الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الصَّلَاةِ
The Book of As-Salat (The Prayer)
بَابُ الاِغْتِسَالِ إِذَا أَسْلَمَ، وَرَبْطِ الأَسِيرِ أَيْضًا فِي الْمَسْجِدِ:
Chapter. To take a bath on embracing Islam and fasten a prisoner in the mosque.
Hadith Number: Q462
وكان شريح يامر الغريم ان يحبس إلى سارية المسجد.
Qazi Shuraib bin Harith Kindi Kufa ke qazi rahimahullah qarz daar ke mutalliq hukm diya karte thay ke isay masjid ke sutun se bandh diya jaye .
Hadith Number: 462
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: حدثنا الليث، قال: حدثنا سعيد بن ابي سعيد، سمع ابا هريرة، قال:" بعث النبي صلى الله عليه وسلم خيلا قبل نجد، فجاءت برجل من بني حنيفة يقال له ثمامة بن اثال، فربطوه بسارية من سواري المسجد، فخرج إليه النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: اطلقوا ثمامة، فانطلق إلى نخل قريب من المسجد فاغتسل، ثم دخل المسجد، فقال: اشهد ان لا إله إلا الله وان محمدا رسول الله".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya , unhon ne kaha mujh se Saeed bin Abi Saeed Maqburi ne , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se suna ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne kuch sawar Najd ki taraf bheje jo tadaad mein tees thay yeh log Banu Hanifa ke ek shakhs ko jis ka naam Thumama bin Uthal tha pakar kar laye . Unhon ne isay masjid ke ek sutun mein bandh diya . Phir Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam tashreef laye . Aur teesre roz Thumama ki neik tabiyat dekh kar aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke Thumama ko chhor do . Rehai ke baad woh masjid Nabwi se qareeb ek khajoor ke bagh tak gaye . Aur wahan ghusl kiya . Phir masjid mein dakhil hue aur kaha ash-hadu an la ilaha illallah wa anna Muhammadan Rasool Allah mein gawahi deta hun ke Allah ke siwa koi mabood nahi aur yeh ke Muhammad Allah ke sachche Rasool hain .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة