الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب اللِّبَاسِ
The Book of Dress
بَابُ الْوَاشِمَةِ:
Chapter. The woman who practises tattooing.
Hadith Number: 5944
حدثني يحيى، حدثنا عبد الرزاق، عن معمر، عن همام، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" العين حق، ونهى عن الوشم".
Mujh se Yahya bin Abi Basheer ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ur-Razzaq ne bayan kiya, in se Mamar ne, in se Humam ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”nazar lag jaana haq hai“ aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne godne se mana farmaya.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5944M
حدثني ابن بشار، حدثنا ابن مهدي، حدثنا سفيان، قال: ذكرت لعبد الرحمن بن عابس حديث منصور، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله، فقال: سمعته من ام يعقوب، عن عبد الله، مثل حديث منصور.
Mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Mahdi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, kaha ke main ne Abd-ur-Rahman bin Aabis se Mansoor ki hadees zikr ki jo woh Ibrahim se bayan karte thay ke in se Alqama ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne bayan kiya to Abd-ur-Rahman ne kaha ke main ne bhi Mansoor ki hadees ki tarah Umm Yaqoob se suna hai woh Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se bayan karti thien.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5945
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن عون بن ابي جحيفة، قال: رايت ابي، فقال" إن النبي صلى الله عليه وسلم نهى عن ثمن الدم وثمن الكلب وآكل الربا وموكله والواشمة والمستوشمة".
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Aun bin Abi Juhaifah ne bayan kiya ke main ne apne walid (Abu Juhaifah razi Allahu anhu) ko dekha, unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khoon ki qeemat, kutte ki qeemat khane se mana farmaya aur sood lene wale aur dene wale, godne wali aur gudwane wali (par lanat bheji).
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة