الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأضاحي
The Book of Al-Adahi
بَابُ مَنْ ذَبَحَ ضَحِيَّةَ غَيْرِهِ:
Chapter. Whoever slaughtered the sacrifices on behalf of others.
Show diacritics
Hadith Number: Q5559
واعان رجل ابن عمر في بدنته وامر ابو موسى بناته ان يضحين بايديهن.
Ek sahab ne Ibn Umar razi Allahu anhuma ki in ke oont ki qurbani mein madad ki Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ne apni larkiyon se kaha ke apni qurbani woh apne hath hi se zibah karein .


Show diacritics
Hadith Number: 5559
حدثنا قتيبة، حدثنا سفيان، عن عبد الرحمن بن القاسم، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: دخل علي رسول الله صلى الله عليه وسلم بسرف وانا ابكي، فقال:" ما لك انفست، قلت: نعم، قال: هذا امر كتبه الله على بنات آدم، اقضي ما يقضي الحاج غير ان لا تطوفي بالبيت"، وضحى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن نسائه بالبقر.
Hum se Qutaybah ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan ne , in se Abdur Rahman bin Qasim ne , in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Maqam e Saraf mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam mere paas tashreef laye aur main ro rahi ku to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kya baat hai , kiya tumhein haiz aa gaya hai ? Main ne arz kiya ji haan . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh to Allah Ta'ala ne Adam ki betiyon ki taqdeer mein likh diya hai . Is liye hajiyon ki tarah tamam aamal e Hajj anjam do sirf Kaba ka tawaf na karo aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apne biwiyon ki taraf se gaye ki qurbani ki .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain