الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب التَّمَنِّي
The Book of Wishes
بَابُ قَوْلِ الرَّجُلِ لَوْلاَ اللَّهُ مَا اهْتَدَيْنَا:
Chapter. The statement of a man,“Without Allah, we would not have been guided.”
Show diacritics
Hadith Number: 7236
حدثنا عبدان، اخبرني ابي، عن شعبة، حدثنا ابو إسحاق، عن البراء بن عازب، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم" ينقل معنا التراب يوم الاحزاب ولقد رايته وارى التراب بياض بطنه، يقول: لولا انت ما اهتدينا نحن ولا تصدقنا ولا صلينا، فانزلن سكينة علينا، إن الالى، وربما قال: الملا، قد بغوا علينا، إذا ارادوا فتنة ابينا ابينا"، يرفع بها صوته.
`Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum ko hamare walid Usman bin Jabala ne khabar di, unhein Shu'ba ne, un se Abu Ishaq ne bayan kiya aur un se Bara bin Azib Radi Allahu Anhu ne ke Gazwa-e-Khandaq ke din (khandaq khodte hue) Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم bhi khud hamare saath mitti uthaya karte thay. Mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko is haal mein dekha ke mitti ne Aap ke pait ki safaidi ko chhupa diya tha. Aap صلی اللہ علیہ وسلم farmate thay ”Agar Tu na hota (Ae Allah!) to hum na hidayat pate, na hum sadqa dete, na namaz parhte. Pas hum par dil jam'i nazil farma. Is muanideen ki jamaat ne hamare khilaf had se aage barh kar hamla kiya hai. Jab yeh fitna chahte hain to hum un ki baat nahi maante, nahi maante. Is par Aap aawaz ko buland kar dete.“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain