الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب العمل في الصلاة
The Book of Dealing With Actions In As-Salat (The Prayer)
بَابُ تَفَكُّرِ الرَّجُلِ الشَّيْءَ فِي الصَّلاَةِ:
Chapter. Thinking of something during As-Salat (the prayer).
Show diacritics
Hadith Number: Q1221
وقال عمر رضي الله عنه إني لاجهز جيشي وانا في الصلاة.
Aur Umar razi Allahu anhu ne kaha ke main namaaz parhta rehta hoon aur namaaz hi mein jihad ke liye apni fauj ka saman kiya karta hoon .


Show diacritics
Hadith Number: 1221
حدثنا إسحاق بن منصور، حدثنا روح، حدثنا عمر هو ابن سعيد , قال: اخبرني ابن ابي مليكة، عن عقبة بن الحارث رضي الله عنه , قال:" صليت مع النبي صلى الله عليه وسلم العصر، فلما سلم قام سريعا دخل على بعض نسائه، ثم خرج وراى ما في وجوه القوم من تعجبهم لسرعته , فقال: ذكرت وانا في الصلاة تبرا عندنا فكرهت ان يمسي او يبيت عندنا، فامرت بقسمته".
Hum se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , kaha ke hum se Rawh bin Ubadah ne , kaha ke hum se Umar ne jo Saeed ke bete hain , unhon ne kaha ke mujhe Ibn Abi Mulaykah ne khabar di Uqbah bin Harith razi Allahu anhu se , unhon ne kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Asar ki namaaz parhi . Aap salla Allahu alaihi wasallam salam pherte hi bari teezi se uthe aur apni ek biwi ke hujra mein tashreef le gaye , phir bahar tashreef laaye . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne apni jaldi par is taajub o hairat ko mehsoos kiya jo sahaba ke chehron se zahir ho raha tha , is liye Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke namaaz mein mujhe sone ka ek dalla yaad aa gaya jo hamare paas taqseem se baaqi reh gaya tha . Mujhe bura maloom hua ke hamare paas woh shaam tak ya raat tak reh jaye . Is liye main ne ise taqseem karne ka hukm de diya .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1222
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن جعفر، عن الاعرج , قال: قال ابو هريرة رضي الله عنه: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا اذن بالصلاة ادبر الشيطان له ضراط حتى لا يسمع التاذين، فإذا سكت المؤذن اقبل فإذا ثوب ادبر، فإذا سكت اقبل فلا يزال بالمرء يقول له اذكر ما لم يكن يذكر حتى لا يدري كم صلى"، قال ابو سلمة بن عبد الرحمن: إذا فعل احدكم ذلك فليسجد سجدتين وهو قاعد، وسمعه ابو سلمة من ابي هريرة رضي الله عنه.
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , kaha ke hum se Layth ne , un se Jafar bin Rabeeah ne aur un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab namaaz ke liye azaan di jaati hai to Shaytan peeth mor kar riyah kharij karta hua bhagta hai taake azaan na sun sake . Jab muazzin chup ho jata hai to mardood phir aa jata hai aur jab jamaat khari hone lagti hai (aur takbir kahi jaati hai) to phir bhaag jata hai . Lekin jab muazzin chup ho jata hai to phir aa jata hai . Aur aadmi ke dil mein waswaas paida karta rehta hai . Kehta hai ke (falan falan baat) yaad kar . Kam bakht woh baatein yaad dilata hai jo is namazi ke zehan mein bhi na thin . Is tarah namazi ko yeh bhi yaad nahin rehta ke us ne kitni rakatain parhi hain . Abu Salamah bin Abdur Rahman ne kaha ke jab koi yeh bhool jaye (ke kitni rakatain parhi hain) to baithe baithe (sahu ke) do sajde kar le . Abu Salamah ne yeh Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna tha .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1223
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا عثمان بن عمر , قال: اخبرني ابن ابي ذئب، عن سعيد المقبري , قال: قال ابو هريرة رضي الله عنه: يقول الناس اكثر ابو هريرة، فلقيت رجلا , فقلت:" بما قرا رسول الله صلى الله عليه وسلم البارحة في العتمة؟ فقال: لا ادري، فقلت: لم تشهدها؟ قال: بلى، قلت: لكن انا ادري، قرا سورة كذا وكذا".
Hum se Muhammad bin Muthanna ne byaan kiya , kaha ke hum se Uthman bin Umar ne kaha ke mujhe Ibn Abi Zi'b ne khabar di , unhein Saeed Maqburi ne ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha log kehte hain ke Abu Hurairah bohat zyada hadeesein byaan karta hai (aur haal yeh hai ke) main ek shakhs se ek martaba mila aur is se main ne (bataur imtihan) daryaft kiya ke guzishta raat Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Isha mein kaun kaun si surtein parhi thin ? Us ne kaha ke mujhe nahin maloom . Main ne poocha ke tum namaaz mein shareek thay ? Kaha ke han shareek tha . Main ne kaha lekin mujhe to yaad hai ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne falan falan surtein parhi thin .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain