الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْفَرَائِضِ
The Book of Al-Farad (The Laws of Inheritance)
بَابُ إِذَا أَسْلَمَ عَلَى يَدَيْهِ:
Chapter. If someone is converted to Islam through somebody else.
Hadith Number: Q6757
وكان الحسن لا يرى له ولاية، وقال النبي صلى الله عليه وسلم الولاء لمن اعتق ويذكر، عن تميم الداري رفعه قال هو اولى الناس بمحياه ومماته واختلفوا في صحة هذا الخبر
Aur Imam Hasan Basri is ke saath walaa ke talluq ko durust nahi samajhte thay aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke walaa is ke saath qaim ho gi jo aazad kare aur Tameem bin Aus Daari se manqool hai , unhon ne marfoo-an riwayat ki ke woh zindagi aur maut donon halaton mein sab logon se zyada is par haq rakkhta hai lekin is hadees ki sehat mein ikhtilaf hai .
Hadith Number: 6757
حدثنا قتيبة بن سعيد، عن مالك، عن نافع، عن ابن عمر" ان عائشة ام المؤمنين ارادت ان تشتري جارية تعتقها، فقال اهلها: نبيعكها على ان ولاءها لنا، فذكرت ذلك لرسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: لا يمنعك ذلك، فإنما الولاء لمن اعتق".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , in se Imam Malik rahmahullah ne bayan kiya , in se Nafi ne , in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha ne ek kaneez ko aazad karne ke liye khareedna chaha to kaneez ke maalkon ne kaha ke hum beich sakte hain lekin walaa hamare saath ho gi . Umm al-Momineen ne is ka zikr Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se kiya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is shart ko manay na ban-ne do , walaa hamesha isi ke saath qaim hoti hai jo aazad kare .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6758
حدثنا محمد، اخبرنا جرير، عن منصور، عن إبراهيم، عن الاسود، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" اشتريت بريرة، فاشترط اهلها ولاءها، فذكرت ذلك للنبي صلى الله عليه وسلم، فقال: اعتقيها فإن الولاء لمن اعطى الورق، قالت: فاعتقتها، قالت: فدعاها رسول الله صلى الله عليه وسلم، فخيرها من زوجها، فقالت: لو اعطاني كذا وكذا ما بت عنده، فاختارت نفسها، قال: وكان زوجها حرا".
Hum se Muhammad ne bayan kiya , kaha hum ko Jareer ne khabar di , unhein Mansoor ne , unhein Ibrahim ne , unhein Aswad ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke main ne Bareera ko khareedna chaha to in ke maalkon ne shart lagayi ke walaa in ke saath qaim hu gi . Main ne is ka tazhkira Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kiya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke unhein aazad kar do , walaa qeemat ada karne wale hi ke saath qaim hoti hai . Bayan kiya ke phir main ne aazad kar diya . Phir unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne bulaya aur in ke shohar ke muamla mein ikhtiyar diya . Unhon ne kaha ke agar mujhe yeh yeh cheezin bhi woh de-de to main is ke saath raat guzarne ke liye tayyar nahi . Chunanche is ne shohar se alaihidgi ko pasand kiya .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة