الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ لاَ يَطْرُقُ أَهْلَهُ إِذَا بَلَغَ الْمَدِينَةَ:
Bab: Aadmi jab apne shehar mein pohanchay to ghar mein raat ko na jaye.
Show diacritics
Hadith Number: 1801
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا شعبة، عن محارب، عن جابر رضي الله عنه، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم ان يطرق اهله ليلا".
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Muharib Bin Dithar ne aur un se Jabir (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (safar se) ghar raat ke waqt utarne se mana farmaya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَسْرَعَ نَاقَتَهُ إِذَا بَلَغَ الْمَدِينَةَ:
Bab: Jis ne Madinah Tayyibah ke qareeb pohanch kar apni sawari taiz kar di (taake jald se jald is paak shehar mein dakhla naseeb ho).
Show diacritics
Hadith Number: 1802
حدثنا سعيد بن ابي مريم، اخبرنا محمد بن جعفر، قال: اخبرني حميد، انه سمع انسا رضي الله عنه، يقول:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا قدم من سفر فابصر درجات المدينة اوضع ناقته، وإن كانت دابة حركها" , قال ابو عبد الله: زاد الحارث بن عمير، عن حميدحركها من حبها، حدثنا قتيبة، حدثنا إسماعيل، عن حميد، عن انس، قال جدرات: تابعه الحارث بن عمير.
Hum se Saeed Bin Abi Maryam ne bayan kiya, kaha ke hum ko Muhammad Bin Jafar ne khabar di, kaha ke mujhe Humaid Taweel ne khabar di unhon ne Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se suna ke Aap (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke jab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) safar se Madinah wapas hote aur Madinah ke balayi ilaqon par nazar parti to apni ontni ko taiz kar dete, koi doosra janwar hota to usay bhi air lagate. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke Harith Bin Umair ne Humaid se ye lafz zyada kiye hain ke ”Madinah se mohabbat ki wajah se sawari taiz kar dete thay.“ Hum se Qutaiba ne bayan kiya, kaha hum se Ismail Bin Jafar ne bayan kiya, un se Humaid Taweel ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne, unhon ne (darajat ke bajaye) «jundarat» kaha, is ki mutabi’at Harith Bin Umair ne ki
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَأْتُوا الْبُيُوتَ مِنْ أَبْوَابِهَا}:
Bab: Allah Taala ka ye farmana ke gharon mein darwazon se dakhil hua karo.
Show diacritics
Hadith Number: 1803
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، قال: سمعت البراء رضي الله عنه، يقول:" نزلت هذه الآية فينا كانت الانصار إذا حجوا فجاءوا لم يدخلوا من قبل ابواب بيوتهم ولكن من ظهورها، فجاء رجل من الانصار فدخل من قبل بابه فكانه عير بذلك، فنزلت: وليس البر بان تاتوا البيوت من ظهورها ولكن البر من اتقى واتوا البيوت من ابوابها سورة البقرة آية 189".
Hum se Abu-al-Walid ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Abu Ishaq ne ke mein ne Bara Bin Azib (Radi Allahu Anhu) se suna, unhon ne kaha ke ye ayat hamare bare mein nazil hui. Ansar jab Hajj ke liye aate to (ihram ke baad) gharon mein darwazon se nahi jate balkay diwaron se kood kar (ghar ke andar) dakhil hua karte thay phir (Islam lane ke baad) ek Ansari shakhs aya aur darwaze se ghar mein dakhil ho gaya is par logon ne lanat malamat ki to ye wahy nazil hui ke ”ye koi naiki nahi hai ke gharon mein peeche se (diwaron par charh kar) ao balkay naik wo shakhs hai jo taqwa ikhtiyar kare aur gharon mein un ke darwazon se aya karo.“
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ السَّفَرُ قِطْعَةٌ مِنَ الْعَذَابِ:
Bab: Safar bhi goya azab ka ek hissa hai.
Show diacritics
Hadith Number: 1804
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا مالك، عن سمي، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" السفر قطعة من العذاب يمنع احدكم طعامه وشرابه ونومه، فإذا قضى نهمته فليعجل إلى اهله".
Hum se Abdullah Bin Maslamah Qanabi ne bayan kiya, un se Sumi ne, un se Abu Salih ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya safar azab ka ek tukra hai, aadmi ko khane peene aur sone (har ek cheez) se rok deta hai, is liye jab koi apni zaroorat poori kar chuke to furan ghar wapas aa jaye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمُسَافِرِ إِذَا جَدَّ بِهِ السَّيْرُ يُعَجِّلُ إِلَى أَهْلِه
Bab: Musafir jab jald chalne ki koshish kar raha ho aur apne ahl mein jald pohanchana chahiye.
Show diacritics
Hadith Number: 1805
حدثنا سعيد بن ابي مريم , اخبرنا محمد بن جعفر، قال: اخبرني زيد بن اسلم، عن ابيه، قال: كنت مع عبد الله بن عمر رضي الله عنهما بطريق مكة، فبلغه عن صفية بنت ابي عبيد شدة وجع، فاسرع السير حتى كان بعد غروب الشفق نزل فصلى المغرب والعتمة جمع بينهما، ثم قال:" إني رايت النبي صلى الله عليه وسلم إذا جد به السير اخر المغرب، وجمع بينهما".
Hum se Saeed Bin Abi Maryam ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Muhammad Bin Jafar ne khabar di, unhon ne kaha ke mujhe Zaid Bin Aslam ne khabar di, un se un ke baap ne bayan kiya ke mein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ke sath Makkah ke raste mein tha ke unhein (apni biwi) Safiyah Bint Abi Ubaid ki sakht bimari ki khabar mili aur wo nihayat tezi se chalne lage, phir jab surkhi ghuroob ho gayi to sawari se neeche utre aur Maghrib aur Isha ek sath mila kar parhin, is ke baad farmaya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko dekha ke jab jaldi chalna hota to Maghrib mein dair kar ke donon (Isha aur Maghrib) ko ek sath mila kar parhte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة