الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ رَجَعَ الْقَهْقَرَى فِي صَلاَتِهِ، أَوْ تَقَدَّمَ بِأَمْرٍ يَنْزِلُ بِهِ:
Bab: Jo shakhs namaz mein ulte paaon peechhe sark jaye ya aage barh jaye kisi haadise ki wajah se to namaz fasid na ho gi.
Show diacritics
Hadith Number: 1205
حدثنا بشر بن محمد، اخبرنا عبد الله , قال يونس , قال الزهري , اخبرني انس بن مالك،" ان المسلمين بينا هم في الفجر يوم الاثنين وابو بكر رضي الله عنه يصلي بهم، ففجاهم النبي صلى الله عليه وسلم، قد كشف ستر حجرة عائشة رضي الله عنها فنظر إليهم وهم صفوف، فتبسم يضحك فنكص ابو بكر رضي الله عنه على عقبيه وظن ان رسول الله صلى الله عليه وسلم يريد ان يخرج إلى الصلاة، وهم المسلمون ان يفتتنوا في صلاتهم فرحا بالنبي صلى الله عليه وسلم حين راوه فاشار بيده ان اتموا ثم دخل الحجرة وارخى الستر وتوفي ذلك اليوم".
Hum se Bishr bin Muhammad ne byaan kiya , unhein Imam Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha ke hum se Yunus ne byaan kiya , un se Zuhri ne byaan kiya ke mujhe Anas bin Malik razi Allahu anhu ne khabar di ke Peer ke roz Musalman Abu Bakr razi Allahu anhu ki iqtida mein Fajr ki namaaz parh rahe thay ke achanak Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Aisha razi Allahu anha ke hujre ka parda hataye huay dikhayi diye . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne dekha ke sahaba saff baandhe kharay huay hain . Yeh dekh kar Aap salla Allahu alaihi wasallam khul kar muskuraye diye . Abu Bakr razi Allahu anhu ulte paon peeche hate . Unhon ne samjha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam namaaz ke liye tashreef layein ge aur Musalman Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam dekh kar is darja khush huay ke namaaz hi tor daalne ka irada kar liya . Lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne haath ke ishaara se hidayat ki ke namaaz poori karo . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne parda daal diya aur hujre mein tashreef le gaye . Phir is din Aap salla Allahu alaihi wasallam ne intiqal farmaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا دَعَتِ الأُمُّ وَلَدَهَا فِي الصَّلاَةِ:
Bab: Agar koi namaz parh raha ho aur us ki maa us ko bulaye to kya kare?
Show diacritics
Hadith Number: 1206
وقال الليث: حدثني جعفر، عن عبد الرحمن بن هرمز , قال: قال ابو هريرة رضي الله عنه، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: نادت امراة ابنها وهو في صومعة , قالت: يا جريج، قال: اللهم امي وصلاتي، قالت: يا جريج، قال: اللهم امي وصلاتي، قالت: يا جريج، قال: اللهم امي وصلاتي، قالت: اللهم لا يموت جريج حتى ينظر في وجوه المياميس، وكانت تاوي إلى صومعته راعية ترعى الغنم فولدت، فقيل لها: ممن هذا الولد؟ قالت: من جريج، نزل من صومعته، قال جريج: اين هذه التي تزعم ان ولدها لي؟ قال: يا بابوس من ابوك؟ قال: راعي الغنم
Aur Layth bin Saad ne kaha ke mujh se Jafar bin Rabeeah ne byaan kiya , un se Abdur Rahman bin Hurmuz Aaraj ne ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , (Bani Israeel ki) ek aurat ne apne bete ko pukara , is waqt woh ibadat khane mein tha . Maan ne pukara ke ae Jurayj! Jurayj (pas o pesh mein par gaya aur dil mein) kehne laga ke ae Allah! main ab maan ko dekhoon ya namaaz ko . Phir maan ne pukara: ae Jurayj! (woh ab bhi is pas o pesh mein tha) ke ae Allah! meri maan aur meri namaaz! Maan ne phir pukara: ae Jurayj! (woh ab bhi yehi) soche ja raha tha . Ae Allah! meri maan aur meri namaaz! (aakhir) maan ne tang ho kar bad-dua ki ae Allah! Jurayj ko maut na aaye jab tak woh fahisha aurat ka chehra na dekh le . Jurayj ki ibadat gah ke qareeb ek charane wali aaya karti thi jo bakriyan charati thi . Ittefaq se us ke bacha paida hua . Logon ne poocha ke yeh kis ka bacha hai ? Us ne kaha ke Jurayj ka hai . Woh ek martaba apni ibadat gah se nikal kar mere paas raha tha . Jurayj ne poocha ke woh aurat kaun hai ? Jis ne mujh par tohmat lagayi hai ke us ka bacha mujh se hai . (aurat bache ko le kar aayi to) unhon ne bache se poocha ke bache! tumhara baap kaun ? Bacha bol para ke ek bakri charane wala gadariya mera baap hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَسْحِ الْحَصَى فِي الصَّلاَةِ:
Bab: Namaz mein kankri uthana kaisa hai?
Show diacritics
Hadith Number: 1207
حدثنا ابو نعيم، حدثنا شيبان، عن يحيى، عن ابي سلمة , قال: حدثني معيقيب، ان النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" في الرجل يسوي التراب حيث يسجد، قال: إن كنت فاعلا فواحدة".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha ke hum se Shayban ne byaan kiya , un se Yahya bin Kaseer ne , un se Abu Salamah ne , unhon ne kaha ke mujh se Muayqeeb bin Abi Talhah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne ek shakhs se jo har martaba sajda karte huay kankriyan barabar karta tha farmaya agar aisa karna hai to sirf ek hi baar kar .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَسْطِ الثَّوْبِ فِي الصَّلاَةِ لِلسُّجُودِ:
Bab: Namaz mein sajde ke liye kapra bichhana kaisa hai?
Show diacritics
Hadith Number: 1208
حدثنا مسدد، حدثنا بشر، حدثنا غالب القطان، عن بكر بن عبد الله، عن انس بن مالك رضي الله عنه , قال:" كنا نصلي مع النبي صلى الله عليه وسلم في شدة الحر، فإذا لم يستطع احدنا ان يمكن وجهه من الارض بسط ثوبه فسجد عليه".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Bishr bin Mufaddal ne byaan kiya , kaha ke hum se Ghalib bin Qattan ne byaan kiya , un se Bakr bin Abdullah Mazani ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke hum sakht garmiyon mein jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath namaaz parhte aur chehre ko zameen par poori tarah rakhna mushkil ho jata to apna kapra bichha kar us par sajda kiya karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يَجُوزُ مِنَ الْعَمَلِ فِي الصَّلاَةِ:
Bab: Namaz mein kaun kaun se kaam durust hain?
Show diacritics
Hadith Number: 1209
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا مالك، عن ابي النضر، عن ابي سلمة، عن عائشة رضي الله عنها , قالت:" كنت امد رجلي في قبلة النبي صلى الله عليه وسلم وهو يصلي، فإذا سجد غمزني فرفعتها، فإذا قام مددتها".
Hum se Abdullah bin Maslamah al-Qanabi ne byaan kiya , kaha ke hum se Imam Malik rahimahullah ne byaan kiya , un se Abun Nadar Salim bin Abi Umayyah ne , un se Abu Salamah bin Abdur Rahman ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne farmaya ke main apna paon Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saamne phaila leti thi aur Aap salla Allahu alaihi wasallam namaaz parhte hote jab Aap salla Allahu alaihi wasallam sajda karne lagte to Aap salla Allahu alaihi wasallam mujhe haath lagate , main paon samait leti , phir jab Aap salla Allahu alaihi wasallam kharay ho jaate to main phaila leti .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1210
حدثنا محمود، حدثنا شبابة، حدثنا شعبة، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم" انه صلى صلاة , قال:" إن الشيطان عرض لي فشد علي ليقطع الصلاة علي فامكنني الله منه، فذعته ولقد هممت ان اوثقه إلى سارية حتى تصبحوا فتنظروا إليه , فذكرت قول سليمان عليه السلام: رب هب لي ملكا لا ينبغي لاحد من بعدي، فرده الله خاسيا"، ثم قال: النضر بن شميل فذعته بالذال اي خنقته وفدعته من قول الله: يوم يدعون سورة الطور آية 13 اي يدفعون والصواب فدعته إلا انه كذا قال بتشديد العين والتاء.
Hum se Mahmood bin Ghaylan ne byaan kiya , kaha ke hum se Shababah ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , un se Muhammad bin Ziyad ne byaan kiya , un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne ek martaba ek namaaz parhi phir farmaya ke mere saamne ek Shaytan aa gaya aur koshish karne laga ke meri namaaz tor de . Lekin Allah Ta'ala ne is ko mere qaboo mein kar diya main ne is ka gala ghoonta ya is ko dhakel diya . Aakhir mein mera irada hua ke ise masjid ke ek sutoon se baandh doon aur jab subah ho to tum bhi dekho . Lekin mujhe Sulayman alaihis salam ki dua yaad aa gayi ”Ae Allah! mujhe aisi sultanat ata kijiyo jo mere baad kisi aur ko na mile“ (is liye main ne ise chhor diya) aur Allah Ta'ala ne ise zillat ke saath bhaga diya . Is ke baad Nadar bin Shumayl ne kaha ke «za'atahu» ”zaal“ se hai . Jis ke maani hain ke main ne is ka gala ghoont diya aur «da'atahu» Allah Ta'ala ke is qaul se liya gaya hai . «yauma yuda-oona» jis ke maani hain Qayamat ke din woh Dozakh ki taraf dhakele jayein ge . Durust pehla hi lafz hai . Albatta Shubah ne isi tarah ”ayn“ aur ”taa“ ki tashdeed ke saath byaan kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا انْفَلَتَتِ الدَّابَّةُ فِي الصَّلاَةِ:
Bab: Agar aadmi namaz mein ho aur us ka janwar bhaag pare.
Show diacritics
Hadith Number: Q1211
وقال قتادة: إن اخذ ثوبه يتبع السارق ويدع الصلاة.
Aur Qatadah ne kaha ke agar kisi ka kapra chor le bhage to is ke peeche daure aur namaaz chhor de .


Show diacritics
Hadith Number: 1211
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا الازرق بن قيس قال: كنا بالاهواز نقاتل الحرورية فبينا انا على جرف نهر إذا رجل يصلي وإذا لجام دابته بيده، فجعلت الدابة تنازعه وجعل يتبعها، قال شعبة هو ابو برزة الاسلمي، فجعل رجل من الخوارج , يقول: اللهم افعل بهذا الشيخ، فلما انصرف الشيخ قال: إني سمعت قولكم وإني غزوت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم ست غزوات او سبع غزوات وثماني وشهدت تيسيره، وإني إن كنت ان اراجع مع دابتي احب إلي من ان ادعها ترجع إلى مالفها فيشق علي".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , un se Arzuq bin Qays ne byaan kiya , kaha ke hum Ahwaz mein (jo kai bastiyan hain Basra aur Iran ke beech mein) Kharijiyon se jang kar rahe thay . Ek baar mein nahar ke kinare baitha tha . Itne mein ek shakhs (Abu Barzah sahabi razi Allahu anhu) aaya aur namaaz parhne laga . Kya dekhta hoon ke un ke ghore ki lagam un ke haath mein hai . Achanak ghora un se chhoot kar bhagne laga . To woh bhi is ka peechha karne lage . Shubah ne kaha yeh Abu Barzah Aslami razi Allahu anhu thay . Yeh dekh kar Khawarij mein se ek shakhs kehne laga ke ae Allah! is sheikh ka naas kar . Jab woh sheikh wapas laute to farmaya ke main ne tumhari baatein sun li hain . Main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath chhay ya saat ya aath jihadon mein shirkat ki hai aur main ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ki aasaniyon ko dekha hai . Is liye mujhe yeh achha maloom hua ke apna ghora saath le kar lautoon na ke is ko chhor doon woh jahan chahe chal de aur main takleef uthaoon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1212
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، عن عروة , قال: قالت عائشة:" خسفت الشمس فقام النبي صلى الله عليه وسلم، فقرا سورة طويلة ثم ركع فاطال، ثم رفع راسه، ثم استفتح بسورة اخرى، ثم ركع حتى قضاها وسجد، ثم فعل ذلك في الثانية، ثم قال: إنهما آيتان من آيات الله، فإذا رايتم ذلك فصلوا حتى يفرج عنكم، لقد رايتني في مقامي هذا كل شيء وعدته، حتى لقد رايت اريد ان آخذ قطفا من الجنة حين رايتموني جعلت اتقدم، ولقد رايت جهنم يحطم بعضها بعضا حين رايتموني تاخرت، ورايت فيها عمرو بن لحي وهو الذي سيب السوائب".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya , kaha ke hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha ke hum ko Yunus ne khabar di , unhein Zuhri ne , un se Urwah ne byaan kiya ke Aisha razi Allahu anha ne batlaya ke jab sooraj grahan laga to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam (namaaz ke liye) kharay huay aur ek lambi surat parhi . Phir ruku kiya aur bohat lamba ruku kiya . Phir sar uthaya is ke baad doosri surat shuru kar di , phir ruku kiya aur ruku poora kar ke is rakat ko khatm kiya aur sajde mein gaye . Phir doosri rakat mein bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ne isi tarah kiya , namaaz se farigh ho kar Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke sooraj aur chaand Allah ki nishaniyon mein se do nishaniyan hain . Is liye jab tum un mein grahan dekho to namaaz shuru kar do jab tak ke yeh saaf ho jaye aur dekho main ne apni isi jagah se in tamam cheezon ko dekh liya hai jin ka mujh se waada hai . Yahan tak ke main ne yeh bhi dekha ke main Jannat ka ek khosha lena chahta hoon . Abhi tum logon ne dekha ho ga ke main aage barhne laga tha aur main ne Dozakh bhi dekhi (is haalat mein ke) baaz aag baaz aag ko khaye ja rahi thi . Tum logon ne dekha ho ga ke Jahannam ke is haulnak manzar ko dekh kar main peeche hat gaya tha . Main ne Jahannam ke andar Amr bin Luhai ko dekha . Yeh woh shakhs hai jis ne saand ki rasm Arab mein jaari ki thi . (note: saand ki rasm se murad ke ountni ko ghair Allah ke naam par chhor dena hatta ke sawari aur doodh bhi na dhona .)


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يَجُوزُ مِنَ الْبُصَاقِ وَالنَّفْخِ فِي الصَّلاَةِ:
Bab: Is bare mein ke namaz mein thookna aur phoonk marna kahan tak ja’iz hai?
Show diacritics
Hadith Number: Q1213
ويذكر عن عبد الله بن عمرو نفخ النبي صلى الله عليه وسلم في سجوده في كسوف.
Aur Abdullah bin Amr razi Allahu anhuma se grahan ki hadees mein manqool hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne grahan ki namaaz mein sajde mein phoonk maari .