الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الذَّبَائِحِ وَالصَّيْدِ
The Book of Slaughtering and Hunting
بَابُ إِذَا أَكَلَ الْكَلْبُ:
Chapter. If a hound eats (of the game).
Hadith Number: Q5483
وقوله تعالى: يسالونك ماذا احل لهم قل احل لكم الطيبات وما علمتم من الجوارح مكلبين سورة المائدة آية 4. الصوائد والكواسب اجترحوا: اكتسبوا، تعلمونهن مما علمكم الله فكلوا مما امسكن عليكم إلى قوله: سريع الحساب سورة المائدة آية 4، وقال ابن عباس: إن اكل الكلب فقد افسده إنما امسك على نفسه، والله يقول: تعلمونهن مما علمكم الله سورة المائدة آية 4 فتضرب وتعلم حتى يترك، وكرهه ابن عمر، وقال عطاء: إن شرب الدم ولم ياكل فكل.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah al-Maidah) mein farmaya ke ”Aap se poochte hain ke kiya cheez khani hamare liye halal ki gayi hai, Aap keh dein ke tum par kull pakeeza janwar khane halal hain aur tumhare sudhaye huay shikari kutton aur janwaron ka shikar bhi jo shikar par chhorre jaate hain. Tum unhein is tariqa par sikhate ho jis tarah tumhein Allah ne sikhaya hai so khao is shikar ko jise (shikari janwar ya kutta) tumhare liye pakar kar rakhein.“ Allah ke qaul ”beshak Allah hisab jald kar deta hai“ tak. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke agar kutte ne shikar ka gosht khud bhi kha liya to us ne shikar ko na-paak kar diya kyunke is surat mein us ne khud apne liye shikar ko roka hai aur Allah Ta'ala ka isi surat mein farmana ke ”tum unhein sikhate ho is mein se jo Allah ne tumhein sikhaya hai“ is liye aise kutte ko peeta jaye ga aur sikhaya jata rahe ga, yahan tak ke shikar mein se woh khane ki aadat chhor de. Aaise shikar ko Ibn Umar razi Allahu anhuma makrooh samajhte thay aur Ata ne kaha ke agar sirf shikar ka khoon pee liya ho aur is ka gosht na khaya ho to tum kha sakte ho.
Hadith Number: 5483
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا محمد بن فضيل، عن بيان، عن الشعبي، عن عدي بن حاتم، قال: سالت رسول الله صلى الله عليه وسلم، قلت: إنا قوم نصيد بهذه الكلاب؟ فقال: إذا ارسلت كلابك المعلمة وذكرت اسم الله فكل مما امسكن عليكم، وإن قتلن، إلا ان ياكل الكلب فإني اخاف ان يكون إنما امسكه على نفسه وإن خالطها كلاب من غيرها فلا تاكل".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad bin Fudayl ne bayan kiya, in se Bayaan bin Bishr ne, in se Shabi ne aur in se Adi bin Hatim razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se poochha ke hum log in kutton se shikar karte hain? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar tum apne sikhaye huay kutton ko shikar ke liye chhorrte waqt Allah ka naam lete ho to jo shikar woh tumhare liye pakar kar layein usay khao khwah woh shikar ko maar hi daalein. Albatta agar kutta shikar mein se khud bhi kha le to is mein yeh andesha hai ke us ne yeh shikar khud apne liye pakra tha aur agar doosre kutte bhi tumhare kutton ke siwa shikar mein shareek ho jayein to na khao.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة