الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المرضى
The Book of Patients
بَابُ دُعَاءِ الْعَائِدِ لِلْمَرِيضِ:
Chapter. The invocation for the patient by the one who pays a visit to him.
Hadith Number: Q5675
وقالت عائشة بنت سعد: عن ابيها، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" اللهم اشف سعدا"
Aisha bint Saad apne walid (Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu) se riwayat karti hain ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in ke liye yun dua ki «allahummash-fi sa'dan» ke ya Allah! Saad ko tandurust kar de.
Hadith Number: 5675
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، عن منصور، عن إبراهيم، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها: ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان إذا اتى مريضا او اتي به، قال:" اذهب الباس رب الناس، اشف وانت الشافي لا شفاء إلا شفاؤك شفاء لا يغادر سقما"، قال عمرو بن ابي قيس: وإبراهيم بن طهمان، عن منصور، عن إبراهيم، وابي الضحى، إذا اتي بالمريض.
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya, in se Mansoor ne, in se Ibrahim ne, in se Masrooq ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam jab kisi mareez ke paas tashreef le jaate ya koi mareez Aap ke paas laya jata to Aap salla Allahu alaihi wasallam yeh dua farmate «azh-hibil-ba'sa rabban-naasi, ish-fi wa antash-shaafi la shifa-a illa shifauka, shifa-al-la yughadiru saqaman» ”Ae Parvardigar logon ke! Beemari door kar de, Ae insaanon ke paalne wale! Shifa ata farma, tu hi shifa dene wala hai. Teri shifa ke siwa aur koi shifa nahi, aaisi shifa de jis mein marz bilkul baqi na rahe.“ Aur Amr bin Abi Qays aur Ibrahim bin Tahman ne Mansoor se bayan kiya, unhon ne Ibrahim aur Abu al-Duha se ke ”jab koi mareez Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas laya jata.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5675M
Aur Jareer bin Abd-ul-Hameed ne Mansoor se, unhon ne Abu al-Duha akele se yun riwayat kiya ke ”Aap jab kisi beemar ke paas tashreef le jaate.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة