الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الذَّبَائِحِ وَالصَّيْدِ
The Book of Slaughtering and Hunting
بَابُ إِذَا وَجَدَ مَعَ الصَّيْدِ كَلْبًا آخَرَ:
Chapter. If somebody finds another hound with the game (besides his hound).
Show diacritics
Hadith Number: 5486
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن عبد الله بن ابي السفر، عن الشعبي، عن عدي بن حاتم، قال: قلت: يا رسول الله إني ارسل كلبي واسمي، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" إذا ارسلت كلبك وسميت فاخذ فقتل فاكل فلا تاكل، فإنما امسك على نفسه"، قلت: إني ارسل كلبي اجد معه كلبا آخر لا ادري ايهما اخذه، فقال:" لا تاكل فإنما سميت على كلبك ولم تسم على غيره"، وسالته عن صيد المعراض؟ فقال:" إذا اصبت بحده فكل، وإذا اصبت بعرضه فقتل فإنه وقيذ فلا تاكل".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Abdullah bin Abi al-Safar ne, in se Aamir Shabi ne aur in se Adi bin Hatim razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne arz kiya ya Rasool Allah! Main (shikar ke liye) apna kutta chhorrte waqt Bismillah parh leta hoon. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab kutta chhorrte waqt Bismillah parh liya ho aur phir woh kutta shikar pakar ke maar dala aur khud bhi kha le to aisa shikar na khao kyunke yeh shikar is ne khud apne liye pakra hai. Main ne kaha ke main kutta shikar par chhorrta hoon lekin is ke saath doosra kutta bhi mujhe milta hai aur mujhe yeh maloom nahi ke kis ne shikar pakra hai? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aisa shikar na khao kyunke tum ne apne kutte par Bismillah parhi hai doosre kutte par nahi parhi aur main ne Aap se be-par ke teer ya lakri se shikar ka hukm poochha to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar shikar noak ki dhaar se mara ho to kha lekin agar tu ne is ki chorayi se usay maara hai to aisa shikar bojh se mara hai pas usay na kha.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain