الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب التَّمَنِّي
The Book of Wishes
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنَ التَّمَنِّي:
Chapter. What kind of wishing is disliked.
Hadith Number: Q7233
ولا تتمنوا ما فضل الله به بعضكم على بعض للرجال نصيب مما اكتسبوا وللنساء نصيب مما اكتسبن واسالوا الله من فضله إن الله كان بكل شيء عليما سورة النساء آية 32
Aur Allah Ta'ala ne (Surah an-Nisa mein) farmaya ”Aur na tamanna karo is cheez ki jis ke zariya Allah Ta'ala ne tum mein se baaz ko baaz par (maal mein) fazeelat di hai. Mard apni kamayi ka sawab payein ge aur aurtein apni kamayi ka aur Allah Ta'ala se is ka fazl mango bilashuba Allah har cheez ka janne wala hai.“
Hadith Number: 7233
حدثنا حسن بن الربيع، حدثنا ابو الاحوص، عن عاصم، عن النضر بن انس، قال: قال انس رضي الله عنه: لولا اني سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" لا تتمنوا الموت، لتمنيت".
`Hum se Hasan bin Rabee ne bayan kiya, un se Abul Ahwas ne, un se Aasim ne bayan kiya, un se Nazr bin Anas ne bayan kiya ke Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne kaha agar mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se yeh na suna hota ke maut ki tamanna na karo to mein maut ki aarzu karta.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7234
حدثنا محمد، حدثنا عبدة، عن ابن ابي خالد، عن قيس، قال: اتينا خباب بن الارت نعوده وقد اكتوى سبعا، فقال:" لولا ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نهانا ان ندعو بالموت، لدعوت به.
`Hum se Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Abda ne bayan kiya, un se Ibn Abi Khalid ne, un se Qais ne bayan kiya ke hum Khabbab bin Arat Radi Allahu Anhu ki khidmat mein un ki ayadat ke liye hazir hue. Unhon ne saat daagh lagwaye thay, phir unhon ne kaha ke agar Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne humein maut ki dua karne se mana na kiya hota to mein is ki dua karta.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7235
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا هشام بن يوسف، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن ابي عبيد اسمه سعد بن عبيد مولى عبد الرحمن بن ازهر، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يتمنى احدكم الموت، إما محسنا فلعله يزداد، وإما مسيئا فلعله يستعتب".
`Hum se Abdullah bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hisham bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Ma'mar ne khabar di, unhein Abi Ubaid ne jin ka naam Saad bin Ubaid hai, Abdur Rahman bin Azhar ke mola ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Koi shakhs tum mein se maut ki aarzu na kare, agar wo naik hai to mumkin hai naiki mein aur zyada ho aur agar bura hai to mumkin hai is se tauba kar le.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة