الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ تَقْوِيمِ الأَشْيَاءِ بَيْنَ الشُّرَكَاءِ بِقِيمَةِ عَدْلٍ:
Bab: Mushtarka cheezon ki insaf ke sath theek qeemat laga kar isi shareekon mein baantna.
Show diacritics
Hadith Number: 2492
حدثنا بشر بن محمد، اخبرنا عبد الله اخبرنا سعيد بن ابي عروبة، عن قتادة، عن النضر بن انس، عن بشير بن نهيك، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من اعتق شقيصا من مملوكه فعليه خلاصه في ماله، فإن لم يكن له مال قوم المملوك قيمة عدل، ثم استسعي غير مشقوق عليه".
Hum se Bashir Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah Bin Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Saeed Bin Abi Arooba ne khabar di, unhein Qatada ne, unhein Nazr Bin Anas ne, unhein Bashir Bin Nuhaik ne aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jo shaks mushtarka ghulam mein se apna hissa azad kar de to is ke liye zaroori hai ke apne mal se ghulam ko poori azadi dila de. Lekin agar is ke paas itna mal nahi hai to insaf ke sath ghulam ki qeemat lagayi jaye. Phir ghulam se kaha jaye ke (apni azadi ki) koshish mein wo baqi hissa ki qeemat khud kama kar ada kar le. Lekin ghulam par is ke liye koi dabao na dala jaye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَلْ يُقْرَعُ فِي الْقِسْمَةِ وَالاِسْتِهَامِ فِيهِ:
Bab: Kya taqseem mein qur'a dala ja sakta hai?
Show diacritics
Hadith Number: 2493
حدثنا ابو نعيم، حدثنا زكرياء، قال: سمعت عامرا، يقول: سمعت النعمان بن بشير رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" مثل القائم على حدود الله والواقع فيها، كمثل قوم استهموا على سفينة فاصاب بعضهم اعلاها وبعضهم اسفلها، فكان الذين في اسفلها إذا استقوا من الماء مروا على من فوقهم، فقالوا: لو انا خرقنا في نصيبنا خرقا ولم نؤذ من فوقنا، فإن يتركوهم وما ارادوا هلكوا جميعا، وإن اخذوا على ايديهم نجوا ونجوا جميعا".
Hum se Abu Nuaim Fazl Bin Dukain ne bayan kiya, kaha ke hum se Zakariya ne, kaha mein ne Aamir Bin Shuba se suna, unhon ne bayan kiya ke mein ne Numan Bin Bashir (Radi Allahu Anhu) se suna ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya Allah ki hudood par qaim rehne wale aur is mein ghus jane wale (yani khilaf karne wale) ki misal aise logon ki si hai jinhon ne ek kashti ke silsile mein qura dala. Jis ke natija mein baaz logon ko kashti ke upar ka hissa aur baaz ko neeche ka. Pas jo log neeche wale thay, unhein (dariya se) pani lene ke liye upar walon ke paas se guzarna parta. Unhon ne socha ke kyun na hum apne hi hissa mein ek surakh kar lein taake upar walon ko hum koi takleef na dein. Ab agar upar wale bhi neeche walon ko man mani karne dein ge to kashti wale tamam halak ho jayein ge aur agar upar wale neeche walon ka hath pakar lein to ye khud bhi bachein ge aur sari kashti bhi bach jaye gi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ شَرِكَةِ الْيَتِيمِ وَأَهْلِ الْمِيرَاثِ:
Bab: Yateem ka doosre warison ke sath shareek hona.
Show diacritics
Hadith Number: 2494
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله العامري الاويسي، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، اخبرني عروة، انه سال عائشة رضي الله عنها. وقال الليث: حدثني يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير،" انه سال عائشة رضي الله عنها عن قول الله تعالى: وإن خفتم الا تقسطوا إلى ورباع سورة النساء آية 3، فقالت: يا ابن اختي، هي اليتيمة تكون في حجر وليها تشاركه في ماله فيعجبه مالها وجمالها، فيريد وليها ان يتزوجها بغير ان يقسط في صداقها، فيعطيها مثل ما يعطيها غيره، فنهوا ان ينكحوهن إلا ان يقسطوا لهن ويبلغوا بهن اعلى سنتهن من الصداق، وامروا ان ينكحوا ما طاب لهم من النساء سواهن". قال عروة: قالت عائشة: ثم إن الناس استفتوا رسول الله صلى الله عليه وسلم بعد هذه الآية، فانزل الله ويستفتونك في النساء إلى قوله وترغبون ان تنكحوهن سورة النساء آية 127، والذي ذكر الله انه يتلى عليكم في الكتاب الآية الاولى التي قال فيها وإن خفتم الا تقسطوا في اليتامى فانكحوا ما طاب لكم من النساء سورة النساء آية 3، قالت عائشة: وقول الله في الآية الاخرى: وترغبون ان تنكحوهن سورة النساء آية 127 يعني هي رغبة احدكم ليتيمته التي تكون في حجره حين تكون قليلة المال والجمال، فنهوا ان ينكحوا ما رغبوا في مالها وجمالها من يتامى النساء، إلا بالقسط من اجل رغبتهم عنهن.
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah Aamiri Owaisi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Salih ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, ke mujhe Urwah Bin Zubair ne khabar di aur unhon ne Sayyida Aisha (Radi Allahu Anha) se poocha tha (doosri sanad) aur Lais ne bayan kiya ke mujh se Yunus ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, unhein Urwah Bin Zubair ne khabar di ke unhon ne Aisha (Radi Allahu Anha) se (Surah Nisa mein) is ayat ke bare mein poocha "Wa in khiftum" se "wa rubaa" "agar tum ko yatimon mein insaf na karne ka darr ho to jo auratein pasand aayein do do teen teen char char nikah mein lao" unhon ne kaha mere bhanje ye ayat is yatim larki ke bare mein hai jo apne wali (muhafiz rishtedar jaise chachera bhai, phuphi zad ya mamoon zad bhai) ki parwarish mein ho aur tarke ke mal mein is ki sajhi ho aur wo is ki maldari aur khubsoorti par farefta ho kar is se nikah kar lena chahe lekin poora mehar insaf se jitna is ko aur jagah milta wo na de, to ise is se mana kar diya gaya ke aisi yatim larkiyon se nikah kare. Albatta agar un ke sath un ke wali insaf kar sakein aur un ki hasb-e-haisiyat behtar se behtar tarz-e-amal mehar ke bare mein ikhtiyar karein (to is soorat mein nikah karne ki ijazat hai) aur un se ye bhi keh diya gaya ke un ke siwa jo bhi aurat unhein pasand ho un se wo nikah kar sakte hain. Urwah Bin Zubair ne kaha ke Aisha (Radi Allahu Anha) ne batlaya, phir logon ne is ayat ke nazil hone ke baad (aisi larkiyon se nikah ki ijazat ke bare mein) masla poocha to Allah Ta'ala ne ye ayat nazil ki "Wa yastaftunaka fin-nisa" "Aur aap se auraton ke bare mein ye log sawal karte hain". Aage farmaya aur tum un se nikah karna chahte ho. Ye jo is ayat mein hai aur jo Quran mein tum par parha jata hai is se murad pehli ayat hai yani "agar tum ko yatimon mein insaf na ho sakne ka darr ho to doosri auratein jo bhali lagein un se nikah kar lo". Sayyida Aisha (Radi Allahu Anha) ne kaha ye jo Allah ne doosri ayat mein farmaya aur tum un se nikah karna chahte ho is se ye gharaz hai ke jo yatim larki tumhari parwarish mein ho aur mal aur jamal kam rakhti ho is se to tum nafrat karte ho, is liye jis yatim larki ke mal aur jamal mein tum ko raghbat ho is se bhi nikah na karo magar is soorat mein jab insaf ke sath un ka poora mehar ada karo
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الشَّرِكَةِ فِي الأَرَضِينَ وَغَيْرِهَا:
Bab: Zameen makaan waghera mein shirkat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 2495
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا هشام، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن ابي سلمة، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال:" إنما جعل النبي صلى الله عليه وسلم الشفعة في كل ما لم يقسم، فإذا وقعت الحدود وصرفت الطرق فلا شفعة".
Hum se Abdullah Bin Muhammad Musandi ne bayan kiya, kaha hum se Hisham Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Maamar ne khabar di, unhein Zubairi ne, unhein Abu Salama ne aur un se Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhuma) ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne shufa ka haq aise amwal (zameen jaidad waghera) mein diya tha jin ki taqseem na hui ho. Lekin jab is ki had bandi ho jaye aur raste bhi badal diye jayein to phir shufa ka koi haq baqi nahi rahe ga
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا اقْتَسَمَ الشُّرَكَاءُ الدُّورَ أَوْ غَيْرَهَا فَلَيْسَ لَهُمْ رُجُوعٌ وَلاَ شُفْعَةٌ:
Bab: Jab shareek log gharon waghera ko taqseem kar len to ab is se phir nahi sakte aur na un ko shufa ka haq rahe ga.
Show diacritics
Hadith Number: 2496
حدثنا مسدد، حدثنا عبد الواحد، حدثنا معمر، عن الزهري، عن ابي سلمة، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال:"قضى النبي صلى الله عليه وسلم بالشفعة في كل ما لم يقسم، فإذا وقعت الحدود وصرفت الطرق فلا شفعة".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul Wahid ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Maamar ne bayan kiya, un se Zuhri ne bayan kiya, un se Abu Salama ne aur un se Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhuma) ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne har is jaidad mein shufa ka haq diya tha jis ki shuraka mein abhi taqseem na hui ho. Lekin agar had bandi ho jaye aur raste alag ho jayein to phir shufa ka haq baqi nahi rehta
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الاِشْتِرَاكِ فِي الذَّهَبِ وَالْفِضَّةِ وَمَا يَكُونُ فِيهِ الصَّرْفُ:
Bab: Sone, chandi aur un tamam cheezon mein shirkat jin mein bay' sarf hoti hai.
Show diacritics
Hadith Number: 2497
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا ابو عاصم، عن عثمان يعني ابن الاسود، قال: اخبرني سليمان بن ابي مسلم، قال: سالت ابا المنهال عن الصرف يدا بيد، فقال: اشتريت انا وشريك لي شيئا يدا بيد ونسيئة، فجاءنا البراء بن عازب فسالناه، فقال: فعلت انا وشريكي زيد بن ارقم، وسالنا النبي صلى الله عليه وسلم عن ذلك، فقال:" ما كان يدا بيد فخذوه، وما كان نسيئة فذروه".
Hum se Amr Bin Ali Fallas ne bayan kiya, kaha ke hum se Abu Asim ne bayan kiya, un se Usman ne jo Aswad ke bete hain, kaha ke mujhe Suleman Bin Abi Muslim ne khabar di, unhon ne kaha ke mein ne Abu Al-Minhal se bai-sarf naqd ke bare mein poocha to unhon ne kaha ke mein ne aur mere ek shareek ne koi cheez (sone aur chandi ki) khareedi naqd par bhi aur udhar par bhi. Phir hamare yahan Bara Bin Azib (Radi Allahu Anhu) aaye to hum ne un se is ke bare mein poocha. Unhon ne kaha ke mein ne aur mere shareek Zaid Bin Arqam (Radi Allahu Anhu) ne bhi ye bai ki thi aur hum ne is ke mutalliq Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha tha to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tha ke jo naqd ho wo le lo aur jo udhar ho ise chor do
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2498
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا ابو عاصم، عن عثمان يعني ابن الاسود، قال: اخبرني سليمان بن ابي مسلم، قال: سالت ابا المنهال عن الصرف يدا بيد، فقال: اشتريت انا وشريك لي شيئا يدا بيد ونسيئة، فجاءنا البراء بن عازب فسالناه، فقال: فعلت انا وشريكي زيد بن ارقم، وسالنا النبي صلى الله عليه وسلم عن ذلك، فقال:" ما كان يدا بيد فخذوه، وما كان نسيئة فذروه".
Hum se Amr Bin Ali Fallas ne bayan kiya, kaha ke hum se Abu Asim ne bayan kiya, un se Usman ne jo Aswad ke bete hain, kaha ke mujhe Suleman Bin Abi Muslim ne khabar di, unhon ne kaha ke mein ne Abu Al-Minhal se bai-sarf naqd ke bare mein poocha to unhon ne kaha ke mein ne aur mere ek shareek ne koi cheez (sone aur chandi ki) khareedi naqd par bhi aur udhar par bhi. Phir hamare yahan Bara Bin Azib (Radi Allahu Anhu) aaye to hum ne un se is ke bare mein poocha. Unhon ne kaha ke mein ne aur mere shareek Zaid Bin Arqam (Radi Allahu Anhu) ne bhi ye bai ki thi aur hum ne is ke mutalliq Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha tha to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tha ke jo naqd ho wo le lo aur jo udhar ho ise chor do
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مُشَارَكَةِ الذِّمِّيِّ وَالْمُشْرِكِينَ فِي الْمُزَارَعَةِ:
Bab: Muslim ka mushrikeen aur zimmion ke sath mil kar kheti baari karna.
Show diacritics
Hadith Number: 2499
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا جويرية بن اسماء، عن نافع، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" اعطى رسول الله صلى الله عليه وسلم خيبر اليهود ان يعملوها ويزرعوها، ولهم شطر ما يخرج منها".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Juwairiyah Bin Asma ne bayan kiya, un se Nafi ne aur un se Abdullah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Khaibar ki zameen Yahudiyon ko is shart par de di thi ke wo is mein mehnat karein aur boein jotein. Paidawar ka aadha hissa unhein mila kare ga
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قِسْمَةِ الْغَنَمِ وَالْعَدْلِ فِيهَا:
Bab: Bakriyon ko insaf ke sath taqseem karna.
Show diacritics
Hadith Number: 2500
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا الليث، عن يزيد بن ابي حبيب، عن ابي الخير، عن عقبة بن عامر رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" اعطاه غنما يقسمها على صحابته ضحايا، فبقي عتود، فذكره لرسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: ضح به انت".
Hum se Qutaiba Bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Lais ne bayan kiya, un se Yazid Bin Abi Habib ne, un se Abu Al-Khair ne aur un se Uqbah Bin Aamir (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne unhein bakriyan di theen ke qurbani ke liye un ko Sahaba mein taqseem kar dein. Phir ek saal ka bakri ka baccha bach gaya to unhon ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se is ka zikar kiya. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Uqbah se farmaya tu is ki qurbani kar le
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الشَّرِكَةِ فِي الطَّعَامِ وَغَيْرِهِ:
Bab: Anaaj waghera mein shirkat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q2501
ويذكر ان رجلا ساوم شيئا فغمزه آخر، فراى عمر ان له شركة.
Aur manqool hai ke ek shaks ne koi cheez chakai, doosre ne is ko aankh se ishaara kiya, tab us ne mol le liya, is se Umar (Radi Allahu Anhu) ne ye samajh liya ke wo shareek hai
.