الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب التَّهَجُّد
The Book of Salat-Ut-Tahajjud (Night Prayer)
بَابُ مَنْ نَامَ أَوَّلَ اللَّيْلِ وَأَحْيَا آخِرَهُ:
Chapter. Sleeping in the first part of the night and getting up in its last part.
Show diacritics
Hadith Number: Q1146
وقال سلمان لابي الدرداء رضي الله عنهما: نم فلما كان من آخر الليل قال: قم قال النبي صلى الله عليه وسلم: صدق سلمان.
Aur Salman Farsi ne Abu Darda (razi Allahu anhuma) se farmaya ke shuru raat mein so ja aur aakhir raat mein ibadat kar . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne yeh sun kar farmaya tha ke Salman ne bilkul sach kaha .


Show diacritics
Hadith Number: 1146
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة. ح وحدثني سليمان , قال: حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، عن الاسود , قال: سالت عائشة رضي الله عنها كيف كانت صلاة النبي صلى الله عليه وسلم بالليل؟ قالت: كان ينام اوله ويقوم آخره فيصلي ثم يرجع إلى فراشه، فإذا اذن المؤذن وثب، فإن كان به حاجة اغتسل وإلا توضا وخرج".
Hum se Abul Waleed ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , (doosri sanad) aur mujh se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , un se Abu Ishaq Amr bin Abdullah ne , un se Aswad bin Yazid ne , unhon ne batlaya ke mein ne Aisha Siddiqa razi Allahu anha se poocha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam raat mein namaaz kyonkar parhte thay ? Aap ne batlaya ke shuru raat mein so rahte aur aakhir raat mein bedaar ho kar tahajjud ki namaaz parhte . Is ke baad bistar par aa jaate aur jab muazzin azaan deta to jaldi se uth baithte . Agar ghusl ki zaroorat hoti to ghusl karte warna wuzu kar ke bahar tashreef le jaate .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain