الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب التَّمَنِّي
The Book of Wishes
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لَوِ اسْتَقْبَلْتُ مِنْ أَمْرِي مَا اسْتَدْبَرْتُ» :
Chapter. The statement of the Prophet (p.b.u.h.):“If I had formerly known what I came to know lately...”
Hadith Number: 7229
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، حدثني عروة، ان عائشة قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لو استقبلت من امري ما استدبرت ما سقت الهدي ولحللت مع الناس حين حلوا".
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, un se Urwa Radi Allahu Anhu ne ke Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne (Hujjat-ul-Wada ke mauqe par) farmaya ”Agar mujh ko apna haal pehle se maloom hota jo baad ko maloom hua to mein apne saath qurbani ka janwar na lata aur umrah kar ke doosre logon ki tarah bhi ihram khol dalta.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7230
حدثنا الحسن بن عمر، حدثنا يزيد، عن حبيب، عن عطاء، عن جابر بن عبد الله، قال:" كنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم، فلبينا بالحج وقدمنا مكة لاربع خلون من ذي الحجة، فامرنا النبي صلى الله عليه وسلم ان نطوف بالبيت وبالصفا والمروة وان نجعلها عمرة ونحل إلا من كان معه هدي، قال: ولم يكن مع احد منا هدي غير النبي صلى الله عليه وسلم، وطلحة، وجاء علي من اليمن معه الهدي، فقال: اهللت بما اهل به رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالوا: ننطلق إلى منى، وذكر احدنا يقطر، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إني لو استقبلت من امري ما استدبرت ما اهديت، ولولا ان معي الهدي لحللت، قال: ولقيه سراقة وهو يرمي جمرة العقبة، فقال: يا رسول الله، النا هذه خاصة، قال: لا، بل لابد، قال: وكانت عائشة قدمت معه مكة وهي حائض، فامرها النبي صلى الله عليه وسلم ان تنسك المناسك كلها غير انها لا تطوف ولا تصلي حتى تطهر، فلما نزلوا البطحاء، قالت عائشة: يا رسول الله: اتنطلقون بحجة وعمرة وانطلق بحجة، قال: ثم امر عبد الرحمن بن ابي بكر الصديق ان ينطلق معها إلى التنعيم، فاعتمرت عمرة في ذي الحجة بعد ايام الحج".
`Hum se Hasan bin Umar Jarmi ne bayan kiya, kaha hum se Yazid bin Zurai Basri ne, un se Habib bin Abi Quraiba ne, un se Ata bin Abi Rabah ne, un se Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke hum Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke (Hujjat-ul-Wada ke mauqe par) saath thay, phir hum ne hajj ke liye talbiya kaha aur 4 Zil-Hijjah ko Makkah pahunche, phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne humein Baitullah aur Safa aur Marwa ke tawaf ka hukm diya aur yeh ke hum ise umrah bana lein aur is ke baad halal ho jayein (siwa un ke jin ke saath qurbani ka janwar ho wo halal nahi ho sakte) bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم aur Talha Radi Allahu Anhu ke siwa hum mein se kisi ke paas qurbani ka janwar na tha aur Ali Radi Allahu Anhu Yaman se aaye thay aur un ke saath bhi hadya thi aur kaha ke mein bhi is ka ihram baandh kar aaya hoon jis ka Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne ihram baandha hai, phir doosre log kehne lage ke kya hum apni aurton ke saath suhbat karne ke baad Mina ja sakte hain? (is haal mein ke hamare zikr mani tapkate hon?) Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne is par farmaya ke jo baat mujhe baad mein maloom hui agar pehle hi maloom hoti to mein hadya saath na lata aur agar mere saath hadya na hoti to mein bhi halal ho jata. Bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se Suraqa bin Malik ne mulaqat ki. Is waqt Aap bade shaitan par rami kar rahe thay aur poocha ya Rasul Allah! (kya) yeh hamare liye khaas hai? Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke nahi balki hamesha ke liye hai. Bayan kiya ke Aisha Radi Allahu Anha bhi Makkah aayi theen lekin wo haiza theen to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne unhein tamam amaal-e-hajj ada karne ka hukm diya, sirf wo paak hone se pehle tawaf nahi kar sakti theen aur na namaz parh sakti theen. Jab sab log Batha mein utre to Aisha Radi Allahu Anha ne kaha: ya Rasul Allah! kya aap sab log umrah o hajj donon kar ke lautein ge aur mera sirf hajj ho ga? Bayan kiya ke phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Abdur Rahman bin Abi Bakr Siddiq Radi Allahu Anhu ko hukm diya ke Aisha ko saath le kar maqaam-e-Taneem jayein. Chunancha unhon ne bhi ayyam-e-hajj ke baad Zil-Hijjah mein umrah kiya.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة