الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الصَّلَاةِ
The Book of As-Salat (The Prayer)
بَابُ الْخَيْمَةِ فِي الْمَسْجِدِ لِلْمَرْضَى وَغَيْرِهِمْ:
Chapter. To pitch a tent in the mosque for patients, etc.
Show diacritics
Hadith Number: 463
حدثنا زكرياء بن يحيى، قال: حدثنا عبد الله بن نمير، قال: حدثنا هشام، عن ابيه، عن عائشة، قالت:" اصيب سعد يوم الخندق في الاكحل، فضرب النبي صلى الله عليه وسلم خيمة في المسجد ليعوده من قريب، فلم يرعهم، وفي المسجد خيمة من بني غفار إلا الدم يسيل إليهم، فقالوا: يا اهل الخيمة، ما هذا الذي ياتينا من قبلكم؟ فإذا سعد يغذو جرحه دما فمات فيها".
Hum se Zakariya bin Yahya ne bayan kiya ke kaha hum se Abdullah bin Numair ne ke kaha hum se Hisham bin Urwah ne apne walid Urwah bin Zubair ke wastay se bayan kiya , unhon ne Aisha raziyallahu anha se aap ne farmaya ke ghazwa Khandaq mein Saad raziyallahu anhu ke bazu ki ek rag akhal mein zakhm aaya tha . Un ke liye Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne masjid mein ek kheema nasb kara diya taake aap qareeb reh kar un ki dekh bhaal kiya karen . Masjid hi mein Bani Ghifar ke logon ka bhi ek kheema tha . Saad raziyallahu anhu ke zakhm ka khoon jo rag se bakasrat nikal raha tha beh kar jab un ke kheema tak pohancha to woh dar gaye . Unhon ne kaha ke aye kheema walo! tumhari taraf se yeh kaisa khoon hamare kheema tak aa raha hai . Phir unhein maloom hua ke yeh khoon Saad raziyallahu anhu ke zakhm se beh raha hai . Saad raziyallahu anhu ka isi zakhm ki wajah se intiqal ho gaya .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain