الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب مَوَاقِيتِ الصَّلَاةِ
The Book of The Times of As-Salat (The Prayers) and Its Superiority
بَابُ وَقْتِ الْعَصْرِ:
Chapter. The time of the Asr prayer.
Hadith Number: 544
حدثنا إبراهيم بن المنذر، قال: حدثنا انس بن عياض، عن هشام، عن ابيه، ان عائشة، قالت:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يصلي العصر والشمس لم تخرج من حجرتها"، وقال ابو اسامة: عن هشام من قعر حجرتها.
Hum se Ibrahim bin Al-Munzir ne bayan kiya , kaha hum se Anas bin Iyaz Laithi ne Hisham bin Urwah ke wastay se bayan kiya , unhon ne apne walid se ke mayi Aisha Siddiqa raziyallahu anha ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam asr ki namaz aise waqt parhte thay ke un ke hijra mein se abhi dhoop bahar nahi niklti thi .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 545
حدثنا قتيبة، قال: حدثنا الليث، عن ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم صلى العصر والشمس في حجرتها لم يظهر الفيء من حجرتها".
Hum se Qutaiba bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne Ibn Shihab se bayan kiya , unhon ne Urwah bin Zubair raziyallahu anhu se , unhon ne Aisha Siddiqa raziyallahu anha se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne asr ki namaz parhi to dhoop un ke hijra hi mein thi . Saya wahan nahi phela tha .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 546
حدثنا ابو نعيم، قال: اخبرنا ابن عيينة، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة، قالت:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يصلي صلاة العصر والشمس طالعة في حجرتي لم يظهر الفيء بعد"، وقال مالك: ويحيى بن سعيد، وشعيب، وابن ابي حفصة، والشمس قبل ان تظهر.
Hum se Abu Naeem Fazl bin Dukain ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne Ibn Shihab Zuhri se bayan kiya , unhon ne Urwah se , unhon ne Aisha Siddiqa raziyallahu anha se , aap ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam jab asr ki namaz parhte to sooraj abhi mere hijre mein jhankta rehta tha . Abhi saya na phela hota tha . Abu Abdullah Imam Bukhari rahimahullah kehte hain ke Imam Malik aur Yahya bin Saeed , Shoaib rahimahumullah aur Ibn Abi Hafsa ke riwayaton mein Zuhri se wal-shams qabla an tazhar ke alfaz hain , jin ka matlab yeh hai ke dhoop abhi upar na charhi hoti .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 547
حدثنا محمد بن مقاتل، قال: اخبرنا عبد الله، قال: اخبرنا عوف، عن سيار بن سلامة، قال: دخلت انا وابي على ابي برزة الاسلمي، فقال له ابي:" كيف كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يصلي المكتوبة؟ فقال: كان يصلي الهجير التي تدعونها الاولى حين تدحض الشمس ويصلي العصر، ثم يرجع احدنا إلى رحله في اقصى المدينة والشمس حية، ونسيت ما قال في المغرب، وكان يستحب ان يؤخر العشاء التي تدعونها العتمة، وكان يكره النوم قبلها والحديث بعدها، وكان ينفتل من صلاة الغداة حين يعرف الرجل جليسه ويقرا بالستين إلى المائة".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne bayan kiya , unhon ne kaha humein Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhon ne kaha humein Awf ne khabar di Siyar bin Salama se , unhon ne bayan kiya ke mein aur mere walid Abu Barza Aslami raziyallahu anhu ki khidmat mein hazir hue . Un se mere walid ne poocha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam farz namazen kin waqton mein parhte thay . Unhon ne farmaya ke dopahar ki namaz jisay tum pehli namaz kehte ho sooraj dhulne ke baad parhte thay . Aur jab asr parhte is ke baad koi shakhs Madina ke intihai kinare par apne ghar wapas jata to sooraj ab bhi taiz hota tha . Siyar ne kaha ke maghrib ke waqt ke mutalliq aap ne jo kuch kaha tha woh mujhe yaad nahi raha . Aur isha ki namaz jisay tum atma kehte ho is mein der ko pasand farmate thay aur is se pehle sone ko aur is ke baad baat cheet karne ko na-pasand farmate aur subah ki namaz se is waqt farigh ho jate jab aadmi apne qareeb baithe hue doosre shakhs ko pehchan sakta aur subah ki namaz mein aap saath se sau tak ayaten parha karte thay .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 548
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، عن انس بن مالك، قال:" كنا نصلي العصر، ثم يخرج الإنسان إلى بني عمرو بن عوف فنجدهم يصلون العصر".
Hum se Abdullah bin Maslama Qanabi ne bayan kiya , woh Imam Malik rahimahullah alaihi se , unhon ne Ishaq bin Abdullah bin Abi Talha se riwayat kiya , unhon ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se is hadees ko riwayat kiya , unhon ne farmaya ke hum asr ki namaz parh chukte aur is ke baad koi Bani Amr bin Awf Quba ki masjid mein jata to un ko wahan asr ki namaz parhte hue pata .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 549
حدثنا ابن مقاتل، قال: اخبرنا عبد الله، قال: اخبرنا ابو بكر بن عثمان بن سهل بن حنيف، قال: سمعت ابا امامة بن سهل، يقول:" صلينا مع عمر بن عبد العزيز الظهر، ثم خرجنا حتى دخلنا على انس بن مالك فوجدناه يصلي العصر، فقلت: يا عم، ما هذه الصلاة التي صليت؟ قال: العصر، وهذه صلاة رسول الله صلى الله عليه وسلم التي كنا نصلي معه".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne bayan kiya , unhon ne kaha humein Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhon ne kaha humein Abu Bakr bin Usman bin Sahl bin Hunaif ne khabar di , unhon ne kaha mein ne Abu Umama Saad bin Sahl se suna , woh kehte thay ke hum ne Umar bin Abdul Aziz rahimahullah alaihi ke sath zuhr ki namaz parhi . Phir hum nikal kar Anas bin Malik raziyallahu anhu ki khidmat mein hazir hue to dekha aap namaz parh rahe hain . Mein ne arz ki ke aye mukarram chacha! yeh kon si namaz aap ne parhi hai . Farmaya ke asr ki aur isi waqt hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ke sath bhi yeh namaz parhte thay .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 550
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: حدثني انس بن مالك، قال:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يصلي العصر والشمس مرتفعة حية، فيذهب الذاهب إلى العوالي، فياتيهم والشمس مرتفعة، وبعض العوالي من المدينة على اربعة اميال او نحوه".
Hum se Abul Yaman Hukm bin Nafi ne bayan kiya ke kaha humein Shoaib bin Abi Hamza ne Zuhri se khabar di , unhon ne kaha ke mujh se Anas bin Malik raziyallahu anhu ne bayan kiya , unhon ne farmaya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam jab asr ki namaz parhte to sooraj buland aur taiz roshan hota tha . Phir ek shakhs Madina ke balai ilaqe ki taraf jata wahan pohanchnay ke baad bhi sooraj buland rehta tha Zuhri ne kaha ke Madina ke balai ilaqe ke baaz maqamat taqreeban char mile par ya kuch aise hi waqay hain .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 551
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن انس بن مالك، قال:" كنا نصلي العصر، ثم يذهب الذاهب منا إلى قباء فياتيهم والشمس مرتفعة".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya , kaha humein Imam Malik rahimahullah alaihi ne Ibn Shihab Zuhri ke wastay se khabar di , unhon ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se ke aap ne farmaya hum asr ki namaz parhte Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke sath is ke baad koi shakhs Quba jata aur jab wahan pohanch jata to sooraj abhi buland hota tha .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة