الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنَ الاِحْتِيَالِ فِي الْبُيُوعِ:
Khareed o farokht mein hila aur fareb karna mana hai.
Hadith Number: 6962
حدثنا إسماعيل، حدثنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يمنع فضل الماء ليمنع به فضل الكلإ".
`Hum se Ismail ne bayan kiya, ke hum se Imam Malik ne, un se Abuz Zinad ne, un se A'raj ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Baccha hua be-zaroorat pani is liye na roka jaye ke is ki wajah se bacchi hui ghaas bhi bacchi rahe (is mein bhi heela saazi se roka gaya hai).
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنَ التَّنَاجُشِ:
Najsh ki karaahat (yani kisi cheez ka khareedna manzoor na ho magar dusre khareedaron ko behkaane ke liye us ki qeemat barhaana.
Hadith Number: 6963
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Imam Malik ne in se Nafi ne aur in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Bai e Najash se mana farmaya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُنْهَى مِنَ الْخِدَاعِ فِي الْبُيُوعِ:
Khareed o farokht mein dhoka dene ki mamanat.
Hadith Number: Q6964
وقال ايوب يخادعون الله كانما يخادعون آدميا لو اتوا الامر عيانا كان اهون علي.
Aur Ayub ne kaha, wo kam-bakht Allah ko is tarah dhoka dete hain jis tarah kisi aadmi ko (khareed o farokht mein) dhoka dete hain agar wo saaf saaf khol kar keh dein ke hum itna nafa lein ge to yeh hamare nazdeek aasan hai.
Hadith Number: 6964
حدثنا إسماعيل، حدثنا مالك، عن عبد الله بن دينار، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما،" ان رجلا ذكر للنبي صلى الله عليه وسلم انه يخدع في البيوع، فقال: إذا بايعت فقل: لا خلابة".
`Hum se Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik ne bayan kiya, un se Abdullah bin Dinar ne aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne ke ek sahabi ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se arz kiya ke wo khareed o farokht mein dhoka kha jate hain. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke jab tum kuch khareeda karo to keh diya karo ke is mein koi dhoka na hona chahiye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُنْهَى مِنَ الاِحْتِيَالِ لِلْوَلِيِّ فِي الْيَتِيمَةِ الْمَرْغُوبَةِ، وَأَنْ لاَ يُكَمِّلَ صَدَاقَهَا:
Yateem larki se jo marghooba ho us ke wali fareb de kar yani mehr misl se kam mehr muqarrar kar ke nikah kare to yeh mana hai.
Hadith Number: 6965
حدثنا ابو اليمان، حدثنا شعيب، عن الزهري، قال كان عروة يحدث انه سال عائشة: وإن خفتم الا تقسطوا في اليتامى فانكحوا ما طاب لكم من النساء سورة النساء آية 3، قالت: هي اليتيمة في حجر وليها، فيرغب في مالها وجمالها، فيريد ان يتزوجها بادنى من سنة نسائها، فنهوا عن نكاحهن إلا ان يقسطوا لهن في إكمال الصداق"، ثم استفتى الناس رسول الله صلى الله عليه وسلم بعد فانزل الله: ويستفتونك في النساء سورة النساء آية 127، فذكر الحديث.
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, un se Zuhri ne ke Urwa un se bayan karte thay ke Aisha Radi Allahu Anha ne ayat «Wa in khiftum alla tuqsitoo fil yatama fankihoo ma taba lakum minan-nisa'i» ”Aur agar tumhein khauf ho ke tum yateemon ke bare mein insaf nahi kar sako ge to phir doosri aurton se nikah karo jo tumhein pasand hon.“ Aap ne kaha ke is ayat mein aisi yateem larki ka zikr hai jo apne wali ki parwarish mein ho aur wali larki ke maal aur is ke husn se ragbat rakhta ho aur chahta ho ke aurton (ke mahr wagaira ke mutalliq) jo sab se mamooli tariqa hai is ke mutabiq is se nikah kare to aise waliyon ko in larkiyon ke nikah se mana kiya gaya hai. Siwa is surat ke ke wali mahr ko poora karne mein insaf se kaam le. Phir logon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se is ke baad masla poocha to Allah Ta'ala ne yeh ayat nazil ki «Wa yastaftoonaka fin-nisa'i» ”Aur log Aap se aurton ke bare mein masla poochte hain.“ Aur is waqia ka zikr kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا غَصَبَ جَارِيَةً فَزَعَمَ أَنَّهَا مَاتَتْ:
Jab kisi shakhs ne londi zabardasti chheen li aur kaha ke woh londi mar gayi hai.
Hadith Number: Q6966
ثم وجدها صاحبها فهي له ويرد القيمة ولا تكون القيمة ثمنا، وقال بعض الناس الجارية للغاصب لاخذه القيمة وفي هذا احتيال لمن اشتهى جارية رجل لا يبيعها فغصبها واعتل بانها ماتت حتى ياخذ ربها قيمتها فيطيب للغاصب جارية غيره، قال النبي صلى الله عليه وسلم اموالكم عليكم حرام ولكل غادر لواء يوم القيامة.
Ab laundi ke malik ne is par dawa kiya to cheenne wale ne yeh kaha ke wo laundi mar gayi. Hakim ne is se qimat dila di ab is ke baad malik ko wo laundi zinda mil gayi to wo apni laundi le le ga aur cheenne wale ne jo qimat di thi wo is ko wapas kar de ga yeh na ho ga ke jo qimat cheenne wale ne di wo laundi ka mol ho jaye, wo laundi cheenne wale ki milk ho jaye. Baaz logon ne kaha ke wo laundi cheenne wale ki milk ho jaye gi kyunke malik is laundi ka mol is se le chuka hai. Yeh fatwa diya hai goya jis laundi ki aadmi ko khwahish ho is ke hasil kar lene ki ek tadbeer hai ke wo jis ki chahe ga is ki laundi jabran cheen le ga jab malik dawa kare ga to keh de ga ke wo mar gayi aur qimat malik ke palle mein daal de ga. Is ke baad be-fikri se parayi laundi se maze udata rahe ga kyunke is ke khayal-e-baatil mein wo laundi is ke liye halal ho gayi halanke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم farmate hain ek doosre ke maal tum par haram hain aur farmate hain qayamat ke din har daga-baz ke liye ek jhanda khada kiya jaye ga (taake sab ko is ki daga-baazi ka haal maloom ho jaye).
Hadith Number: 6966
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن عبد الله بن دينار، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لكل غادر لواء يوم القيامة يعرف به".
`Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, un se Abdullah bin Dinar ne, aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya, ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Har dhoka dene wale ke liye qayamat ke din ek jhanda ho ga jis ke zariya wo pehchana jaye ga.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
...
Hadith Number: 6967
حدثنا محمد بن كثير، عن سفيان، عن هشام، عن عروة، عن زينب بنت ام سلمة، عن ام سلمة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إنما انا بشر وإنكم تختصمون إلي، ولعل بعضكم ان يكون الحن بحجته من بعض، واقضي له على نحو ما اسمع، فمن قضيت له من حق اخيه شيئا فلا ياخذ، فإنما اقطع له قطعة من النار".
Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya , in se Sufyan ne , in se Hisham ne , in se Urwah ne , in se Zeenat bint Umm Salama ne aur in se Umm Salama razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”main tumhare hi jaisa insan hoon aur baaz auqat jab tum bahami jhagra laate ho to mumkin hai ke tum mein se baaz apne fareeq e mukhalif ke muqabla mein apna muqaddama pesh karne mein zyada chalaki se bolne wala ho aur is tarah main is ke mutabiq faisla kar doon jo main tum se sunta hoon . Pas jis shakhs ke liye bhi is ke bhai ke haq mein se , main kisi cheez ka faisla kar doon to woh usay na le . Kyunke is tarah main usay jahannum ka ek tukra deta hoon .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ في النِّكَاحِ:
Nikah par jhooti gawahi guzar jaaye to kya hukm hai.
Hadith Number: 6968
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا هشام، حدثنا يحيى بن ابي كثير، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تنكح البكر حتى تستاذن، ولا الثيب حتى تستامر، فقيل: يا رسول الله، كيف إذنها؟، قال: إذا سكتت"، وقال بعض الناس: إن لم تستاذن البكر ولم تزوج، فاحتال رجل فاقام شاهدي زور انه تزوجها برضاها، فاثبت القاضي نكاحها، والزوج يعلم ان الشهادة باطلة، فلا باس ان يطاها وهو تزويج صحيح.
`Hum se Muslim bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Hisham ne bayan kiya, kaha hum se Yahya bin Abi Kaseer ne bayan kiya, un se Abu Salama ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Kisi kanwari larki ka nikah is waqt tak na kiya jaye jab tak is ki ijazat na le li jaye aur kisi bewa ka nikah is waqt tak na kiya jaye jab tak is ka hukm na maloom kar liya jaye.“ Poocha gaya: ya Rasul Allah! is (kanwari) ki ijazat ki kya surat hai? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke is ki khamoshi ijazat hai. Is ke bawajood baaz log kehte hain ke agar kanwari larki se ijazat na li gayi aur na us ne nikah kiya. Lekin kisi shakhs ne heela kar ke do jhoote gawah khade kar diye ke us ne larki se nikah kiya hai is ki marzi se aur qazi ne bhi is ke nikah ka faisla kar diya. Halanke shohar jaanta hai ke wo jhoota hai ke gawahi jhooti thi is ke bawajood is larki se suhbat karne mein is ke liye koi haraj nahi hai balki yeh nikah sahih ho ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6969
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا يحيى بن سعيد، عن القاسم،" ان امراة من ولد جعفر تخوفت ان يزوجها وليها وهي كارهة، فارسلت إلى شيخين من الانصار، عبد الرحمن، ومجمع ابني جارية، قالا: فلا تخشين، فإن خنساء بنت خذام انكحها ابوها وهي كارهة، فرد النبي صلى الله عليه وسلم ذلك"، قال سفيان: واما عبد الرحمن فسمعته يقول: عن ابيه، إن خنساء.
`Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne, kaha hum se Yahya bin Said ne, un se Qasim ne ke Jafar Radi Allahu Anhu ki aulad mein se ek khatoon ko is ka khatra hua ke un ka wali (jin ki wo zer-e-parwarish theen) un ka nikah kar de ga. Halanke wo is nikah ko napasand karti theen. Chunancha unhon ne qabila-e-Ansar ke do shuyookh Abdur Rahman aur Mujammi' ko jo Jariya ke bete thay kehla bheja unhon ne tasalli di ke koi khauf na karein. Kyunke Khansa bint-e-Khizam Radi Allahu Anha ka nikah un ke walid ne un ki napasandidi ke bawajood kar diya tha to Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne is nikah ko radd kar diya tha. Sufyan ne bayan kiya ke mein ne Abdur Rahman ko apne walid se yeh kehte hue suna hai ke Khansa Radi Allahu Anha aakhir hadees tak bayan kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة