الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابٌ في تَرْكِ الْحِيَلِ وَأَنَّ لِكُلِّ امْرِئٍ مَا نَوَى فِي الأَيْمَانِ وَغَيْرِهَا:
Hila chhodne ka bayaan. (Yeh hadis hai ke) har shakhs ko wahi mile ga jis ki woh niyat kare qasam waghera mein yeh hadis ibaadaat aur muamlaat sab ko shaamil hai.
Hadith Number: 6953
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن يحيى بن سعيد، عن محمد بن إبراهيم، عن علقمة بن وقاص، قال: سمعت عمر بن الخطاب رضي الله عنه يخطب، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" يا ايها الناس إنما الاعمال بالنية، وإنما لامرئ ما نوى، فمن كانت هجرته إلى الله ورسوله فهجرته إلى الله ورسوله، ومن هاجر إلى دنيا يصيبها، او امراة يتزوجها، فهجرته إلى ما هاجر إليه".
Hum se Abu al-Nu-man ne bayan kiya , kaha hum se Hammad bin Zayd ne bayan kiya , in se Yahya bin Saeed Ansari ne , in se Muhammad bin Ibrahim Taymi ne , in se Alqama bin Waqqas Laysi ne bayan kiya ke main ne Umar bin Khattab razi Allahu anhu se khutba mein suna unhon ne kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko yeh farmate huay suna tha: Ae logo! Aamal ka dar-o-madar niyaton par hai aur har shakhs ko wahi mile ga jis ki woh niyat kare ga pas jis ki Hijrat Allah aur is ke Rasool ki taraf ho usay Hijrat (ka sawab mile ga) aur jis ki Hijrat ka maqsud duniya ho gi ke jise woh haasil kar le ya koi aurat ho gi jis se woh shadi kar le to is ki Hijrat isi ke liye ho gi jis ke liye us ne Hijrat ki hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ في الصَّلاَةِ:
Namaz khatam karne mein ek hile ka bayaan.
Hadith Number: 6954
حدثني إسحاق بن نصر، حدثنا عبد الرزاق، عن معمر، عن همام، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يقبل الله صلاة احدكم إذا احدث حتى يتوضا".
Mujh se Ishaq ne bayan kiya , kaha hum se Abd-ul-Razzaq ne bayan kiya , in se Mamar ne , in se Humam ne , in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Ta'ala tum mein se kisi aise shakhs ki namaz qabool nahi karta jise wuzu ki zaroorat ho yahan tak ke woh wuzu kar le .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ في الزَّكَاةِ وَأَنْ لاَ يُفَرَّقَ بَيْنَ مُجْتَمِعٍ، وَلاَ يُجْمَعَ بَيْنَ مُتَفَرِّقٍ، خَشْيَةَ الصَّدَقَةِ:
Zakat mein hila karne ka bayaan. (Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya) zakat ke dar se jo maal ikattha ho usay juda juda na karen aur jo juda juda ho usay ikattha na karen.
Hadith Number: 6955
حدثنا محمد بن عبد الله الانصاري، حدثنا ابي، حدثنا ثمامة بن عبد الله بن انس، ان انسا حدثه،" ان ابا بكر كتب له فريضة الصدقة التي فرض رسول الله صلى الله عليه وسلم، ولا يجمع بين متفرق، ولا يفرق بين مجتمع خشية الصدقة".
`Hum se Muhammad bin Abdullah al-Ansari ne bayan kiya, kaha hum se hamare walid ne bayan kiya, kaha hum se Sumama bin Abdullah bin Anas ne bayan kiya, aur un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne unhein (Zakat) ka hukm nama likh kar bheja jo Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farz qarar diya tha ke mutafarriq sadqa ko ek jagah jama na kiya jaye aur na mujtami sadqa ko mutafarriq kiya jaye Zakat ke khauf se.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6956
حدثنا قتيبة، حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن ابي سهيل، عن ابيه، عن طلحة بن عبيد الله،" ان اعرابيا جاء إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم ثائر الراس، فقال: يا رسول الله، اخبرني ماذا فرض الله علي من الصلاة؟، فقال: الصلوات الخمس، إلا ان تطوع شيئا، فقال: اخبرني بما فرض الله علي من الصيام؟، قال: شهر رمضان، إلا ان تطوع شيئا، قال: اخبرني بما فرض الله علي من الزكاة؟، قال: فاخبره رسول الله صلى الله عليه وسلم شرائع الإسلام، قال: والذي اكرمك لا اتطوع شيئا، ولا انقص مما فرض الله علي شيئا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: افلح إن صدق، او دخل الجنة إن صدق"، وقال بعض الناس في عشرين ومائة بعير حقتان، فإن اهلكها متعمدا، او وهبها، او احتال فيها فرارا من الزكاة، فلا شيء عليه.
`Hum se Qutaiba bin Said ne bayan kiya, kaha hum se Ismail bin Jafar ne bayan kiya, un se Abu Suhail Nafi' ne, un se un ke walid Malik bin Abi Amir ne, aur un se Talha bin Ubaidullah Radi Allahu Anhu ne ke ek dehati (Zimam bin Salaba) Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein is haal mein hazir hua ke is ke sar ke baal praganda thay aur arz kiya: ya Rasul Allah! mujhe batayie ke Allah Ta'ala ne mujh par kitni namazein farz ki hain? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke paanch waqt ki namazein. Siwa un namazon ke jo tum nafli parho. Is ne kaha mujhe batayie ke Allah Ta'ala ne kitne roze farz kiye hain? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Ramzan ke mahine ke roze siwa un ke jo tum nafli rakkho. Is ne poocha mujhe batayie ke Allah Ta'ala ne Zakat kitni farz ki hai? Bayan kiya ke is par Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Zakat ke masail bayan kiye. Phir is dehati ne kaha is zaat ki qasam jis ne Aap ko yeh izzat bakhshi hai jo Allah Ta'ala ne mujh par farz kiya hai is mein na mein kisi qism ki ziyadati karoon ga aur na kami. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke agar is ne sahih kaha hai to jannat mein jaye ga aur baaz logon ne kaha ke ek sau bees oonton mein do hisse teen teen baras ki do oontniyan jo chauthe baras mein lagi hon Zakat mein lazim aati hain pas magar kisi ne in oonton ko amdan talaf kar dala (maslan zibah kar diya) aur koi heela kiya to is ke oopar se Zakat saqit ho gi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6957
حدثني إسحاق، حدثنا عبد الرزاق، حدثنا معمر، عن همام، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يكون كنز احدكم يوم القيامة شجاعا اقرع يفر منه صاحبه فيطلبه، ويقول انا كنزك، قال والله لن يزال يطلبه حتى يبسط يده فيلقمها فاه.
Mujh se Ishaq ne bayan kiya , kaha hum se Abd-ul-Razzaq ne bayan kiya , kaha hum se Mamar ne bayan kiya , in se Humam ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Qayamat ke din tum mein se kisi ka khazana chit-kabara azhdaha ban kar aaye ga is ka maalik is se bhaage ga lekin woh usay talash kar raha ho ga aur kahe ga ke main tumhara khazana hoon . Farmaya wallah woh musalsal talash karta rahe ga yahan tak ke woh shakhs apna hath phaila de ga aur azhdaha usay luqma banaye ga .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6958
وقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إذا ما رب النعم لم يعط حقها، تسلط عليه يوم القيامة، فتخبط وجهه باخفافها"، وقال بعض الناس: في رجل له إبل، فخاف ان تجب عليه الصدقة، فباعها بإبل مثلها، او بغنم، او ببقر، او بدراهم، فرارا من الصدقة بيوم احتيالا، فلا باس عليه، وهو يقول: إن زكى إبله قبل ان يحول الحول بيوم او بستة، جازت عنه.
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Janwaron ke malik jinhon ne un ka shar'i haq ada nahi kiya ho ga qayamat ke din un par wo janwar galib kar diye jayein ge aur wo apni khuron se is ke chehre ko nochein ge. Aur baaz logon ne yeh keh diya ke agar ek shakhs ke paas oont hain aur ise khatra hai ke Zakat is par wajib ho jaye gi aur is liye wo kisi din Zakat se bachne ke liye heela ke taur par usi jaise oont ya bakri ya gaye ya darahim ke badle mein bech de to is par koi Zakat nahi aur phir is ka yeh bhi kehna hai ke agar wo apne oont ki Zakat saal poore hone se ek din ya ek saal pehle dede to Zakat ada ho jati hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6959
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا ليث، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن ابن عباس، انه قال:" استفتى سعد بن عبادة الانصاري رسول الله صلى الله عليه وسلم في نذر كان على امه، توفيت قبل ان تقضيه، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اقضه عنها"، وقال بعض الناس: إذا بلغت الإبل عشرين ففيها اربع شياه، فإن وهبها قبل الحول، او باعها فرارا واحتيالا لإسقاط الزكاة، فلا شيء عليه، وكذلك إن اتلفها فمات، فلا شيء في ماله.
`Hum se Qutaiba bin Said ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Ubaidullah bin Utba ne, aur un se Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Saad bin Ubada Ansari Radi Allahu Anhu ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se ek nazr ke bare mein sawal kiya jo un ki walida par thi aur un ki wafat nazr poori karne se pehle hi ho gayi thi. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke tu un ki taraf se poori kar. Is ke bawajood baaz log yeh kehte hain ke jab oont ki tadad bees ho jaye to is mein chaar bakriyan lazim hain. Pas agar saal poora hone se pehle oont ko hiba kar de ya ise bech de. Zakat se bachne ya heela ke taur par taake Zakat is par khatm ho jaye to is par koi cheez wajib nahi ho gi. Yahi haal is surat mein hai agar is ne zaya kar diya aur phir mar gaya to is ke maal par kuch wajib nahi ho ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحِيلَةِ فِي النِّكَاحِ:
Nikah mein hila karne ka bayaan.
Hadith Number: 6960
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى بن سعيد، عن عبيد الله، قال: حدثني نافع، عن عبد الله رضي الله عنه" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن الشغار"، قلت لنافع: ما الشغار؟، قال: ينكح ابنة الرجل وينكحه ابنته بغير صداق، وينكح اخت الرجل وينكحه اخته بغير صداق، وقال بعض الناس: إن احتال حتى تزوج على الشغار فهو جائز، والشرط باطل، وقال في المتعة: النكاح فاسد والشرط باطل، وقال بعضهم: المتعة والشغار جائز، والشرط باطل.
`Hum se Musaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya bin Said Qattan ne bayan kiya, un se Ubaidullah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Nafi' ne bayan kiya, aur un se Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne Shigar se mana farmaya. Mein ne Nafi' se poocha Shigar kya hai? Unhon ne kaha yeh ke koi shakhs bagair mahr kisi ki larki se nikah karta hai ya is se bagair mahr ke apni larki ka nikah karta hai pas is ke siwa koi mahr muqarrar na ho aur baaz logon ne kaha agar kisi ne heela kar ke nikah-e-shigar kar liya to nikah ka aqd durust ho ga aur shart lagv ho gi (aur har ek ko mahr-e-misl aurat ka ada karna ho ga) aur haan baaz logon ne Mut'ah mein kaha hai ke wahan nikah bhi fasid hai aur shart bhi baatil hai aur baaz Hanafiya yeh kehte hain ke Mut'ah aur Shigar donon jaiz hon ge aur shart baatil ho gi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6961
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن عبيد الله بن عمر، حدثنا الزهري، عن الحسن، وعبد الله ابني محمد بن علي، عن ابيهما، ان عليا رضي الله عنه، قيل له: إن ابن عباس" لا يرى بمتعة النساء باسا، فقال: إن رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عنها يوم خيبر، وعن لحوم الحمر الإنسية"، وقال بعض الناس: إن احتال حتى تمتع فالنكاح فاسد، وقال بعضهم: النكاح جائز والشرط باطل.
`Hum se Musaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya, un se Ubaidullah bin Umar ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Zuhri ne bayan kiya, un se Hasan aur Abdullah bin Muhammad bin Ali ne bayan kiya, un se un ke walid ne ke Ali Radi Allahu Anhu se kaha gaya ke Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma aurton ke Mut'ah mein koi haraj nahi samajhte unhon ne kaha ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne Khaibar ki ladayi ke mauqe par Mut'ah se aur paltu gadhon ke gosht se mana kar diya tha aur baaz log kehte hain ke agar kisi ne heela se Mut'ah kar liya to nikah fasid hai aur baaz logon ne kaha ke nikah jaiz ho jaye ga aur miyad ki shart baatil ho jaye gi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنَ الاِحْتِيَالِ فِي الْبُيُوعِ:
Khareed o farokht mein hila aur fareb karna mana hai.
Hadith Number: Q6962
ولا يمنع فضل الماء ليمنع به فضل الكلإ.
Aur kisi ko nahi chahiye ke zaroorat se zyada jo pani ho is ko rok rakkhe taake is ki wajah se ghaas bhi ruki rahe.