الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الدَّعَوَاتِ
The Book of Invocations
بَابُ الاِسْتِعَاذَةِ مِنْ أَرْذَلِ الْعُمُرِ، وَمِنْ فِتْنَةِ الدُّنْيَا وَفِتْنَةِ النَّارِ:
Chapter. To seek refuge with Allah from senile old age and from the Fitnah (trial and affliction), of this world and from the Fitnah of the Hell-fire.
Show diacritics
Hadith Number: 6374
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، اخبرنا الحسين، عن زائدة، عن عبد الملك، عن مصعب بن سعد، عن ابيه، قال: تعوذوا بكلمات كان النبي صلى الله عليه وسلم يتعوذ بهن:" اللهم إني اعوذ بك من الجبن، واعوذ بك من البخل، واعوذ بك من ان ارد إلى ارذل العمر، واعوذ بك من فتنة الدنيا وعذاب القبر".
Hum se Ishaq bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum ko Husain bin Ali Jafi ne khabar di, unhein Zaidah bin Qudamah ne, unhein Abd-ul-Malik bin Umair ne, unhein Musab bin Saad ne aur in se un ke walid ne bayan kiya ke in kalma-t ke zariye Allah ki panah maango jin ke zariye Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam panah maangte thay «allaahumma innee aoozhu bika minal-jubni, wa aoozhu bika minal-bukhli, wa aoozhu bika min an uradda ilaa arzhali-lumuri, wa aoozhu bika min fitnatid-dunya, wa azhaabil-qabri» ”Ae Allah! Main teri panah maangta hoon buzdili se, teri panah maangta hoon bukhl se, is se ke nakara umr ko pahunchoon, teri panah maangta hoon duniya ki aazmaish se aur qabr ke azab se.“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6375
حدثنا يحيى بن موسى، حدثنا وكيع، حدثنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة، ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يقول:"اللهم إني اعوذ بك من الكسل، والهرم، والمغرم، والماثم، اللهم إني اعوذ بك من عذاب النار، وفتنة النار، وفتنة القبر، وعذاب القبر، وشر فتنة الغنى، وشر فتنة الفقر، ومن شر فتنة المسيح الدجال، اللهم اغسل خطاياي بماء الثلج والبرد، ونق قلبي من الخطايا كما ينقى الثوب الابيض من الدنس، وباعد بيني وبين خطاياي كما باعدت بين المشرق والمغرب".
Hum se Yahya bin Musa ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Waki ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne bayan kiya, in se un ke walid Urwah bin Zubayr ne aur in se Umm al-Momineen Aisha Siddiqa razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam dua kiya karte thay kaha «allaahumma innee aoozhu bika minal-kasali wal-harami wal-maghrami wal-masami, allaahumma innee aoozhu bika min azhaabin-naari wa fitnatin-naari wa azhaabil-qabri, wa sharri fitnatil-ghinaa, wa sharri fitnatil-faqri, wa min sharri fitnatil-maseehid-daj-jaali, allaahum-magh-sil khataayaaya bi-maa-is-salji wal-baradi, wa naqqi qalbee minal-khataayaa, kamaa yunaqqas-saubul-abyadhu min-ad-danasi, wa baaid bainee wa baina khataayaaya kamaa baaad-ta bainal-mashriqi wal-maghribi» ”Ae Allah! Main teri panah maangta hoon susti se, nakara umr se, burhape se, qarz se aur gunah se. Ae Allah! Main teri panah maangta hoon dozakh ke azab se, dozakh ki aazmaish se, qabr ke azab se, maaldari ki buri aazmaish se, muhtaji ki buri aazmaish se aur Maseeh Dajjal ki buri aazmaish se. Ae Allah! Mere gunahon ko barf aur olay ke pani se dho de aur mere dil ko khatayon se paak kar de, jis tarah sufaid kapra mail se saaf kar diya jata hai aur mere aur mere gunahon ke darmiyan itna fasla kar de jitna fasla mashriq o maghrib mein hai.“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain