الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا يَجُوزُ مِنَ الْبُصَاقِ وَالنَّفْخِ فِي الصَّلاَةِ:
Bab: Is bare mein ke namaz mein thookna aur phoonk marna kahan tak ja’iz hai?
Show diacritics
Hadith Number: 1213
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد، عن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما،" ان النبي صلى الله عليه وسلم راى نخامة في قبلة المسجد فتغيظ على اهل المسجد وقال: إن الله قبل احدكم، فإذا كان في صلاته فلا يبزقن او قال لا يتنخمن، ثم نزل فحتها بيده"، وقال ابن عمر رضي الله عنهما: إذا بزق احدكم فليبزق على يساره.
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Ayub Sakhtiyani ne , un se Nafi ne , un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek dafa masjid mein Qibla ki taraf rent dekhi . Aap salla Allahu alaihi wasallam masjid mein maujood logon par bohat naraaz huay aur farmaya ke Allah Ta'ala tumhare saamne hai is liye namaaz mein thooka na karo , ya yeh farmaya ke rent na nikala karo . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam utre aur khud hi apne haath se ise kherach dala . Ibn Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke jab kisi ko thookna zaroori ho to apni bayein taraf thook le .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1214
حدثنا محمد، حدثنا غندر، حدثنا شعبة , قال: سمعت قتادة، عن انس رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" إذا كان في الصلاة فإنه يناجي ربه، فلا يبزقن بين يديه ولا عن يمينه، ولكن عن شماله تحت قدمه اليسرى".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha ke hum se Ghundar ne byaan kiya , un se Shubah ne , unhon ne kaha ke mein ne Qatadah se suna , woh Anas bin Malik razi Allahu anhu se riwayat karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum mein se koi namaaz mein ho to woh apne Rab se sargoshi karta hai , is liye is ko saamne na thookna chahiye aur na dahine taraf albatta bayein taraf apne qadam ke neeche thook le .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ صَفَّقَ جَاهِلاً مِنَ الرِّجَالِ فِي صَلاَتِهِ لَمْ تَفْسُدْ صَلاَتُهُ:
Bab: Agar koi mard mas’ala na jaanne ki wajah se namaz mein dastak de to us ki namaz fasid na ho gi.
Show diacritics
Hadith Number: Q1215
فيه سهل بن سعد رضي الله عنه عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is baab mein Sahl bin Saad razi Allahu anhu ki ek riwayat Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se hai .


بَابُ إِذَا قِيلَ لِلْمُصَلِّي تَقَدَّمْ أَوِ انْتَظِرْ فَانْتَظَرَ فَلاَ بَأْسَ:
Bab: Is bare mein ke agar namazi se koi kahe ke aage barh ja ya thehr ja aur woh aage barh jaye ya thehr jaye to koi qabahat nahi hai.
Show diacritics
Hadith Number: 1215
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد رضي الله عنه , قال:" كان الناس يصلون مع النبي صلى الله عليه وسلم وهم عاقدو ازرهم من الصغر على رقابهم، فقيل للنساء: لا ترفعن رءوسكن حتى يستوي الرجال جلوسا".
Hum se Muhammad bin Kaseer ne byaan kiya , kaha ke hum ko Sufyan Thauri ne khabar di , unhein Abu Hazim ne , un ko Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne batlaya ke log Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath namaaz is tarah parhte ke tehband chhote hone ki wajah se unhein apni gardanon se baandhe rakhte aur auraton ko (jo mardon ke peeche jamaat mein shareek rehti thin) keh diya jata ke jab tak mard poori tarah simat kar na baith jayein tum apne sar (sajde se) na uthana .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَرُدُّ السَّلاَمَ فِي الصَّلاَةِ:
Bab: Namaz mein salam ka jawab (zaban se) na de.
Show diacritics
Hadith Number: 1216
حدثنا عبد الله بن ابي شيبة، حدثنا ابن فضيل، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله , قال:" كنت اسلم على النبي صلى الله عليه وسلم وهو في الصلاة فيرد علي، فلما رجعنا سلمت عليه فلم يرد علي وقال: إن في الصلاة لشغلا".
Hum se Abdullah bin Abi Shaybah ne byaan kiya , kaha ke hum se Ibn Fudayl ne byaan kiya , un se Amash ne , un se Ibrahim ne , un se Alqamah ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne kaha ke (ibtida-e-Islam mein) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab namaaz mein hote to main Aap salla Allahu alaihi wasallam ko salam karta to Aap salla Allahu alaihi wasallam jawab dete thay . Magar jab hum (Habsha se jahan hijrat ki thi) wapas aaye to main ne (pehle ki tarah namaaz mein) salam kiya . Magar Aap salla Allahu alaihi wasallam ne koi jawab nahin diya (kyonke ab namaaz mein baat cheet waghaira ki mamanat nazil ho gayi thi) aur farmaya ke namaaz mein is se mashghuliyat hoti hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1217
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا كثير بن شنظير، عن عطاء بن ابي رباح، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما , قال:" بعثني رسول الله صلى الله عليه وسلم في حاجة له فانطلقت ثم رجعت وقد قضيتها، فاتيت النبي صلى الله عليه وسلم فسلمت عليه فلم يرد علي فوقع في قلبي ما الله اعلم به، فقلت في نفسي لعل رسول الله صلى الله عليه وسلم وجد علي اني ابطات عليه، ثم سلمت عليه فلم يرد علي فوقع في قلبي اشد من المرة الاولى، ثم سلمت عليه فرد علي فقال: إنما منعني ان ارد عليك اني كنت اصلي، وكان على راحلته متوجها إلى غير القبلة".
Hum se Abu Mamar ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdul Warith ne byaan kiya , kaha ke hum se Kaseer bin Shanzir ne byaan kiya , un se Ata bin Abi Rabah ne un se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe apni ek zaroorat ke liye (Ghazwa Bani Mustaliq mein) bheja . Main wapas aaya aur main ne kaam poora kar diya tha . Phir main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir ho kar Aap salla Allahu alaihi wasallam ko salam kiya . Lekin Aap salla Allahu alaihi wasallam ne koi jawab nahin diya . Mere dil mein Allah jaane kya baat aayi aur main ne apne dil mein kaha ke shayad Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam mujh par is liye khafa hain ke main der se aaya hoon . Main ne phir dobara salam kiya aur jab is martaba bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ne koi jawab na diya to ab mere dil mein pehle se bhi zyada khayal aaya . Phir main ne (teesri martaba) salam kiya , aur ab Aap salla Allahu alaihi wasallam ne jawab diya aur farmaya ke pehle jo do baar main ne jawab na diya to is wajah se tha ke main namaaz parh raha tha , aur Aap salla Allahu alaihi wasallam is waqt apni ountni par thay aur is ka rukh Qibla ki taraf na tha balkay doosri taraf tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ رَفْعِ الأَيْدِي فِي الصَّلاَةِ لأَمْرٍ يَنْزِلُ بِهِ:
Bab: Namaz mein koi haadisa pesh aaye to haath utha kar dua karna.
Show diacritics
Hadith Number: 1218
حدثنا قتيبة، حدثنا عبد العزيز، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد رضي الله عنه , قال:" بلغ رسول الله صلى الله عليه وسلم ان بني عمرو بن عوف بقباء كان بينهم شيء فخرج يصلح بينهم في اناس من اصحابه، فحبس رسول الله صلى الله عليه وسلم وحانت الصلاة فجاء بلالإلى ابي بكر رضي الله عنهما , فقال: يا ابا بكر إن رسول الله صلى الله عليه وسلم قد حبس وقد حانت الصلاة، فهل لك ان تؤم الناس؟ قال: نعم، إن شئت، فاقام بلال الصلاة وتقدم ابو بكر رضي الله عنه فكبر للناس، وجاء رسول الله صلى الله عليه وسلم يمشي في الصفوف يشقها شقا حتى قام في الصف فاخذ الناس في التصفيح , قال سهل: التصفيح هو التصفيق، قال: وكان ابو بكر رضي الله عنه لا يلتفت في صلاته، فلما اكثر الناس التفت فإذا رسول الله صلى الله عليه وسلم فاشار إليه يامره ان يصلي , فرفع ابو بكر رضي الله عنه يده فحمد الله، ثم رجع القهقرى وراءه حتى قام في الصف، وتقدم رسول الله صلى الله عليه وسلم فصلى للناس، فلما فرغ اقبل على الناس , فقال: يا ايها الناس ما لكم حين نابكم شيء في الصلاة اخذتم بالتصفيح، إنما التصفيح للنساء من نابه شيء في صلاته فليقل سبحان الله، ثم التفت إلى ابي بكر رضي الله عنه , فقال: يا ابا بكر ما منعك ان تصلي للناس حين اشرت إليك؟ , قال ابو بكر: ما كان ينبغي لابن ابي قحافة ان يصلي بين يدي رسول الله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdul Aziz bin Abi Hazim ne byaan kiya , un se Abu Hazim Salamah bin Dinar ne aur un se Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko yeh khabar pahunchi ke Quba ke qabeela Banu Amr bin Awf mein koi jhagra ho gaya hai . Is liye Aap salla Allahu alaihi wasallam kai ashaab ko saath le kar un mein sulah karane ke liye tashreef le gaye . Wahan Aap salla Allahu alaihi wasallam sulah safayi ke liye thehar gaye . Idhar namaaz ka waqt ho gaya to Bilal razi Allahu anhu ne Abu Bakr razi Allahu anhu se kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam nahin aaye aur namaaz ka waqt ho gaya , to kya Aap logon ko namaaz parhayein ge ? Aap ne jawab diya ke han agar tum chahte ho to parha doon ga . Chunanche Bilal razi Allahu anhu ne takbir kahi aur Abu Bakr razi Allahu anhu ne aage barh kar niyat baandh li . Itne mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam bhi tashreef le aaye aur saffon se guzarte huay Aap salla Allahu alaihi wasallam pehli saff mein aa kharay huay , logon ne haath par haath maarne shuru kar diye . (Sahl ne kaha ke «tasfeeh» ke maani «tasfeeq» ke hain) Aap ne byaan kiya ke Abu Bakr razi Allahu anhu namaaz mein kisi taraf mutawajja nahin hote thay . Lekin jab logon ne bohat dastakein dein to unhon ne dekha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam kharay hain . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ishaara se Abu Bakr ko namaaz parhane ke liye kaha . Is par Abu Bakr razi Allahu anhu ne haath utha kar Allah Ta'ala ka shukr ada kiya aur phir ulte paon peeche ki taraf chale aaye aur saff mein kharay ho gaye aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne aage barh kar namaaz parhayi . Namaaz se farigh ho kar Aap salla Allahu alaihi wasallam logon ki taraf mutawajja huay aur farmaya ke logo! yeh kya baat hai ke jab namaaz mein koi baat pesh aati hai to tum taliyan bajane lagte ho . Yeh masala to auraton ke liye hai . Tumhein agar namaaz mein koi hadsa pesh aaye to «subhan Allah» kaha karo . Is ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam Abu Bakr razi Allahu anhu ki taraf mutawajja huay aur farmaya ke Abu Bakr! mere kehne ke bawajood tum ne namaaz kyon nahin parhayi ? Abu Bakr razi Allahu anhu ne arz kiya ke Abu Quhafah ke bete ko zeb nahin deta ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki maujoodgi mein namaaz parhaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْخَصْرِ فِي الصَّلاَةِ:
Bab: Namaz mein kamar par haath rakhna kaisa hai?
Show diacritics
Hadith Number: 1219
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد، عن ايوب، عن محمد، عن ابي هريرة رضي الله عنه , قال:" نهي عن الخصر في الصلاة"، وقال هشام وابو هلال: عن ابن سيرين، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abu al-Numan ne byaan kiya , kaha ke hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Ayub Sakhtiyani ne , un se Muhammad bin Sirin ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke namaaz mein pehlu par haath rakhne se mana kiya gaya tha . Hisham aur Abu Hilal Muhammad bin Sulaym ne , Ibn Sirin se is hadees ko riwayat kiya , woh Abu Hurairah razi Allahu anhu se aur woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1220
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا يحيى، حدثنا هشام، حدثنا محمد، عن ابي هريرة رضي الله عنه , قال:" نهي ان يصلي الرجل مختصرا".
Hum se Amr bin Ali Fallas ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Hisham bin Hassan Firdousi ne byaan kiya , un se Muhammad bin Sirin ne byaan kiya aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne pehlu par haath rakh kar namaaz parhne se mana farmaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَفَكُّرِ الرَّجُلِ الشَّيْءَ فِي الصَّلاَةِ:
Bab: Aadmi namaz mein kisi baat ki fikr kare to kaisa hai?
Show diacritics
Hadith Number: Q1221
وقال عمر رضي الله عنه إني لاجهز جيشي وانا في الصلاة.
Aur Umar razi Allahu anhu ne kaha ke main namaaz parhta rehta hoon aur namaaz hi mein jihad ke liye apni fauj ka saman kiya karta hoon .