الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَشْرِبَةِ
The Book of Drinks
بَابُ شُرْبِ الْبَرَكَةِ وَالْمَاءِ الْمُبَارَكِ:
Chapter. To drink blessed water; and the blessed water.
Show diacritics
Hadith Number: 5639
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن الاعمش، قال: حدثني سالم بن ابي الجعد، عن جابر بن عبد الله، رضي الله عنهما هذا الحديث، قال:" قد رايتني مع النبي صلى الله عليه وسلم وقد حضرت العصر وليس معنا ماء غير فضلة، فجعل في إناء فاتي، النبي صلى الله عليه وسلم به، فادخل يده فيه وفرج اصابعه، ثم قال: حي على اهل الوضوء البركة من الله، فلقد رايت الماء يتفجر من بين اصابعه، فتوضا الناس وشربوا، فجعلت لا آلوا ما جعلت في بطني منه فعلمت انه بركة، قلت لجابر: كم كنتم يومئذ؟ قال: الفا واربع مائة"، تابعه عمرو بن دينار، عن جابر، وقال حصين، وعمرو بن مرة، عن سالم، عن جابر خمس عشرة مائة، وتابعه سعيد بن المسيب، عن جابر.
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Jareer ne bayan kiya, in se Aamash ne bayan kiya, in se Salim bin Abi al-Jad ne aur in se Jabir bin Abdullah ne bayan kiya ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath tha aur Asr ki namaz ka waqt ho gaya thode se bache huay pani ke siwa hamare paas aur koi pani nahi tha usay ek bartan mein rakh kar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein laya gaya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is mein apna hath dala aur apni ungliyaan phaila dein phir farmaya aao wuzu kar lo yeh Allah ki taraf se barkat hai. Main ne dekha ke pani Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki ungliyon ke darmiyan se phoot phoot kar nikal raha tha chunanche sab logon ne is se wuzu kiya aur piya bhi. Main ne is ki parwah kiye baghair ke pait mein kitna pani ja raha hai khoob pani piya kyunke mujhe maloom ho gaya tha ke barkat ka pani hai. Main ne Jabir razi Allahu anhu se poochha Aap log is waqt kitni tadaad mein thay? Batlaya ke ek hazar char sau. Is riwayat ki mutabia-t Amr ne Jabir razi Allahu anhu se ki hai aur Husain aur Amr bin Murrah ne Salim se bayan kiya aur in se Jabir razi Allahu anhu ne ke sahabah ki is waqt tadaad pandrah sau ku. Is ki mutabia-t Saeed bin al-Musayyab ne Jabir razi Allahu anhu se ki hai.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain