الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الصَّلَاةِ
The Book of As-Salat (The Prayer)
بَابُ يَرُدُّ الْمُصَلِّي مَنْ مَرَّ بَيْنَ يَدَيْهِ:
Chapter. The person offering Salat (prayer) should repulse that person who tries to pass in front of him.
Hadith Number: Q509
ورد ابن عمر في التشهد وفي الكعبة وقال إن ابى إلا ان تقاتله فقاتله.
Aur Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma ne Kaaba mein jab ke aap tashahhud ke liye baithe hue thay rok diya tha aur agar woh guzarne wala larai par utar aaye to is se lare .
Hadith Number: 509
حدثنا ابو معمر، قال: حدثنا عبد الوارث، قال: حدثنا يونس، عن حميد بن هلال، عن ابي صالح، ان ابا سعيد، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثنا آدم بن ابي إياس قال: حدثنا سليمان بن المغيرة، قال: حدثنا حميد بن هلال العدوي، قال: حدثنا ابو صالح السمان، قال: رايت ابا سعيد الخدري في يوم جمعة يصلي إلى شيء يستره من الناس، فاراد شاب من بني ابي معيط ان يجتاز بين يديه، فدفع ابو سعيد في صدره فنظر الشاب فلم يجد مساغا إلا بين يديه، فعاد ليجتاز فدفعه ابو سعيد اشد من الاولى فنال من ابي سعيد، ثم دخل على مروان فشكا إليه ما لقي منابي سعيد، ودخل ابو سعيد خلفه على مروان فقال: ما لك ولابن اخيك يا ابا سعيد؟ قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" إذا صلى احدكم إلى شيء يستره من الناس، فاراد احد ان يجتاز بين يديه فليدفعه، فإن ابى فليقاتله فإنما هو شيطان".
Hum se Abu Mamar ne bayan kiya , kaha hum se Abdul Warith ne bayan kiya , kaha ke hum se Yunus bin Ubaid ne Humaid bin Hilal ke wastay se bayan kiya , unhon ne Abu Saleh Dhakwan Saman se ke Abu Saeed Khudri raziyallahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya doosri sanad aur hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , kaha hum se Sulaiman bin Mughira ne , kaha hum se Humaid bin Hilal Adwi ne , kaha hum se Abu Saleh Saman ne , kaha mein ne Abu Saeed Khudri raziyallahu anhu ko juma ke din namaz parhte hue dekha . Aap kisi cheez ki taraf munh kiye hue logon ke liye isay aar banaye hue thay . Abu Muait ke beton mein se ek jawan ne chaha ke aap ke samne se ho kar guzar jaye . Abu Saeed raziyallahu anhu ne is ke seene par dhakka de kar baz rakhna chaha . Jawan ne charon taraf nazar daurayi lekin koi rasta siwaye samne se guzarne ke na mila . Is liye woh phir isi taraf se nikalne ke liye lauta . Ab Abu Saeed raziyallahu anhu ne pehle se bhi zyada zor se dhakka diya . Isay Abu Saeed raziyallahu anhu se shikayat hui aur woh apni yeh shikayat Marwan ke pas le gaya . Is ke baad Abu Saeed raziyallahu anhu bhi tashreef le gaye . Marwan ne kaha aye Abu Saeed raziyallahu anhu aap mein aur aap ke bhatije mein kya muamla pesh aaya . Aap ne farmaya ke mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se suna hai aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya tha ke jab koi shakhs namaz kisi cheez ki taraf munh kar ke parhe aur is cheez ko aar bana raha ho phir bhi agar koi samne se guzre to isay rok dena chahiye . Agar ab bhi isay israr ho to isay larna chahiye . Kyunke woh shaitan hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة