الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَذَانِ
The Book of Adhan
بَابُ مَتَى يَسْجُدُ مَنْ خَلْفَ الإِمَامِ:
Chapter. When should those who are behind the Imam prostrate?
Hadith Number: Q690
قال انس: فإذا سجد فاسجدوا.
Aur Anas razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat kiya hai ke jab imam sajda kare to tum log bhi sajda karo (yeh hadees pehle guzar chuki hai) .
Hadith Number: 690
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى بن سعيد، عن سفيان، قال: حدثني ابو إسحاق، قال: حدثني عبد الله بن يزيد، قال: حدثني البراء وهو غير كذوب، قال:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا قال: سمع الله لمن حمده، لم يحن احد منا ظهره حتى يقع النبي صلى الله عليه وسلم ساجدا، ثم نقع سجودا بعده"، حدثنا ابو نعيم، عن سفيان، عن ابي إسحاق نحوه بهذا.
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Yahya bin Saeed ne Sufyan se byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Abu Ishaq ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abdullah bin Yazid ne byaan kiya , kaha ke mujh se Bara bin Aazib razi Allahu anhu ne byaan kiya , woh jhootay nahi thay . (balkay nihayat hi sachay thay) unhon ne batlaya ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam «sami Allahu liman hamidah» kehtay to hum mein se koi bhi us waqt tak na jhukta jab tak Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam sajde mein na chalay jatay phir hum log sajde mein jatay . Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Thauri ne , unhon ne Abu Ishaq se jaise upar guzra .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة