الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
أَبْوَابُ صِفَةِ الصَّلَاةِ
The Book of Adhan (Sufa-tus-Salat)
بَابُ الْخُشُوعِ فِي الصَّلاَةِ:
Chapter. Submissiveness in As-Salat (the prayer).
Hadith Number: 741
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:"هل ترون قبلتي، ها هنا والله ما يخفى علي ركوعكم ولا خشوعكم وإني لاراكم وراء ظهري".
Hum se Ismail bin Abi Uways ne byaan kiya , kaha ke mujh se Imam Malik rahimahullah ne Abuz Zinad se byaan kiya , unhon ne Araj se , unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke , kya tum samajhte ho ke mera munh idhar (qiblah ki taraf) hai . Allah ki qasam tumhara ruku aur tumhara khushoo mujh se kuch chhupa hua nahi hai , main tumhein apne peeche se bhi dekhta rehta hoon .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 742
حدثنا محمد بن بشار، قال: حدثنا غندر، قال: حدثنا شعبة، قال: سمعت قتادة، عن انس بن مالك، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اقيموا الركوع والسجود فوالله إني لاراكم من بعدي، وربما قال: من بعد ظهري إذا ركعتم وسجدتم".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ghundar ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke main ne Qatadah se suna , woh Anas bin Malik razi Allahu anhu se bayan karte thay aur woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ruku aur sujood poori tarah kiya karo . Allah ki qasam! main tumhein apne peeche se bhi dekhta rehta hoon ya is tarah kaha ke peeth peeche se jab tum ruku karte ho aur sajda karte ho (to main tumhein dekhta hoon) .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة