الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْعِلْمِ
The Book of Knowledge
بَابُ الْحَيَاءِ فِي الْعِلْمِ:
Chapter. (What is said as regards): To be shy (Al-Haya) while learning (religious) knowledge.
Hadith Number: Q130
وقال مجاهد لا يتعلم العلم مستحى ولا مستكبر، وقالت عائشة نعم النساء نساء الانصار لم يمنعهن الحياء ان يتفقهن في الدين.
Mujahid kehte hain ke mutakabbir aur sharmaane waala aadmi ilm haasil nahi kar sakta. Umm-ul-Mo’mineen Aisha Radhiallahu Anha ka irshaad hai ke Ansaar ki aurtein achchi aurtein hain ke sharm unhein deen mein samajh paida karne se nahi rokti.
Hadith Number: 130
حدثنا محمد بن سلام، قال: اخبرنا ابو معاوية، قال: حدثنا هشام، عن ابيه، عن زينب ابنة ام سلمة، عن ام سلمة، قالت: جاءت ام سليم إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالت: يا رسول الله،" إن الله لا يستحيي من الحق، فهل على المراة من غسل إذا احتلمت؟ قال النبي صلى الله عليه وسلم: إذا رات الماء، فغطت ام سلمة تعني وجهها، وقالت: يا رسول الله، اوتحتلم المراة؟ قال: نعم، تربت يمينك فبم يشبهها ولدها".
Hum se Muhammed bin Salaam ne bayan kiya, kaha hum se Abu Mu’aawiyah ne khabar di, un se Hishaam ne apne baap ke waaste se bayan kiya, unhon ne Zainab bint-e-Umm-e-Salamah ke waaste se naql kiya, woh (apni waalidah) Umm-ul-Mo’mineen Umm-e-Salamah Radhiallahu Anha se riwayat karti hain ke Umm-e-Sulaim (naami ek aurat) Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat-e-aqdas mein haazir huen aur arz kiya ke ya Rasoolallah! Allah Ta’ala haq baat bayan karne se nahi sharmaata (is liye main poochti hun ke) kya ehtelaam se aurat par bhi ghusl zaroori hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke (haan) jab aurat paani dekh le. (Yani kapde waghera par mani ka asar ma’loom ho) to (yeh sun kar) Umm-e-Salamah Radhiallahu Anha ne (sharm ki wajah se) apna chehra chupa liya aur kaha, ya Rasoolallah! Kya aurat ko bhi ehtelaam hota hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, Haan! Tere haath khaak aalood hun, phir kiun us ka bachcha us ki soorat ke mushabeh hota hai (yani yahi us ke ehtelaam ka suboot hai).
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 131
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن عبد الله بن دينار، عن عبد الله بن عمر، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إن من الشجر شجرة لا يسقط ورقها وهي مثل المسلم، حدثوني ما هي؟ فوقع الناس في شجر البادية، ووقع في نفسي انها النخلة، قال عبد الله: فاستحييت، فقالوا: يا رسول الله، اخبرنا بها، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: هي النخلة"، قال عبد الله: فحدثت ابي بما وقع في نفسي، فقال: لان تكون قلتها احب إلي من ان يكون لي كذا وكذا.
Hum se Ismail ne bayan kiya, un se Malik ne Abdullah bin Dinaar ke waaste se bayan kiya, woh Abdullah bin Umar se riwayat karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne (ek martaba) farmaaya ke darakhton mein se ek darakht (aisa) hai. Jis ke patte (kabhi) nahi jhadte aur us ki misaal musalmaan jaisi hai. Mujhe batlaao woh kya (darakht) hai? To log jangli darakhton (ki soch) mein pad gaye aur mere dil mein aaya (ke main batla dun) ke woh khajoor (ka ped) hai, Abdullah kehte hain ke phir mujhe sharm aa gayi (aur main chup hi raha) tab logon ne arz kiya ya Rasoolallah! Aap hi (khud) us ke baare mein batlaaiye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, woh khajoor hai. Abdullah kehte hain ke mere ji mein jo baat thi woh main ne apne waalid (Umar Radhiallahu Anhu) ko batlaayi, woh kehne lage ke agar tu (us waqt) keh deta to mere liye aise aise qeemti sarmaaya se ziyada mehboob hota.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة