الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الطِّبِّ
The Book of Medicine
بَابُ أَلْبَانِ الأُتُنِ:
Chapter. The milk of she-asses.
Hadith Number: 5780
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا سفيان، عن الزهري، عن ابي إدريس الخولاني، عن ابي ثعلبة الخشني رضي الله عنه قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن اكل كل ذي ناب من السبع"، قال الزهري: ولم اسمعه حتى اتيت الشام
Mujh se Abdullah bin Muhammad Musandi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, in se Zuhri ne, in se Abu Idrees Khaulani ne aur in se Abu Thalaba Khushni razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne har daant se khane wale darinda janwar (ke gosht) se mana farmaya. Zuhri ne bayan kiya ke main ne yeh hadees is waqt tak nahi suni jab tak Sham nahi aaya.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5781
وزاد الليث، قال: حدثني يونس، عن ابن شهاب، قال: وسالته هل نتوضا او نشرب البان الاتن، او مرارة السبع، او ابوال الإبل؟، قال: قد كان المسلمون يتداوون بها فلا يرون بذلك باسا، فاما البان الاتن، فقد بلغنا ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن لحومها ولم يبلغنا عن البانها، امر ولا نهي، واما مرارة السبع، قال ابن شهاب: اخبرني ابو إدريس الخولاني، ان ابا ثعلبة الخشني، اخبره ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن اكل كل ذي ناب من السبع.
Aur Layth ne zyada kiya hai kaha ke mujh se Yunus ne bayan kiya, in se Ibn Shihab Zuhri ne ke main ne Abu Idrees se poochha kya hum (dawa ke taur par) gadhi ke doodh se wuzu kar sakte hain ya usay pee sakte hain ya darinda janwaron ke pittay istemal kar sakte hain ya oont ka peshab pee sakte hain. Abu Idrees ne kaha ke Musalman oont ke peshab ko dawa ke taur par istemal karte thay aur is mein koi haraj nahi samajhte thay. Albatta gadhi ke doodh ke baare mein hamain Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki yeh hadees pahunchi hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is ke gosht se mana farmaya tha. Is ke doodh ke mutalliq hamain koi hukm ya mamanat Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se maloom nahi hai. Albatta darindon ke pittay ke mutalliq jo Ibn Shihab ne bayan kiya ke mujhe Abu Idrees Khaulani ne khabar di aur unhein Abu Thalaba Khushni razi Allahu anhu ne khabar di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne har daant wale shikari darinde ka gosht khane se mana farmaya hai.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة