الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأضاحي
The Book of Al-Adahi
بَابُ الذَّبْحِ بَعْدَ الصَّلاَةِ:
Chapter. To slaughter the sacrifice after the (Eid) Salat (prayer).
Show diacritics
Hadith Number: 5560
حدثنا حجاج بن المنهال، حدثنا شعبة، قال: اخبرني زبيد، قال: سمعت الشعبي، عن البراء رضي الله عنه، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يخطب، فقال:" إن اول ما نبدا به من يومنا هذا ان نصلي، ثم نرجع فننحر، فمن فعل هذا فقد اصاب سنتنا، ومن نحر فإنما هو لحم يقدمه لاهله، ليس من النسك في شيء"، فقال ابو بردة:" يا رسول الله ذبحت قبل ان اصلي، وعندي جذعة خير من مسنة، فقال:" اجعلها مكانها ولن تجزي او توفي عن احد بعدك".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , kaha ke mujhe Zubaid ne khabar di , kaha ke main ne Shabi se suna , in se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam khutba de rahe thay . Khutba mein Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aaj ke din ki ibtida hum namaz (Eid) se karein ge phir wapas aa kar qurbani karein ge jo shakhs is tarah kare ga woh hamari sunnat ko pa le ga lekin jis ne (Eid ki namaz se pehle) janwar zibah kar liya to woh aisa gosht hai jise us ne apne ghar walon ke khane ke liye tayyar kiya hai woh qurbani kisi darja mein bhi nahi . Abu Burdah razi Allahu anhu ne arz kiya: ya Rasool Allah! Main ne to Eid ki namaz se pehle qurbani kar li hai albatta mere paas abhi ek saal se kam umr ka ek bakri ka bacha hai aur saal bhar ki bakri se behtar hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum isi ki qurbani is ke badle mein karo lekin tumhare baad yeh kisi ke liye jaiz na ho ga .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain