aurtein apni kamayi ka aur Allah Ta'ala se is ka fazl mango bilashuba Allah har cheez ka janne wala hai.“


Show diacritics
Hadith Number: 7233
حدثنا حسن بن الربيع، حدثنا ابو الاحوص، عن عاصم، عن النضر بن انس، قال: قال انس رضي الله عنه: لولا اني سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" لا تتمنوا الموت، لتمنيت".
`Hum se Hasan bin Rabee ne bayan kiya, un se Abul Ahwas ne, un se Aasim ne bayan kiya, un se Nazr bin Anas ne bayan kiya ke Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne kaha agar mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se yeh na suna hota ke maut ki tamanna na karo to mein maut ki aarzu karta.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة