الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْحِيَلِ
The Book of Tricks
بَابُ احْتِيَالِ الْعَامِلِ لِيُهْدَى لَهُ:
Chapter. The playing tricks by an official person in order to obtain presents.
Show diacritics
Hadith Number: 6979
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة عن هشام، عن ابيه، عن ابي حميد الساعدي، قال: استعمل رسول الله صلى الله عليه وسلم رجلا على صدقات بني سليم يدعى ابن اللتبية، فلما جاء حاسبه، قال: هذا مالكم وهذا هدية، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" فهلا جلست في بيت ابيك وامك حتى تاتيك هديتك إن كنت صادقا، ثم خطبنا، فحمد الله واثنى عليه، ثم قال: اما بعد، فإني استعمل الرجل منكم على العمل مما ولاني الله، فياتي فيقول: هذا مالكم وهذا هدية اهديت لي، افلا جلس في بيت ابيه وامه حتى تاتيه هديته، والله لا ياخذ احد منكم شيئا بغير حقه إلا لقي الله يحمله يوم القيامة، فلاعرفن احدا منكم لقي الله يحمل بعيرا له رغاء، او بقرة لها خوار، او شاة تيعر، ثم رفع يده حتى رئي بياض إبطه، يقول: اللهم هل بلغت بصر عيني وسمع اذني".
`Hum se Ubaid bin Ismail ne bayan kiya ‘ kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya ‘ un se Hisham ne ‘ un se un ke walid Urwa ne aur un se Abu Humaid al-Sa'idi Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne ek shakhs ko Bani Sulaim ke sadqat ki wasooli ke liye aamil banaya un ka naam Ibn al-Lutbiyya tha phir jab yeh aamil wapas aaya aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne un ka hisab liya ‘ us ne sarkari maal alaihida kiya aur kuch maal ki nisbat kehne laga ke yeh (mujhe) tuhfa mein mila hai. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne is par farmaya ke phir kyun na tum apne maan baap ke ghar baithe rahe agar tum sacche ho to wahin yeh tuhfa tumhare paas aa jata. Is ke baad Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne humein khutba diya aur Allah ki hamd o sana ke baad farmaya, Amma ba'du! mein tum mein se kisi ek ko is kaam par aamil banata hoon jis ka Allah ne mujhe wali banaya hai phir wo shakhs aata hai aur kehta hai ke yeh tumhara maal aur yeh tuhfa hai jo mujhe diya gaya tha. Ise apne maan baap ke ghar baitha rehna chahiye tha taake is ka tuhfa wahin pahunch jata. Allah ki qasam! tum mein se jo bhi haqq ke siwa koi cheez le ga wo Allah Ta'ala se is haal mein mile ga ke is cheez ko uthaye hue ho ga balki mein tum mein har us shakhs ko pehchan loon ga jo Allah se is haal mein mile ga ke oont uthaye ho ga jo bilbila raha ho ga ya gaye uthaye ho ga jo apni aawaz nikal rahi ho gi ya bakri uthaye ho ga jo apni aawaz nikal rahi ho gi. Phir Aap ne apna haath uthaya yahan tak ke Aap ke baghal ki safaidi dikhayi dene lagi aur farmaya, Ae Allah kya mein ne pahuncha diya. Yeh farmate hue Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko meri aankhon ne dekha aur kaanon se suna.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6980
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن إبراهيم بن ميسرة، عن عمرو بن الشريد، عن ابي رافع، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" الجار احق بصقبه، وقال بعض الناس: إن اشترى دارا بعشرين الف درهم، فلا باس ان يحتال حتى يشتري الدار بعشرين الف درهم، وينقده تسعة آلاف درهم وتسع مائة درهم وتسعة وتسعين وينقده دينارا بما بقي من العشرين الالف، فإن طلب الشفيع اخذها بعشرين الف درهم، وإلا فلا سبيل له على الدار، فإن استحقت الدار، رجع المشتري على البائع بما دفع إليه، وهو تسعة آلاف درهم وتسع مائة وتسعة وتسعون درهما ودينار، لان البيع حين استحق انتقض الصرف في الدينار، فإن وجد بهذه الدار عيبا ولم تستحق فإنه يردها عليه بعشرين الف درهم، قال: فاجاز هذا الخداع بين المسلمين، وقال النبي صلى الله عليه وسلم: بيع المسلم لا داء، ولا خبثة، ولا غائلة".
`Hum se Abu Nu'aim ne bayan kiya ‘ kaha hum se Sufyan Sauri ne bayan kiya ‘ un se Ibrahim bin Maisara ne ‘ un se Amr bin Shareed ne aur un se Abu Rafi' Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Padosi apne padosi ka zyada haqdar hai.“ Aur baaz logon ne kaha agar kisi shakhs ne ek ghar bees hazar dirham ka khareeda (to shufa' ka haqq saqit karne ke liye) yeh heela karne mein koi qabahat nahi ke malik-e-makan ko nau hazar nau sau nannannway (9999) dirham naqd ada kare ab bees hazar ke takmila mein jo baqi rahe yaani das hazar aur ek dirham is ke badal malik-e-makan ko ek dinar (ashrafi) dede. Is surat mein agar shafee' is makan ko lena chahe ga to is ko bees hazar dirham par lena ho ga warna wo is ghar ko nahi le sakta. Aisi surat mein agar bai' ke baad yeh ghar (bai' ke siwa) aur kisi ka nikla to khareedar bai' se wahi qimat wapas le ga jo us ne di hai yaani nau hazar nau sau nannannway dirham aur ek dinar (bees hazar dirham nahi wapas sakta) kyunke jab wo ghar kisi aur ka nikla to ab wo bai' sarf jo bai' aur mushtari ke beech mein ho gayi thi bilkul baatil ho gayi (to asal) dinar phirna lazim ho ga na ke is ke saman (yaani das hazar aur ek dirham) agar is ghar mein koi aib nikla lekin wo bai' ke siwa kisi aur ki milk nahi nikla to khareedar is ghar ko bai' ko wapas aur bees hazar dirham is se le sakta hai. Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha to in logon ne musalmanon ke aapas mein makr o fareb ko jaiz rakkha aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne to farmaya hai ke musalman ki bai' mein jo musalman ke saath ho na aib hona chahiye yaani (bimari) na khabasat na koi aafat.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6981
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن سفيان، قال: حدثني إبراهيم بن ميسرة، عن عمرو بن الشريد، ان ابا رافع ساوم سعد بن مالك بيتا باربع مائة مثقال، وقال: لولا اني سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" الجار احق بصقبه" ما اعطيتك.
`Hum se Masaddad ne bayan kiya ‘ kaha hum se Yahya ne bayan kiya ‘ un se Sufyan ne ‘ un se Ibrahim bin Maisara ne bayan kiya ‘ un se Amr bin Shareed ne ke Abu Rafi' Radi Allahu Anhu ne Saad bin Malik Radi Allahu Anhu ko ek ghar chaar sau misqal mein becha aur kaha ke agar mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se yeh na suna hota ke padosi haqq-e-pados ka zyada haqdar hai to mein Aap ko yeh ghar na deta (aur kisi ke haath bech dalta).


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain