الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الزَّكَاة
The Book of Zakat
بَابُ مَنْ بَلَغَتْ عِنْدَهُ صَدَقَةُ بِنْتِ مَخَاضٍ وَلَيْسَتْ عِنْدَهُ:
Chapter. Whoever has to pay a Bint Makhad (one year old she-camel) as Zakat and has not got it.
Show diacritics
Hadith Number: 1453
حدثنا محمد بن عبد الله , قال: حدثني ابي , قال: حدثني ثمامة، ان انسا رضي الله عنه حدثه،" ان ابا بكر رضي الله عنه كتب له فريضة الصدقة التي امر الله رسوله صلى الله عليه وسلم من بلغت عنده من الإبل صدقة الجذعة وليست عنده جذعة وعنده حقة، فإنها تقبل منه الحقة ويجعل معها شاتين إن استيسرتا له او عشرين درهما، ومن بلغت عنده صدقة الحقة وليست عنده الحقة وعنده الجذعة، فإنها تقبل منه الجذعة ويعطيه المصدق عشرين درهما او شاتين، ومن بلغت عنده صدقة الحقة وليست عنده إلا بنت لبون، فإنها تقبل منه بنت لبون ويعطي شاتين او عشرين درهما، ومن بلغت صدقته بنت لبون وعنده حقة، فإنها تقبل منه الحقة ويعطيه المصدق عشرين درهما او شاتين، ومن بلغت صدقته بنت لبون وليست عنده وعنده بنت مخاض، فإنها تقبل منه بنت مخاض ويعطي معها عشرين درهما او شاتين".
Hum se Muhammad bin Abdullah Ansari ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se mere baap ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se Sumamah ne byaan kiya aur un se Anas razi Allahu anhu ne ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne un ke paas farz zakat ke in fareezon ke mutalliq likha tha jin ka Allah ne apne Rasool salla Allahu alaihi wasallam ko hukm diya hai . Yeh ke jis ke oonton ki zakat ”jaz'ah“ tak puhanch jaye aur woh ”jaz'ah“ us ke paas na ho balke ”hiqqah“ ho to us se zakat mein ”hiqqah“ hi le liya jaye ga lekin is ke saath do bakriyan bhi li jayeingi ‘ agar un ke dene mein usay aasani ho warna bees dirham liye jayeinge . (Taake ”hiqqah“ ki kami poori ho jaye) aur agar kisi par zakat mein ”hiqqah“ wajib ho aur ”hiqqah“ us ke paas na ho balke ”jaz'ah“ ho to us se ”jaz'ah“ hi le liya jaye ga aur zakat wasool karne wala zakat dene wale ko bees dirham ya do bakriyan de ga aur agar kisi par zakat ”hiqqah“ ke barabar wajib ho gayi aur us ke paas sirf ”bint-e-laboon“ hai to us se ”bint-e-laboon“ le li jaye gi aur zakat dene wale ko do bakriyan ya bees dirham saath mein aur dene pareinge aur agar kisi par zakat ”bint-e-laboon“ wajib ho aur us ke paas ”hiqqah“ ho to ”hiqqah“ hi us se le liya jaye ga aur is soorat mein zakat wasool karne wala bees dirham ya do bakriyan zakat dene wale ko de ga aur kisi ke paas zakat mein ”bint-e-laboon“ wajib hua aur ”bint-e-laboon“ us ke paas nahi balke ”bint-e-makhad“ hai to us se ”bint-e-makhad“ hi le liya jaye ga . Lekin zakat dene wala is ke saath bees dirham ya do bakriyan de ga .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain