الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَذَانِ
The Book of Adhan
بَابُ مَنْ شَكَا إِمَامَهُ إِذَا طَوَّلَ:
Chapter. Complaining against one’s Imam if he prolongs the prayer.
Show diacritics
Hadith Number: Q704
وقال: ابو اسيد: طولت بنا يا بني.
Ek Sahabi Abu Waseed (Malik bin Rabiah) ne apne bete (Munzir) se farmaya beta to ne namaaz ko hum par lamba kar diya .


Show diacritics
Hadith Number: 704
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن إسماعيل بن ابي خالد، عن قيس بن ابي حازم، عن ابي مسعود، قال: قال رجل: يا رسول الله، إني لاتاخر عن الصلاة في الفجر مما يطيل بنا فلان فيها، فغضب رسول الله صلى الله عليه وسلم، ما رايته غضب في موضع كان اشد غضبا منه يومئذ، ثم قال:" يايها الناس، إن منكم منفرين فمن ام الناس فليتجوز، فإن خلفه الضعيف والكبير وذا الحاجة".
Hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan Thauri ne byaan kiya Ismail bin Abi Khalid se , unhon ne Qais bin Abi Hazim se , unhon ne Abu Masood Ansari razi Allahu anhu se , Aap ne farmaya ke ek shakhs ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se kaha ke ya Rasool Allah! main Fajr ki namaaz mein takheer kar ke is liye shareek hota hoon ke falan sahib Fajr ki namaaz bohot taweel kar dete hain . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam is qadar ghussa huay ke main ne naseehat ke waqt us din se zyada ghazab naak Aap salla Allahu alaihi wasallam ko kabhi nahi dekha . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya logo! tum mein baaz log (namaaz se logon ko) door karne ka baais hain . Pas jo shakhs imam ho usay halki namaaz parhni chahiye is liye ke us ke peeche kamzor , boorhe aur zaroorat wale sab hi hote hain .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 705
حدثنا آدم بن ابي إياس، قال: حدثنا شعبة، قال: حدثنا محارب بن دثار، قال: سمعت جابر بن عبد الله الانصاري، قال: اقبل رجل بناضحين وقد جنح الليل، فوافق معاذا يصلي، فترك ناضحه واقبل إلى معاذ فقرا بسورة البقرة او النساء، فانطلق الرجل وبلغه ان معاذا نال منه، فاتى النبي صلى الله عليه وسلم فشكا إليه معاذا، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" يا معاذ، افتان انت او افاتن ثلاث مرار، فلولا صليت بسبح اسم ربك والشمس وضحاها والليل إذا يغشى فإنه يصلي وراءك الكبير والضعيف وذو الحاجة احسب هذا في الحديث"، قال ابو عبد الله: وتابعه سعيد بن مسروق، ومسعر، والشيباني، قال: عمرو، وعبيد الله بن مقسم، وابو الزبير، عن جابر قرا معاذ في العشاء بالبقرة، وتابعه الاعمش، عن محارب.
Hum se Aadam bin Abi Iyaas ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke hum se Muharib bin Dithar ne byaan kiya , kaha ke main ne Jabir bin Abdullah Ansari se suna , Aap ne batlaya ke ek shakhs paani uthane wala do oont liye huay aaya , raat taareek ho chuki thi . Us ne Muaz razi Allahu anhu ko namaaz parhate huay paya . Is liye apne oonton ko baitha kar (namaaz mein shareek hone ke liye) Muaz razi Allahu anhu ki taraf barha . Muaz razi Allahu anhu ne namaaz mein Surah Baqarah ya Surah Nisa shuru ki . Chunanchay woh shakhs niyat tor kar chal diya . Phir usay maloom hua ke Muaz razi Allahu anhu ne mujhe bura bhala kaha hai . Is liye woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein haazir hua aur Muaz ki shikayat ki , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne us se farmaya , Muaz! kya tum logon ko fitna mein daalte ho . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne teen marteba ( «fitaan» ya «faatan») farmaya: «sabbih isma rabbika , wash shamsi wa duhaha , wal layli iza yaghsha» (surtain) tum ne kyun na parheen , kyunke tumhare peeche boorhe , kamzor aur haajat mand namaaz parhte hain . Shubah ne kaha ke mera khayal hai ke yeh aakhri jumla (kyunke tumhare peeche al kh) hadees mein daakhil hai . Shubah ke saath is ki mutabaat Saeed bin Masrooq , Masar aur Shaybani ne ki hai aur Amr bin Dinar , Ubaydullah bin Muqsim aur Abuz Zubayr ne bhi is hadees ko Jabir ke wastay se byaan kiya hai ke Muaz ne Isha mein Surah Baqarah parhi thi aur Shubah ke saath is riwayat ki mutabaat Amash ne Muharib ke wastay se ki hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain