الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجَنَائِزِ
The Book of Al-Janaiz (Funerals)
بَابُ سُنَّةِ الصَّلاَةِ عَلَى الْجَنَائِزِ:
Chapter. The legal way of offering the funeral prayer.
Show diacritics
Hadith Number: Q1322
وقال النبي صلى الله عليه وسلم: من صلى على الجنازة؟ وقال: صلوا على صاحبكم وقال: صلوا على النجاشي سماها صلاة ليس فيها ركوع , ولا سجود , ولا يتكلم فيها , وفيها تكبير , وتسليم , وكان ابن عمر لا يصلي إلا طاهرا , ولا يصلي عند طلوع الشمس , ولا غروبها , ويرفع يديه , وقال الحسن: ادركت الناس , واحقهم بالصلاة على جنائزهم من رضوهم لفرائضهم , وإذا احدث يوم العيد او عند الجنازة يطلب الماء , ولا يتيمم , وإذا انتهى إلى الجنازة وهم يصلون يدخل معهم بتكبيرة , وقال ابن المسيب: يكبر بالليل , والنهار , والسفر , والحضر اربعا , وقال انس رضي الله عنه: التكبيرة الواحدة استفتاح الصلاة , وقال: ولا تصل على احد منهم مات ابدا وفيه صفوف وإمام.
Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs janaze par namaaz parhe aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne sahaba se farmaya tum apne sathi par namaaz-e-janaza parh lo . Aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Najashi par namaaz parho . Is ko namaaz kaha is mein na ruku hai na sajda aur na is mein baat ki ja sakti hai aur is mein takbir hai aur salam hai . Aur Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma janaze ki namaaz na parhte jab tak ba-wuzu na hote aur sooraj nikalne aur doobte waqt na parhte aur janaze ki namaaz mein rafa-e-yadain karte aur Imam Hasan Basri rahimahullah ne kaha ke main ne bohat se sahaba aur tabiyeen ko paya woh janaze ki namaaz mein imamat ka zyada haqdar isi ko jaante jis ko farz namaaz mein imamat ka zyada haqdar samajhte aur jab Eid ke din ya janaze par wuzu na ho to paani dhoondhe ‘ tayammum na kare aur jab janaze par is waqt pahunche ke log namaaz parh rahe hon to Allahu Akbar keh kar shareek ho jaye . Aur Saeed bin Musayyib rahimahullah ne kaha raat ho ya din ‘ safar ho ya hazar janaze mein chaar takbirain kahe . Aur Anas razi Allahu anhu ne kaha pehli takbir janaze ki namaaz shuru karne ki hai aur Allah jalla jalaluhu ne (Surah at-Tauba mein) farmaya in munafiqon mein jab koi mar jaye to un par kabhi namaaz na parhiyo . Aur is mein saffein hain aur Imam hota hai .


Show diacritics
Hadith Number: 1322
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن الشيباني، عن الشعبي , قال: اخبرني من مر مع نبيكم صلى الله عليه وسلم على قبر منبوذ: فامنا فصففنا خلفه , فقلنا: يا ابا عمرو من حدثك؟ , قال ابن عباس رضي الله عنهما.
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Shubah ne ‘ un se Shaybani ne aur un se Shabi ne byaan kiya ke mujhe is sahabi ne khabar di thi jo Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath ek alag thalag qabr par se guzra . Woh kehta tha ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne hamari imamat ki aur hum ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ke peeche saffein bana lein . Hum ne poocha ke Abu Amr (yeh Shabi ki kuniyat hai) yeh Aap se byaan karne wale kaun sahabi hain ? Farmaya ke Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain