الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْحَجِّ
The Book of Hajj
بَابُ فَضْلِ الْحَجِّ الْمَبْرُورِ:
Chapter. The superiority of Al-Hajj-ul-Mabrur.
Show diacritics
Hadith Number: 1519
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" سئل النبي صلى الله عليه وسلم، اي الاعمال افضل؟ قال: إيمان بالله ورسوله، قيل: ثم ماذا؟، قال: جهاد في سبيل الله، قيل: ثم ماذا؟، قال: حج مبرور".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ibrahim bin Saad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Zuhri ne byaan kiya , un se Saeed bin Musayyab ne byaan kiya aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kisi ne poocha ke kaun sa kaam behtar hai ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah aur us ke Rasool par imaan laana . Poocha gaya ke phir is ke baad ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ke raste mein jihad karna . Phir poocha gaya ke phir is ke baad ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Hajj-e-Mabroor .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1520
حدثنا عبد الرحمن بن المبارك، حدثنا خالد، اخبرنا حبيب بن ابي عمرة، عن عائشة بنت طلحة، عن عائشة ام المؤمنين رضي الله عنها، انها قالت:" يا رسول الله، نرى الجهاد افضل العمل، افلا نجاهد؟، قال: لا، لكن افضل الجهاد حج مبرور".
Hum se Abdul Rahman bin Mubarak ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Khalid bin Abdullah Tahhan ne byaan kiya , unhon ne kaha ke humein Habeeb bin Abi Umrah ne khabar di , unhein Aisha bint Talhah ne aur unhein Umm-ul-Moomineen Aisha Siddiqa razi Allahu anha ne kaha ke unhon ne poocha Ya Rasool Allah! Hum dekhte hain ke jihad sab naik kaamon se barh kar hai . Phir hum bhi kyun na jihad karein ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi balke sab se afzal jihad Hajj hai jo mabroor ho .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1521
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا سيار ابو الحكم، قال: سمعت ابا حازم، قال: سمعت ابا هريرة رضي الله عنه، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" من حج لله فلم يرفث ولم يفسق رجع كيوم ولدته امه".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke hum se Sayyar Abul Hakam ne byaan kiya , kaha ke maine Abu Hazim se suna , unhon ne byaan kiya ke maine Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna aur unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne Allah ke liye is shaan ke saath Hajj kiya ke na koi fuhsh baat hui aur na koi gunah to woh is din ki tarah wapas ho ga jaise is ki maan ne usay jana tha .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain