الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب التَّوْحِيدِ
The Book of Tauhid (Islamic Monotheism)
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ: {هُوَ اللَّهُ الْخَالِقُ الْبَارِئُ الْمُصَوِّرُ}:
Chapter. The Statement of Allah:“He is Allah, the Creator, the Inventor of all things, the Bestower of forms…”(V.59:24)
Hadith Number: 7409
حدثنا إسحاق، حدثنا عفان، حدثنا وهيب، حدثنا موسى هو ابن عقبة، حدثني محمد بن يحيى بن حبان، عن ابن محيريز، عن ابي سعيد الخدري في غزوة بني المصطلق انهم اصابوا سبايا، فارادوا ان يستمتعوا بهن ولا يحملن النبي صلى الله عليه وسلم عن العزل؟، فقال:" ما عليكم ان لا تفعلوا فإن الله قد كتب من هو خالق إلى يوم القيامة" وقال مجاهد، عن قزعة، سمعت ابا سعيد، فقال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ليست نفس مخلوقة إلا الله خالقها".
Hum se Ishaq ne bayan kiya, kaha hum se Affan ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, kaha hum se Musa bin Uqbah ne bayan kiya, kaha mujh se Muhammad bin Yahya bin Habban ne bayan kiya, in se Ibn Muhaireez ne aur in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke Ghazwa e Banu al-Mustaliq mein unhein baandiyan ghaneemat mein milein to unhon ne chaha ke in se hum-bistari karein lekin hamal na thehre. Chunanche logon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se azhal ke mutalliq poochha: to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar tum azhal bhi karo to koi qabahat nahi magar Qayamat tak jis jaan ke mutalliq Allah Ta'ala ne paida hona likh diya hai woh zaroor paida ho kar rahe gi (is liye tumhara azhal karna bekar hai). Aur Mujahid ne Qaza-a se bayan kiya ke unhon ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke koi bhi jaan jo paida honi hai, Allah Ta'ala zaroor usay paida kar ke rahe ga.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة