الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الرِّقَاقِ
The Book of Ar-Riqaq (Softening of The Hearts)
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مَا أُحِبُّ أَنَّ لِي مِثْلَ أُحُدٍ ذَهَبًا» :
Chapter. The statement of the Prophet:“It would not please me to have gold equal to this rnoutain of Uhud."
Hadith Number: 6444
حدثنا الحسن بن الربيع، حدثنا ابو الاحوص، عن الاعمش، عن زيد بن وهب، قال: قال ابو ذر: كنت امشي مع النبي صلى الله عليه وسلم في حرة المدينة، فاستقبلنا احد، فقال:" يا ابا ذر، قلت: لبيك يا رسول الله، قال: ما يسرني ان عندي مثل احد هذا ذهبا تمضي علي ثالثة وعندي منه دينار إلا شيئا ارصده لدين إلا ان اقول به في عباد الله هكذا وهكذا وهكذا عن يمينه، وعن شماله، ومن خلفه، ثم مشى، فقال: إن الاكثرين هم الاقلون يوم القيامة، إلا من قال: هكذا وهكذا وهكذا عن يمينه، وعن شماله، ومن خلفه، وقليل ما هم، ثم قال لي: مكانك لا تبرح حتى آتيك"، ثم انطلق في سواد الليل حتى توارى، فسمعت صوتا قد ارتفع، فتخوفت ان يكون قد عرض للنبي صلى الله عليه وسلم فاردت ان آتيه، فذكرت قوله لي: لا تبرح حتى آتيك، فلم ابرح حتى اتاني، قلت: يا رسول الله، لقد سمعت صوتا تخوفت فذكرت له، فقال: وهل سمعته؟ قلت: نعم، قال:" ذاك جبريل اتاني، فقال: من مات من امتك لا يشرك بالله شيئا، دخل الجنة، قلت: وإن زنى، وإن سرق، قال: وإن زنى، وإن سرق".
Hum se Hasan bin Rabee ne bayan kiya , kaha hum se Abu al-Ahwas (Salam bin Saleem) ne bayan kiya , in se Aamash ne , in se Zayd bin Wahb ne ke Abu Zarr Ghifari razi Allahu anhu ne kaha main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Madinah ke pathreeli ilaqay mein chal raha tha ke Uhud pahar hamare samne aa gaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya: Abu Zarr! Main ne arz kiya , hazir hoon ya Rasool Allah! Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mujhe is se bilkul khushi nahi ho gi ke mere paas is Uhud ke barabar sona ho aur is par teen din is tarah guzar jayein ke is mein se ek dinar bhi baqi reh jaye siwa is thori si raqam ke jo main qarz ki adayigi ke liye chhorr doon balkay main usay Allah ke bandon mein is tarah kharch karoon apni dayein taraf se , bayein taraf se aur peeche se . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam chalte rahe , is ke baad farmaya , zyada maal jama rakhne wale hi Qayamat ke din mufli-s hon ge siwa is shakhs ke jo is maal ko is is tarah dayein taraf se , bayein taraf se aur peeche se kharch kare aur aise log kam hain . Phir mujh se farmaya , yahien thehre raho , yahan se is waqt tak na jaana jab tak main na aa jaoon . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam raat ki tareeki mein chale gaye aur nazron se ojhal ho gaye . Is ke baad main ne aawaz suni jo buland thi . Mujhe dar laga ke kahin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko koi dushwari na pesh aa gayi ho . Main ne Aap ki khidmat mein pahunchne ka irada kiya lekin Aap ka irshad yaad aaya ke apni jagah se na hatna , jab tak main na aa jaoon . Chunanche jab tak Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tashreef nahi laaye main wahan se nahi hata . Phir Aap aaye main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Main ne ek aawaz suni ku , mujhe dar laga lekin phir Aap ka irshad yaad aaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya kya tum ne suna thu ? Main ne arz kiya , ji haan . Farmaya ke woh Jibrail alaihissalam thay aur unhon ne kaha ke Aap ki ummat ka jo shakhs is haal mein mar jaye ke us ne Allah ke saath kisi ko shareek na kiya ho to jannat mein jaye ga . Main ne poochha khwah us ne zina aur chori bhi ki ho ? Unhon ne kaha haan zina aur chori hi kyun na ki ho .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6445
حدثني احمد بن شبيب، حدثنا ابي، عن يونس، وقال الليث، حدثني يونس، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، قال ابو هريرة رضي الله عنه: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لو كان لي مثل احد ذهبا، لسرني ان لا تمر علي ثلاث ليال وعندي منه شيء، إلا شيئا ارصده لدين".
Mujh se Ahmad bin Shabeeb ne bayan kiya , kaha mujh se mere walid ne bayan kiya , in se Yunus ne aur Layth bin Saad ne bayan kiya ke mujh se Yunus ne bayan kiya , in se Ibn Shihab Zuhri ne , in se Ubaidullah bin Abdullah bin Utbah bin Masood ne ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar mere paas Uhud pahar ke barabar bhi sona ho to mujhe is mein khushi ho gi ke teen din bhi mujh par is haal mein na guzarne payein ke is mein se mere paas kuch bhi baqi bache . Albatta agar kisi ka qarz door karne ke liye kuch rakh chhorroon to yeh aur baat hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة