الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب التَّمَنِّي
The Book of Wishes
بَابُ قَوْلِهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَيْتَ كَذَا وَكَذَا:
Chapter. The statement of the Prophet (p.b.u.h.):“Would that so-and-so...”
Show diacritics
Hadith Number: 7231
حدثنا خالد بن مخلد، حدثنا سليمان بن بلال، حدثني يحيى بن سعيد، سمعت عبد الله بن عامر بن ربيعة، قال: قالت عائشة:" ارق النبي صلى الله عليه وسلم ذات ليلة، فقال: ليت رجلا صالحا من اصحابي يحرسني الليلة، إذ سمعنا صوت السلاح، قال: من هذا؟، قال سعد: يا رسول الله، جئت احرسك، فنام النبي صلى الله عليه وسلم حتى سمعنا غطيطه، قال ابو عبد الله، وقالت عائشة، قال بلال: الا ليت شعري هل ابيتن ليلة بواد وحولي إذخر وجليل، فاخبرت النبي صلى الله عليه وسلم".
`Hum se Khalid bin Makhlad ne bayan kiya, kaha hum se Sulaiman bin Bilal ne bayan kiya, kaha mujh se Yahya bin Said ne bayan kiya, unhon ne Abdullah bin Aamir bin Rabi'a se suna ke Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke ek raat Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko neend na aayi, phir Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Kash mere sahabah mein se koi naik mard mere liye aaj raat pehra deta.“ Itne mein hum ne hathiyaron ki aawaz suni. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne poocha kaun sahab hain? Bataya gaya ke Saad bin Abi Waqas Radi Allahu Anhu hain ya Rasul Allah! (unhon ne kaha) mein Aap ke liye pehra dene aaya hoon, phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم soye yahan tak ke hum ne Aap ke kharrate ki aawaz sune. Abu Abdullah Imam Bukhari Rahimahullah ne bayan kiya ke Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Bilal Radi Allahu Anhu jab naye naye Madinah aaye to ba-halat-e-bukhar hairani mein yeh sher parhte thay. ”Kash mein jaanta ke mein ek raat is wadi mein guzar sakoon ga... (wadi mein) aur mere chaaron taraf izkhir aur jaleel ghaas ho gi.“ Phir mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se is ki khabar ki.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain