الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الدَّعَوَاتِ
The Book of Invocations
بَابُ مَا يَقُولُ إِذَا نَامَ:
Chapter. What to say on going to bed.
Hadith Number: 6312
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن عبد الملك، عن ربعي بن حراش، عن حذيفة بن اليمان، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا اوى إلى فراشه قال: باسمك اموت واحيا، وإذا قام قال: الحمد لله الذي احيانا بعد ما اماتنا وإليه النشور".
Hum se Qubaysah bin Uqbah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, in se Abd-ul-Malik bin Umair ne, in se Rabee bin Hirash ne aur in se Huzayfah bin Yaman razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab apne bistar par laytte to yeh kehte «bi-ismika amootu wa ahyaa» ”tere hi naam ke saath main murda aur zinda rehta hoon“ aur jab bedar hote to kehte «al-hamdu lillaahil-lazhee ahyaanaa ba-da maa amaatanaa wa ilaihin-nushooru» ”isi Allah ke liye tamam tareefein hain jis ne hamain zinda kiya. Is ke baad ke us ne maut tari kar di thi aur isi ki taraf lautna hai.“ Quran Shareef mein jo lafz «nunshiruha» hai is ka bhi yahi maani hai ke hum is ko nikaal kar uthate hain.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6313
حدثنا سعيد بن الربيع، ومحمد بن عرعرة، قالا: حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق سمع البراء بن عازب، ان النبي صلى الله عليه وسلم امر رجلا. ح وحدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا ابو إسحاق الهمداني، عن البراء بن عازب، ان النبي صلى الله عليه وسلم اوصى رجلا، فقال:" إذا اردت مضجعك، فقل: اللهم اسلمت نفسي إليك، وفوضت امري إليك، ووجهت وجهي إليك، والجات ظهري إليك رغبة ورهبة إليك لا ملجا ولا منجا منك إلا إليك، آمنت بكتابك الذي انزلت وبنبيك الذي ارسلت، فإن مت مت على الفطرة".
Hum se Saeed bin Rabee aur Muhammad bin Ar-ara ne bayan kiya, in donon ne kaha ke hum se Shubah ne bayan kiya, in se Abu Ishaq ne bayan kiya, unhon ne Bara bin Azib razi Allahu anhuma se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek sahabi ko hukm diya (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke hamase Adam ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shubah ne bayan kiya in se Abu Ishaq Hamdani ne bayan kiya, aur in se Bara bin Azib razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek sahabi ko wasiyat kiya aur farmaya ke jab bistar par jaane lago to yeh dua parha karo «allaahumma aslamtu nafsee ilaika wa fau-wadtu amree ilaika wa waj-jahtu waj-hee ilaika wa aljatu zhahree ilaika raghbatan wa rahbatan ilaika laa malja-a wa laa manjaa minka illaa ilaika aamantu bi-kitaabikal-lazhee anzalta wa bi-nabiy-yikal-lazhee arsalta» ”Ae Allah! Main ne apni jaan tere supard ki aur apna muamla tujhe saunpa aur apne Aap ko teri taraf mutawaj-jo kiya aur tujh par bharosa kiya, teri taraf raghbat hai tere khauf ki wajah se, tujh se tere siwa koi jaye panah nahi, main teri kitab par iman laya jo tu ne nazil ki aur tere Nabi par jinhein tu ne bheja.“ Phir agar woh mara to fitrat (Islam) par mare ga.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة