الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الزَّكَاة
The Book of Zakat
بَابُ زَكَاةِ الإِبِلِ:
Chapter. The Zakat of camels.
Show diacritics
Hadith Number: Q1452
ذكره ابو بكر وابو ذر وابو هريرة رضي الله عنهم عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is baab mein Abu Bakr ‘ Abu Zar aur Abu Hurairah razi Allahu anhum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayatein ki hain .


Show diacritics
Hadith Number: 1452
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا الوليد بن مسلم، حدثنا الاوزاعي , قال: حدثني ابن شهاب، عن عطاء بن يزيد، عن ابي سعيد الخدريرضي الله عنه،" ان اعرابيا سال رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الهجرة، فقال: ويحك، إن شانها شديد، فهل لك من إبل تؤدي صدقتها؟ , قال: نعم، قال: فاعمل من وراء البحار، فإن الله لن يترك من عملك شيئا".
Hum se Ali bin Abdullah bin Madini ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se Waleed bin Muslim ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Imam Awzai ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se Ibn Shihab ne byaan kiya ‘ un se Ata bin Yazid ne aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke ek dehati ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se hijrat ke mutalliq poocha (yani yeh ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ijazat dein to main Madina mein hijrat kar aaon) Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya . Afsos! Is ki to shaan bari hai . Kya tere paas zakat dene ke liye kuch oont hain jin ki tu zakat diya karta hai ? Us ne kaha ke haan! Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir kya hai samundaron ke is paar (jis mulk mein tu rahe wahan) amal karta reh Allah tere kisi amal ka sawab kam nahi kare ga .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain