الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الدِّيَاتِ
The Book of Ad-Diyait (Blood - Money)
بَابُ إِذَا أَصَابَ قَوْمٌ مِنْ رَجُلٍ هَلْ يُعَاقِبُ أَوْ يَقْتَصُّ مِنْهُمْ كُلِّهِمْ:
Chapter. If a group of people killed or injured one man, will all of them have to give Diya or be punished with the law of Al-Qisas (equality in punishment)?
Show diacritics
Hadith Number: Q6896
وقال مطرف: عن الشعبي، في: رجلين شهدا على رجل انه سرق، فقطعه علي، ثم جاءا بآخر، وقالا: اخطانا، فابطل شهادتهما، واخذا بدية الاول، وقال: لو علمت انكما تعمدتما لقطعتكما.
Aur Mutarrif ne Shabi se bayan kiya ke do aadmiyon ne ek shakhs ke mutalliq gawahi di ke is ne chori ki hai to Ali razi Allahu anhu ne is ka hath kaat diya. Is ke baad wahi donon ek doosre shakhs ko laaye aur kaha ke hamase ghalati ho gayi thi (asal mein chor yeh tha) to Ali razi Allahu anhu ne in ki shahadat ko batil qarar diya aur in se pehle ka (jis ka hath kaat diya gaya tha) khoon-baha liya aur kaha ke agar mujhe yaqeen hota ke tum logon ne jaan boojh kar aisa kiya hai to main tum donon ka hath kaat deta.


Show diacritics
Hadith Number: 6896
وقال لي ابن بشار، حدثنا يحيى، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما: ان غلاما قتل غيلة، فقال عمر: لو اشترك فيها اهل صنعاء لقتلتهم، وقال مغيرة بن حكيم، عن ابيه، إن اربعة قتلوا صبيا، فقال عمر مثله، واقاد ابو بكر، وابن الزبير، وعلي، وسويد بن مقرن من لطمة، واقاد عمر من ضربة بالدرة، واقاد علي من ثلاثة اسواط، واقتص شريح من سوط وخموش.
Aur mujh se Ibn Bashar ne bayan kiya, in se Yahya ne, in se Ubaidullah ne, in se Nafi ne aur in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke ek larke Aseel naami ko dhokay se qatl kar diya gaya tha. Umar razi Allahu anhu ne kaha ke saare Ahl e Sanaa (Yaman ke log) is ke qatl mein shareek hote to main sab ko qatl kara deta. Aur Mugheera bin Hakeem ne apne walid se bayan kiya ke char aadmiyon ne ek bache ko qatl kar diya tha to Umar razi Allahu anhu ne yeh baat farmayi thi. Abu Bakr, Ibn Zubayr, Ali aur Suwayd bin Muqarrin razi Allahu anhuma ne chaantey ka badla dilwaya tha aur Umar razi Allahu anhu ne darre ki jo maar ek shakhs ko hui ku is ka badla lene ke liye farmaya aur Ali razi Allahu anhu ne teen koron ka qisas lene ka hukm diya aur Shuraih ne kora aur kharash lagane ki saza di thi.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6897
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن سفيان، حدثنا موسى بن ابي عائشة، عن عبيد الله بن عبد الله، قال: قالت عائشة" لددنا رسول الله صلى الله عليه وسلم في مرضه وجعل يشير إلينا لا تلدوني، قال: فقلنا: كراهية المريض بالدواء، فلما افاق، قال: الم انهكم ان تلدوني، قال: قلنا: كراهية للدواء، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: لا يبقى منكم احد إلا لد وانا انظر إلا العباس فإنه لم يشهدكم".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, hamase Yahya ne, in se Sufyan ne, in se Musa bin Abi Aisha ne bayan kiya, in se Ubaidullah bin Abdullah ne ke Aisha razi Allahu anha ne kaha, hum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke marz mein Aap ke munh mein zabardasti dawa daali. Haalan-ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam isharah karte rahe ke dawa na daali jaye lekin hum ne samjha ke mareez ko dawa se jo nafrat hoti hai (is ki wajah se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farma rahe hain) phir jab Aap ko afaqa hua to farmaya. Main ne tumhein nahi kaha tha ke dawa na daalo. Bayan kiya ke hum ne arz kiya ke Aap ne dawa se nagowari ki wajah se aisa kiya ho ga? Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum mein se har ek ke munh mein dawa daali jaye aur main dekhta rahoon ga siwaye Abbas ke kyunke woh is waqt wahan maujood hi na thay.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain