الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجُمُعَةِ
The Book of Al-Jumuah (Friday)
بَابُ هَلْ عَلَى مَنْ لَمْ يَشْهَدِ الْجُمُعَةَ غُسْلٌ مِنَ النِّسَاءِ وَالصِّبْيَانِ وَغَيْرِهِمْ:
Chapter. Is the taking of a bath (on Friday) necessary for women, boys, and others who do not present themselves for the Jumuah (prayer).
Hadith Number: Q894
وقال ابن عمر: إنما الغسل على من تجب عليه الجمعة.
Aur Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne kaha ghusl usi ko wajib hai jis par juma wajib hai .
Hadith Number: 894
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: حدثني سالم بن عبد الله، انه سمع عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، يقول: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" من جاء منكم الجمعة فليغتسل".
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Shoaib ne Zuhri se khabar di , unhon ne kaha ke mujh se Salim bin Abdullah ne byaan kiya , unhon ne (apne walid) Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se suna woh farmate thay ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna ke tum mein se jo shakhs juma parhne aaye to ghusl kare .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 895
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن صفوان بن سليم، عن عطاء بن يسار، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" غسل يوم الجمعة واجب على كل محتلم".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne byaan kiya , un se Imam Malik ne byaan kiya , un se Safwan bin Saleem ne , un se Ata bin Yasar ne , un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke har baligh ke oopar juma ke din ghusl wajib hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 896
حدثنا مسلم بن إبراهيم، قال: حدثنا وهيب، قال: حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" نحن الآخرون السابقون يوم القيامة اوتوا الكتاب من قبلنا واوتيناه من بعدهم، فهذا اليوم الذي اختلفوا فيه فهدانا الله فغدا لليهود وبعد غد للنصارى، فسكت.
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha ke hum se Wuhaib bin Khalid ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdullah bin Taus ne byaan kiya , un se un ke baap Taus ne , un se Abu Hurayrah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya hum (dunya mein) to baad mein aye lekin qiyamat ke din sab se aage hon ge , farq sirf yeh hai ke Yahood o Nasara ko kitaab hum se pehle di gayi aur hamein baad mein . To yeh din (juma) woh hai jis ke bare mein ahl kitaab ne ikhtilaaf kiya , Allah Taala ne hamein yeh din batla diya (is ke baad) doosra din (haftah) Yahood ka din hai aur teesra din (itwar) Nasara ka . Aap phir khamosh ho gaye .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 897
ثم قال: حق على كل مسلم ان يغتسل في كل سبعة ايام، يوما يغسل فيه راسه وجسده".
Is ke baad farmaya ke har musalman par haq hai (Allah Taala ka) har saat din mein ek din juma mein ghusl kare jis mein apne sar aur badan ko dhoye .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 898
رواه ابان بن صالح، عن مجاهد، عن طاوس، عن ابي هريرة، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم: لله تعالى على كل مسلم حق ان يغتسل في كل سبعة ايام يوما.
Is hadees ki riwayat Aban bin Saleh ne Mujahid se ki hai , un se Taus ne , un se Abu Hurayrah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Taala ka har musalman par haq hai ke har saat din mein ek din (juma) ghusl kare .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة