الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْكُسُوف
The Book of The Eclipses.
بَابُ طُولِ السُّجُودِ فِي الْكُسُوفِ:
Chapter. To prolong the prostrations in the eclipse Salat (prayer).
Hadith Number: 1051
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا شيبان، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن عبد الله بن عمرو، انه قال:" لما كسفت الشمس على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم نودي إن الصلاة جامعة فركع النبي صلى الله عليه وسلم ركعتين في سجدة، ثم قام فركع ركعتين في سجدة، ثم جلس، ثم جلي عن الشمس"، قال: وقالت عائشة رضي الله عنها: ما سجدت سجودا قط كان اطول منها.
Hum se Abu Naeem Fadl bin Dukayn Kufi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shayban bin Abdur Rahman ne Yahya bin Ibn Abi Kaseer se byaan kiya , un se Abu Salamah bin Abdur Rahman bin Auf ne , un se Abdullah bin Amr razi Allahu anhuma ne ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke zamane mein sooraj ko grahan laga to elaan hua ke namaaz hone wali hai (is namaaz mein) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne aik rakat mein do ruku kiye aur phir doosri rakat mein bhi do ruku kiye , is ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam baithay rahe (qadah mein) yahan tak ke sooraj saaf ho gaya . Abdullah ne kaha Ayesha razi Allahu anha ne farmaya ke main ne is se ziyada lamba sajdah aur kabhi nahi kiya .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة